19

11 2 0
                                    

" abhi nahi "

Cottage ke garden mai baitha wo phone par zubab se baat kar raha tha..

" kab niklo ge phir "

Zubab ne coffee ke cup se sip lete hoe poucha tha..

" pata nahi "

Jawab mukhtasir tha..

" zaigham sab theek haina kuch hoa hai "

Apne bhai ki kashmakash samjhi thi wo magar baat thi kia kal tak tu wo bilkul theek tha or ab ek dam hi Yun itna uljha hoa..

" jii appi "

Udas sa muskurata usne jawab dia tha..

" zaigham jaldi se batao hoa kia hai chalo "

Bhari bahan hone ke rob se bola tha..

" appi wapis a kar baat karte hai "

" theek hai nikalne se pehle call kar dena "

Yeh kehti in dono ne phone band kia tha.. wo baitha souch hi raha tha ke zubia ka kia jawab hoga mane gi bhi ya nahi utne mai usse ek unknown se msg aya tha..

" Asslamulaikum..

Kab tak nikalna hai?.. "

Msg parte hi uske chery pe mudham si muskurahat ai thi..

" waalaikum a salam..

jab ap tyaar ho.. "

Msg ate hi usne usse reply dia tha jiska jawab usse sath aya tha..

" 1 baje tak "

Uska msg ate hi usne apni gari ki taraf dekha tha joke 11:30 ka waqt dikha rahi thi.. time dekhte hi wo apni gari ki taraf gaya tha jate hi usne gari mai ko phank ne wali cheeze thi jaise ke koi pepper hogaya ya kuch aise hi unhe phanka tha.. tissues pepper box se lekar seat ko usne saaf kia tha pehle bhi saaf thi magar unhe or saaf kia tha..

Theek ek bajne mai 2 minute the jab wo uske hostel ke samne pouncha tha..

" mai bahar ho  "

Theek ek baje usne zubia ko msg kia tha..

" ok "

Jiska jawab kuch hi seconds bad ok mai aya tha..

Main gate se wo usse bahar ati nazar ai thi sea green kurta trouser pehna hoa tha.. apne light brown baalo ki halki si poni ki hoi thi or hath mai ek chota sa luggage bag pakra hoa tha joke usne gari se utar te hi uske hath se liye tha.. pehle tu ek nazar usne usse dekha tha lekin pakra dia tha.. zaigham ko dil se khushi hoi thi ke is par usne mana nahi kia..

Bag pakarte hi usne passenger seat ka door uske liye khola tha.. uske baithte hi usse band kia tha bag ko back seat par rakh kar wo driving seat par baitha tha..

" yeh apka phone "

Baithe hi samne uska para phone usse dia tha..

" gari mai gira hoa tha "

Zubia ne uljhan mai usse dekha tha akhir yeh uske pas kaise pouncha jisse usne door kia tha..

Safar lamba tha musafir khamosh the.. wo ai akeli thi hunza nahi janti thi koi ay ga aisa waqt jab wo zaigham ke sath Yun baithi hogi.. wo aya akele tha hunza na chahte hoe bhi aya tha nahi janta tha hunza uski zindagi mai itna bara twist lay ga nahi janta tha jisse wo kaha kaha nahi dhond raha tha wo yaha hunza mai hai.. aj ja dono sath rahe the lekin anjan the dono yeh safar unhe kaha le Jay ga.. wo ja rahi thi lekin janti nahi thi ke wo hunza wapis ai gi ya nahi wo nahi janta tha wo usse wapis chorne ki himmat la pay ga ya nahi..

Jaise jaise wo apni manzil ke pas pounch rahe the zubia ko apne dil ki dharkane tez hoti mehsos ho rahi thi..

Kia wo sahi kar rahi thi yun wapis ja kar? Kaise face kare gi wo sab ko wapis? Kia jawab de gi wo un sab ke unginat sawalo ke? Sawal bohot the jinka ek ka bhi jawab uske pas nahi tha..

Kitne ajeeb haina hum insan jab humare pas sahi waqt hota hai hum usse hawa dete hai or phir sahi waqt ka intezar karte hai..

Zaigham samjh sakta tha uski preshani uske waswase lekin wo bes tha wo kuch kar nahi sakta tha.. wo usse hosla dena chahta tha magar kia bolta sab theek hoga jab wo khud nahi janta tha kuch..

Sham ke 7 ban rahe the or wo ab tak nathiya gali pounche the ab bhi apni manzil tak pounche mai kuch waqt tha magar mosam dekhte hoe zaigham ne udhar ke kisi hotel mai ek raat rokna behtar samjha tha..

" zaigham "

Wo dono is waqt natiya gali ke kisi hotel mai the jab zubia ne jhijhakte hoe usse bolaya tha..

" jii "

Wo elevator ke andhar Jane laga tha jab zubia ki awaz sun kar usse uski taraf mera tha..

" wo am wo.. "

Wo hichkicha rahi thi..

" kia hoa ap mujhe bata sakti hai "

Uski jhijhak dekhte hoe zaigham ne poucha tha..

" wo kia hum kuch kha sakte hai "

Usne masoomiyat se poucha tha uski hasi chutte chutte bachi thi..

" oo am really sorry mujhe yaad hi nahi raha apne kuch khaya nahi hoga chale "

Usse yaad aya tha subha uski pehle wo larai zubia se uske bad travel khane ka yaad hi nahi raha tha dono ko..

" ap chale mai kuch khane ke liye lata ho "

Yeh kehta wo Jane laga tha lekin phir yaad kuch ane pe wo mur kar aya tha.. elevator ka button dupatta usne zubia ko dekha tha joke usse uljhan mai dekh rahi thi..

" room tak apko shor ao pehle "

Usne kaha tha jis par zubia ne halka sa sar hilaya tha..

Dil hi dil mai usne Alhamdulillah bola tha ke wo usse waha akela chor kar nahi gaya..

viraanWhere stories live. Discover now