22

7 2 0
                                    

" apne meri maa ko rehne hi kab dia tha jo wo meri tarbiyat karti.. "

Uske is jumle mai karwahat, nafrat, bebasi or gussa maria samjh sakti thi lekin kar kuch nahi sakti thi..

" dadi apne kaha yaha wapis ajati.. kaise ati jab mujhe yeh keh kar bheja gaya tha ( wapis is ghar ka rasta na karna chay kuch bhi ho Jay idhar wapis na ana ).. tu kaise ati "

Maria ke bole alfaz usne dohray the..

" ap sab ko berokhi ne tu mujhe ek haram maut marne ke liye majboor jar dia tha.. tu yaha kaise wapis ati "

Sab ke sar ke uper se asman or pairo tale zameen niklti thi.. akhir yeh bol kia rahi hai..

" yeh .. "

Hashim sahab ne herangi se bola tha..

" such keh rahi ho chahe ap appi se pouch le jo humesha se janti thi mai kaha ho kia kar rahi ho "

Zubia ne zohra ki taraf dekhte hoe bola tha or ab sab ki nazre zohra ki taraf gai thi.. zohra ne chup rehna behtar samjha tha..

" or rahi baat meri maa ke ghar bass ne ki wo ghar kaise basati jab apne mai se kisi ne bas ne nahi dia.. "

Yeh kehti wo meri thi wapis Jane ke liye jab hashim sahab ki awaz pe roki thi..

" zubia agar abhi gai tu wapisi ka har darwaza tumpe band hoga "

" mai tu ab bhi na ati agar zaigham mujhe yaha zabardasti na late.. "

" us insan ne tumhe dhodkara hai "

Wo pori Koshish kar rahe the usse rokne ki nahi chahte the wo unki nazro se door Jay lekin bolne ki himmat nahi thi unmai.. kitna ajeeb tha na ek taraf itni nafrat karte the or dosri hi taraf usse khud se door nahi jane dena chahte the.. kia ajeeb rishta tha in dono ka

" usne tu bas ek bar dhodkara hai apne tu sari zindagi dhodkara hai "

Yeh kehti wo bahar chali gai thi or un sab ko waise hi heran chor gai thi akhir is mai itni himmat ai kaise bolne ki.. unhe kia pata waqt har cheez kar ne ki himmat de deta hai..

( insan waqt ke sath badal ta hai yeh sona hai aj tak magat asal mai insan ko uske sath hone wali zayatiya mushkilat badal ti hai.. )

*****************

Zaigham gari ke samne bonnet ke sath taik lagay khara zubia ka intezar kar raha tha.. jab wo usse bahar ati nazar ai thi..

" chale "

Uske pouchne pe zaigham ki nazar uske gal pe pari thi jo ke laal hoa hoa tha ungliyo me nishan the..

" unho ne ap pe hath uthaya "

Fikarmandi se poucha tha jis par wo halka sa muskura di thi..

" nahi tu "

Saaf jhoot bola tha jisko usne pakra tha..

" ap baithe mai ata ho "

Zubia ko gari mai bhita kar.. Yeh kehta wo ghar ke andhar gaya tha.. sare abhi living area mai hi the jab zaigham waha aya tha..

" aj meri BIWI pe hath utha ne ki himmat karli ainda na karna mai bardasht nahi karo ga koi meri BIWI ko hath bhi lagay "

Sakht lehje mai gusse se bolta wo waha se wapis aya tha..

******************

" zohra hume such bataya kiyu nahi hum yaha khawar ho rahe the or tum chup chap baithi bas tamasha dekhti rahi.. "

Zohra waha se Jane lagi thi jab hashim sahab ne gusse se bola tha..

" baba ap kab khawar hoe? "

Zohra ne usse sawal kia tha..

" han thi chup nahi bataya kisi ko bhi na bhai ko na mamma ko bhai ko batati tu mamma ko pata chal jata or unse apko or mai yehi nahi chahti thi ke apko pata chale.. dekhna chahti thi AP kia karte hai uske liye fikar dekhna chahti thi apki nazro mai jo kabhi nazar nahi ai.. nahi bataya Maine is liye ke waqti tu usse ghar le ate lekin phir kia karte nikal dete hai uski mamma ko nikala ya pori zindagi usse nakam shadi ka tana dete.. wo jaga bhi thi baba yaha se achi jaga par hi thi.. apko tu kia is ghar kisi ko uski fikar nahi thi agar hoti tu koi uska tun number block na karta balke usse dhondte.. "

Zohra ke alfaz karwe the magar such the.. apne chup rehne ki waja batai thi.. or waha se usher waise hi chor kar apne kamre hi taraf gai thi..

*****************

" am sorry mujhe apki baat man leni chahiye thi "

Wo dono ghar pounch gay the lekin abhi gari mai hi the.. zaigham ke bolne pe wo muskurai thi..

" nahi balke mujhe thank you bolna chahiye jo pori zindagi nahi bol pai aj bol dia aise lag raha hai jaise koi bojh utar gaya ho "

Zubia ne kaha tha..

" ap sharminda na ho apki koi galti nahi hai "

Yeh kehti wo ghar ke andhar gai thi..

Uske chery pe nishan sab ne bolte tu kiye the lekin poucha nahi tha take wo uncomfortable feel na kare..

Raat ke khane ke bad zubab ne usse room uska sikhaya tha.. freshen up ho kar usne subha ka ab phone khola tha jaha group mai 1000s mai msgs ay hoe the..

Zubia ke online ane ki dair thi sath hi group call ai thi..

" sab theek hai waha "

" kia hoa "

" kisi ne kuch kaha tu nahi "

" khana khaya "

" online kiyu nahi thi "

Call attend karte hi mahnoor or haya ne sawalo ki line lagai thi..

" yaaaarrr kuch tu bolo "

Haya ne bola tha..

" bolne do ge tab kuch bolo gi na "

Zubia ne mudham is muskurahat ke sath bola tha..

" ok bolo "

Mahnoor ne bola tha.. or zubia ne un dono ko sab bataya tha aj hone wale waqiye.. zaigham ki family se mulakat se le kar apni family tak.. jan kar un dono ko afsos hoa tha..

" bia "

Khamosh the teeno jab haya ne zubia ko pokara tha.. jiska jawab usne hmm se dia tha..

" age ka kia soucha hai "

Yeh wo sawal tha jiska jawab wo khud dhond rahi thi..

" matlb "

Wo jante hoe bhi anjan bani thi..

" matlb ye ke kia chance dena hai apni shadi ko ya wapis ana hai "

Mahnoor ne kaha tha..

" bia tum chance dena chahti ho? "

Zubia se koi jawab na milne par haya ne poucha tha..

" such bolo han dena chahti ho jab bhi zaigham ke sath hoti ho mutmain hoti ho pursakoon hoti ho "

Uske jawab pe wo dono Muskuray the..

" mai pehle bhi kafi overreact kar chuki ho janti ho magar mere ikhteyar mai nahi tha kuch bhi "

Zubia ko apne behaviour yaad aya tha..

viraanWhere stories live. Discover now