12

10 2 0
                                    

Kuch hi dair mai wo mahnoor ke ghar pounchi thi.. car park karke usne door bell bajai thi joke kuch hi pal bad kisi larke ne khola tha joke dekhne mai apne 20's ke end kar lag raha tha..

" mahnoor hai ghar pe "

" ji magar ap kon "

Us admi ne usse poucha tha..

" ap mahnoor ko batay zohra ai hai wo mujhe janti hai "

Us insan se Yun sawalat zohra ko gussa dila rahe the..  magar phir bhi apna gussa thande karne ki pori Koshish kar rahi thi akhir gusse mai kia gaya koi bhi kam theek nahi ho pata..

" ap aiye andhar mai noor ko bolata ho "

Usse seating room mai bhita tha wo mahnoor ko bolane gaya tha..


" appi ap yaha or yeh apko kia hoa..  "

Mahnoor ne usse poucha tha heran hoi thi usse Yun dekh kar wo..

" Mahnoor mujhe choro kia hoa yeh batao zubia kaha hai hospital gai thi mai waha se pata chala uski leave tumne li hai kaha hai wo theek tu haina "

Mahnoor ki baat ignore karte hoe usne zubia ka poucha tha.. zubia ke pouchne pe mahnoor ke chery ke rang badle the jo dekh kar zohra ka dil doba tha..

" appi wo haya ke ghar hai ap waha chale mai apko sab raste mai bata ti ho "

Mahnoor ne kaha tha jis par zohra ne halka sa sar hilaya tha.. raste mai mahnoor ne usse kal raat zubia jis hal mai haya ko mili or jo usse haya ne bataya wo sab usne zohra ko bataya tha.. jo sun kar wo apne ansu rok nahi pai thi.. akhir atna sab uski bahan ke sath hogaya or usse pata bhi nahi tha.. pashta rahi thi wo kash wo kal ghar se na gai hoti na uska accident hota tu naahi zubia ka nikah karte deal ko seal karne ke liye..

Kuch hi dair mai wo haya ke ghar pounche the.. andhar jate hi mahnoor usse zubia ke room ki taraf le kar gai thi jaha wo bejan bed pe leti hoi thi..

" appi ab kia karna hai "

wo log seating room mai baithe the hoe the jab haya ne yeh zohra se poucha.. lamba sans kene ke bad wo boli thi..

" tbh mai baba pe trust nahi karti usse ghar leke Jane ka risk mai le nahi sakti or rahi baat us ka****e admi ki uspe bhi mujhe yaqeen nahi jo insan adhi raat ke waqt usse ghar se nikal rakta hai wo future mai or bhi kia kuch nahi kar sakta "

Zohra ne kaha tha jis par un dono ne sar hilaya tha beshak wo such keh rahi thi..

" tu appi ab "

Pouchne wali mahnoor thi..

" tum dono hunza ja rahe ho na usse bhi wahi le jao baki yaha mai handle kar lo gi "

Kafi dair souchne ke bad zohra boli thi.. or uski baat un dono ne aram se maan li thi kiyu ke wo dono jante the abhi zubia ke liye kitna important hai dimagi saloon jo yaha milna na mumkin tha atleast abhi ke liye tu namumkin hi tha..

Flashback ends...

" jo tha wo ab Maine apko bata dia hai zohra appi janti thi balke unke kehne pe hi hum bia ko yaha lay ab hunho ne yeh baat ap sab se kiyu chupai yeh wohi bata sakti hai.. "

Haya ne usse sab bataya tha jo saal pehle hoa tha.. usse ab ja kar samjh arahi thi zohra ke Yun chup hone ki waja kiyu wo janti thi zubia kaha hai.. is liye usne apni di hoi dhamkia pori nahi ki..

" wo mai pata laga lo ga unho ne aise kiyu kia lekin abhi jo baat hai wo yeh hai ke mujhe zubia ko apne sath wapis leke jana hai kia ap usmai meri madat kar sakti hai "

Zaigham ne bari hi umeed ke sath poucha tha.. jole kuch hi seconds mai toti thi..

" nahi mai apki koi madat nahi kar sakti jo halat uski mai dekh chuki ho wo mai wapis nahi dekhna chahti.. "

Yeh kehti wo waha se chali gai thi.. or wo usse bas jata dekh ta hi reh gaya tha..

***********************

" apka liver transplant hoga "

Zubia ne apne samne baithi bozork surat ko bataya tha..

" wo kia hota hai doctor ji "

Unke pouchne pe zubia ne easy words mai unhe liver transplant ke bare mai bataya tha jo sun kar wo ghabrai thi..

" jaise hi donor milta hai mai apki surgery kar do gi "

Zubia ne bola tha..

" ap jo keh rahi hai mujhe kuch samjh nahi arahi doctor ji bas itna bata de ghabrane ki baat tu nahi haina zada takleef tu nahi hogi na "

" nahi mai apni pori Koshish karo gi na apko na hi donor ko zada takleef ho operation mai hum apke donor se uske liver ka thora sa hissa le kar apke liver ki jaga rakh de ge.. or waqt ke sath sath donor ka kaha se liver ka hissa liya hoga wo wapis pehle jaisa ho Jay ga ghabrane ki baat nahi hai "

Zubia ne unhe asan alfaz mai samjhane ki Koshish ki thi joke kamyab hoi thi hoi thi kafi had tak..

" pouche kia? "

Zubia ki shift khatam hoi thi wo reception ke pas se guzar rahi thi jab usne udhar mujood nurses ke group ko baat karte dekha tha..

" dr zubia "

Usse piche se us group mai se kisi nurse ne awaz di thi jis par wo mori thi..

" jii "

" ap kia zaigham sahab ko jante hai "

Un mai se ek ne poucha tha jis par zubia ke face expression badle the soft se sakht hoe the..

" nahi humara matlb hai ke.... "

Zubia ke chery ke badlte expressions dekh te hoe jaldi se mai se kisi dosre ne kaha tha..

" apka matlb jo bhi ho mujhe usse koi garz nahi ap ko dosro ki zindagi pe nazar rakhne ki bajay apne kaam pe dehan de "

Gusse ko zabt karti wo yeh kehti waha se gai thi.. usse inteha ka gussa aya tha yani in logo ko kia hai wo usse janti ho ya na..


viraanWhere stories live. Discover now