lunch kar liya "
Zohra ne poucha tha.. jiska jawab usne na mai dia tha..
" good chalo kahi chalke lunch karte hai "
Zohra ne bola tha..
" mai abhi bana leti ho adha banta bhi nahi lage ga "
Keh kar itne lagi thi jab zohra boli..
" doctor ne hume khane se mana nahi kia mai or bhai bilkul fit hai or tum bhi tu chalo waise bhi mai kal ka hi khaya hoa hai "
Zohra ne bola tha usse achi tarha pata tha zubia bahar ka khana avoid karti hai..
" mai gari start karta ho ajao "
Zayan keh kar utha tha..
" mai change karke or zaigham ko bata kar ati ho "
Keh kar wo uper room mai change karne gai thi..
Change karke usne zaigham ki msg kia tha jiska koi jawab na ane pe usne usse call ki thi..
" meri yaad kaise agai "
Wo laptop pe kam kar raha tha jab call ane pe uska dehan phone pe gaya tha screen pe zubia ka naam dekh kar uske chery pe muskurahat ai thi..
" apne msg ka reply nahi dia tha.. is liye call ki "
Zubia ne bataya tha..
" han wo Maine notification mute ki hoi thi.. "
Usne bataya tha..
" bhai or appi ay hai mai unke sath jao lunch pe "
Zubia ne usse ijazat mangi thi..
" jai zaroor jao mujhse ijazat ki zaroort nahi hai tumhe apne behen bhai se milne ke liye ok "
Zaigham ne bola tha.. zubia ko uski baat bohot achi lagi thi..
" jii "
Keh kar phone rakhne lagi thi ke jab wo bola..
" khayal rakhna "
Wo bola tha..
" ap bhi "
Keh kar phone band kia tha or niche gai thi.. lights wagera band karke ghar lock karke wo gari ki back seat pe ja kar baithi thi..
" tum dono order karo mai ek call kar ke aya "
Wo teeno restaurant mai the jab zayan keh kar gaya tha..
" agle maheene mai korea ja rahi ho "
Order de kar zohra ne usse bataya tha..
" north?"
Zubia ne poucha tha..
" tauba Astagfaar zubi khuda ka khoof karo South Korea "
Zohra ke reaction pe wo has pari thi..
" or wapsi "
Zubia ne poucha tha or utne mai zayan bhi wapis agaya tha..
" pata nahi jab kam udhar khatam hoga tu wapis ajao gi "
Zohra ne bataya tha..
Kuch hi dair mai unka lunch agaya tha jisse un teeno ne khamoshi mai khaya tha..
" agle hafte Mai wapis ja raha ho "
Lunch ke bad ab coffee pi rahe the jab zayan ne usse bataya tha.. yeh sun kar zubia ke chery ke rang badle the muskurahat simti thi..
" or kuch din ap rok nahi sakte "
Zubia ne apna cup table pe rakhte hoe poucha tha..
" jana tu haina "
Usne aram se bataya tha..
" bhai chale Jana magar walima ke bad "
Zubia ne bolq tha jispe zayan heran hoa tha..
" kiska "Usne poucha tha..
" mera appi ne bataya nahi "
Zubia ne bola tha or ab un dono ki nazar zohra pe gai thi jo ke namak Koshish kar rahi thi masoom dikhne ki..
" sorry bhool hai batana "
Zohra ne bola tha..
" appiii "
" zohraaa "
Wo dono sath bole the..
" sorry na "
Zohra ne bola tha..
" kab hai walima "
Zayan ne poucha tha..
" pata nahi magar is month hi hoga "
Zubia ne bataya tha..
" mai koshish karo ga "
Zayan ne kaha tha..
" am really sorry bhai zubia mai batana such mai bhool gai thi "
Zohra sharminda hoi thi..
" its ok appi "
Zubia ne kaha tha..
4:30 tak zayan ne usse wapis ghar drop kia tha..
" andhar ay "
Gari se utar te hoe zunia ne un dono oo kaha tha..
" nahi zubi abhi jana hai phir kabhi In Shaa Allah waise bhi tumse milna tha wo hoga "
Zayan ne kaha tha.. zubia ke ghar andhr jane ke bad zayan waha se gaya tha..
Ghar ja kar seqting room mai baithi thi or un dono ka laya hoa gift khola tha joke zubia ko bohot pasand aya tha.. cups ko wo apne sath kitchen mai le hai thi or Ayatul Kursi ko wahi rehne dia tha..
" yeh kqha se aya "
Zaigham apne time ghar wapis aya tha.. akar wo seating room mai baitha ta jaha table pe pare wall hanging pe uski nazqr pari thi tab usne zubia se poucha tha..
" yeh bhai lay the "
Zubia ne bataya tha.. jis ke bad usne or koi sawal nahi kia..
" aj itne time bad hum yun sath the time ke guzarne ka pata hi nahi chala "
Zaigham ko pani ka glass dete hoe zubia boli thi.. wo bohot khush thi or wo khushi uske chehry se pata chal rahi thi..
" Allahmdulillah "
Usse yun khush dekh kar zaigham ne halki awaz mai shukar adq kia tha..
( beshak hume har cheez pe shukar ada karna chahiye )...
Waqt guzar raha tha har guzarte lamhe ke sath dono ko or achi tarha jan rahe the.. dono khush the yeh unki roz ki routine ban gai thi subha fajar ke bad zubia ka sunrise dekhna kabhi kabbi zaigham uska sath deta tha dekhne mai.. zaigham ke office jate hi zubia ka ghar ke kam karna sham ko uske wapis akar dono ka sath garden mai coffee pina raat ke khane ke bad idhar udhar ki baate karna..
Kal walima tha or aj zubia ko mehndi kagane ane wale the.. Dopahar ke ek baj rahe the jab zubab ai thi sarim ke sath..
" pancake khana "
Sarim ko utha kar poycha tha jis pe usne usse cute si smile ke sath excitement mai han mai sar hila kar han kaha tha..
" chalo phir sath mil ke bate hai "
Zubia ne bhi utni hi excitement ke sath usse kaha tha..
" nahi zubia isne pehle hi meetha khana bohot shoro kar dia hai "
Zubab ne mana kia tha..
" mamma ne tu mana kar dia ab "
Zubia ne usse poucha tha or usne udas sa chera bana kar zubia ko dekha tha..
" baad mai jab mamma so jay gi "
Zubia sarim ko halki awaz mai bola tha..
" maine sun liya "
Zubab ne unhe bataya tha jis pe wo dono aram se baithe the..
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...