Zubia hunza mai hospital se resign kar ke zaigham ke sath Islamabad ja chuki thi..
Is baar unka safar khobsorat tha baate hoi thi jhijhak thi magar wo awkward nahi laga tha pehle ki tarha.. dono hi apne rishte ko Chance dena chahte the ek dosre ko janne ki pori Koshish kar rahe the..
Islamabad ate hi maham or zubab ke ke ne par zaigham maham ke ghar zubia ko le kar gaya tha..
Sare dil se khush the unke is faisle par.. maham ke kehne par zaigham zubia ko dinner date pe le kar ja raha tha..
Zaigham farhan ke sath bahar tha ghar ke wohi zubab zubia ke mana karne ke bawajood usse tyaar kar rahi thi.. zubia ke pas koi fancy dress nahi tha is liye zubab ne usse apna dia tha..
Long red frok simple frok ke sath simple red trouser or dupatta tha simple tha magar classy tha..
" appi makeup yeh zada nahi hogaya? "
Zubia ne zubab se poucha tha khud ka chehra shishe mai dekhne ke bad.. heavy makeup tha magar natural lag raha tha..
" bilkul bhi nahi pehli baar dono Yun sath ja rahe ho tu kuch tu tyaar ho na "
Zubab ne saar mana tha.. akhir such hi tu kaha tha pehli baar as a couple ja rahe hai lagne bhi tu chahiye na..
" zubia "
Wo khud ko shishe mai dekh rahi thi jab usse zubab ne bolaya tha.. uske bolane pe zubia uski taraf mutawajo hoi thi..
" jii "
" tumne zaigham ko kaha kiyu nahi tha tumhe nahi Jana balke rehna hai "
Zubab ke pouchne pe wo kuch sharminda hoi thi or sar ko jhokaya tha..
" soucha tha bolo gi magar utne mai zaigham ne mujhe keh dia tha wo mujhe subha chor ay ge "
Uske jawab par wo uljhi thi.. keh dia tha tu kia wo mana bhi tu kar sakti thi na..
" tu tum mana bhi tu kar sakti thi na.. "
" mujhe laga tha ke wo mere sath rehna nahi chahte is liye mai ab kisi pe bojh nahi banna chahti thi bas "
Mudham muskurahat ke sath usne bola tha..
" Dekho zubia rishta koi bhi ho jab tak bolo ge nahi na samne wala nahi samjhe ga chahe maa beti ka rishta ho saas baho ka ya shohar or biwi ka jo bolna hai na usse bolo take samne walo ko pata chale yehi cheez Maine zaigham ko boli hai yehi mai tumhe bol rahi ho compromise dono ko karna parta hai kuch tum karo kuch wo kare ga.. magar ek dosre ka sath na choro "
Zubab ne usse ek bari bahan ki tarha samjhaya tha jis par usne sar hilaya tha.. haya or mahnoor ke pehli baar kisi or ne usse kuch samjhaya tha mukhlis ban kar..
" zaigham zubia kaisi lag rahi hai "
Wo dono niche a chuke the jab zubab ne shararati andaz mai poucha tha.. zubia ne sar niche kia tha usse apna chehra laal hota mehsos hoa tha..
" tamatar ki tarha laal "
Zaigham ne usse ke nazar dekha tha kuch souchne ke bad bola bhi tu kia bola.. zaigham ke jawab pe zubia ne usse herangi se dekha tha.. wo bechari souch mai par gai thi yeh complement tha ya besti.. ab yeh tu wohi janta tha yeh kia hai.. zubab apne bhai ko dekhti reh gai thi ab yeh usse kia bole zaigham ne usse speechless kar dia tha..
" tumhara kuch nahi ho sakta "
Afsosgi se zubab ne bola tha..
" jao isse pehle zada late ho "
Maham ne kaha tha or wo dono un sab ko Allah hafiz keh kar bahar gay the..
" konse restaurant apko pasand hai hum wohi chalte hai "
Zaigham ne usse poucha tha..
" mujhe names yaad nahi rehte restaurants ke haya ke jate the chali jati thi "
Uske jawab par wo kuch heran hoa tha.. kiyu ke aj kal log logo se zada restaurants ke naam yaad rakhte the akhir ab logo se zada restaurants hi tu kam ate hai..
" chale phir mere favourite restaurant chalte hai "
Yeh kehta usne gari restaurant ki taraf ghomai thi..
" ap zada nahi bolti "
Wo dono restaurant pouch gay hoe the apne table pe the apne order ane ka intezar kar rahe the jab zaigham ne usse poucha tha.. uske pouchne par wo heran hoi thi phir sharminda akhir chup jo thi.. kab se wohi baat karne ki Koshish kar raha tha..
" aisi baat nahi hai bas yeh souch rahi thi ke ab tak apne kuch poucha kiyu nahi "
Zubia ke bolne par wo uljha tha..
" kis bare mai "
Usne uljhan mai poucha tha..
" meri family se ikhtelaf ke bare mai "
Uske batane pe samjha tha janna tu chahta tha magar tab jab wo khud batana chahe..
" mai bas uncomfortable apko feel nahi karwana chahta tha yeh pouch kar "
Uske jawab pe wo muskurai thi..
" kia souch rahi ho "
Zubia ko khoya HOA dekh kar zaigham ne poucha tha..
" kahi nahi "
Usne muskura kar jawab dia tha..
" waise mai tamatar lag rahi ho? "
Zubia ne akhir pouch hi liya tha..
" han "
Usne casually jawab dia tha..
" haaann "
Wo heran hoi thi banda na bhi tu keh sakta haina..
" han ab tamatar laal hi tu hote hai uper apne laal pehna hai "
In other words wo usse tamatar keh raha tha..
Unka khana achuka tha.. khane ke bad kuch dair long drive ki thi or phir apne ghar gay the wo ghar jo zaigham ka tha na ke farooq house..
Ghar ko dekh kar usse saal pehle wala din yaad aya tha.. karwi yaade Taza hoi thi chery se muskurahat simti thi na chahte hoe bhi ankho mai ansu ay the jitni Koshish wo karti thi in yaado ko bhoolne ki aj wo Taza hoi thi aise laga tha jaise Taza zakham par kisi ne namak lagaya hai..
Wo Bagoor uska chehra dekh raha tha samjha tha wo kia souch rahi hai kia usse yaad aya hai kis cheez oar uski muskurahat simti hai.. sharminda hoa tha wo wapis se apne kiye pe lekin wo wapis past mai ja kar usse change nahi kar sakta tha magar apne aj ko khubsutrat bana ne ki Koshish kar sakta tha jiska wada usne khud se kia tha..
Wo apni soucho mai gom ghar ko dekh rahi thi jab zaigham ne uska hath pakra tha..
YOU ARE READING
viraan
أدب الهواةASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...