" sham tak or han khane ki fikar na karna mai bahar se le ao ga "
Zaigham ne kaha tha..
" mai bana lo gi bas ap yeh bata de unhe pasand kia hai "
Zubia ne kaha tha.. zaigham halka sa muskurata uske sawal ka jawab dia tha itna tu usse pata chal hi gaya tha wo bahar ka khana prefer nahi karti..
" ice cream khane chale "
Raat ke noo baj rahe the jab room mai akar usne bed pe baithi zubia poucha tha.. uske pouchne pe zubia ne halka sa sar hilaya tha..
" gari start kar raha ho ajao "
Aoni gari ki chabi dressing table se utha ta hoa bola tha..
" jii "
Keh kar uthi thi.. sar ko scarf se cover karke wo niche gari mai gai thi.. ghar se ice cream parlour tak ka safar khamoshi mai guzra tha..
" konsa flavor? "
Parking lot mai gari park kar ke zaigham ne poucha tha..
" chocolateka koi bhi "
" mai laya "
Yeh kehta wo andhar ice cream lene chala gaya tha..
" oyeeee kaha gayab ho "
Uske jati hi zubia ko haya or mahnoor ki group call ai thi call attend karte hi mahnoor ne poucha tha..
" yahi ho phone zada use hi nahi kar pa rahi "
Zubia ne kaha tha..
" khush ho "
Haya ne sawal kia tha.. uske sawal pe wo halka sa sar niche kar ke muskurai thi apne hath mai ring finger mai ring ko dekhte hoe..
" such bolo "
Zubia ne sawal ke badle sawal kia tha..
" han "
Wo dono sath boli thi..
" mutmain ho sakoon mai ho ab jo dil humeshq bhari bhahri sa lagta tha ab aisa kuch feel naho hota aise hai jaise jo ek bokh tha wo utar gaya hai ab sqkoon se soti ho bas ek dar baat ka dar lagta hai "
Zubia ka jawab sun kar wo dono mutmain hoe the magar akhri jumla pe uljhe the..
" kis baat ka dar koi baat hoi hai tum dono ke bhich "
Mahnoor ne pareshqn hote hoe poucha tha or zubia ne na mai sar hilaya tha..
" nahi aisi baat nahi hai "
" phir kaisi baat hai "
Zubia ki baat ko haya ne cat kar poucha tha..
" zaigham arahe hai phjr baat karti ho meri tension na lo "
Zaigham ko ice cream hqth mai pqkre ata dekh kar zubia ne kaha tha..
" kal ghar pe ho "
Haya ne poucha tha..
" han "
Usse jawab de kar usne phone band kia tha or baithe baithe apni jaga pe usne zaigham ke liye uski side ka darwaza khola tha..
Zubai ke is chote se action ne zaigham ke chery pe muskurahat ko or gehra kar dia tha..
( kabhi kabar humara ek chota sa action kisi ki bari khushi ki waja ban sakta hai )
" yeh "
Zubia ke age uska ice cream cup kar ke kaha tha jisse usne khush ho kar pakra tha..
" thank you "
Keh kar usne apni ice cream ka spoon liya tha.. ice cream ke taste ko ankhe band karke feel karte hoe enjoy kia tha.. jisse dekh kar zaigham ki halki si hasi choti thi..
" ice cream itni pasand hai tu pehle batati hum pehle hi ajate "
Zaigahm ne usse tissue pass kar ke kaha tha..
" nahi mujhe zada pasand nahi hai mai bas is liye khati ho take taste bhool na jao warna nahi "
Zubia ke jawab mai koi logic bana tu nahi tha magar ab lazim tu nahi hai har cheez mai logic ho..
" zubia "
Wo apni ice cream mai spoon ghoma rahi thi jab apni ice cream side oe rakh kar apni pori mutwajo zubia ko de kar usne usse pokara tha.. uske pokarne pe wo uski taraf mori thi joke bilkul uski taraf mura hoa tha serious face expressions ke sath wo usse dekh raha tha.. apne hath mai pakra ice cream ka cup samne dashboard pe rakh kar wo usse face kar ke baithi thi.. nervous feel kar rahi thi zaigham ka usse yun dekhna awkward lag raha tha.. kuch dair gari mai pin drop silence hoa tha..
Dashboard khol kar us mai se ek velvet ka box nikal kar zubia ke samne kia tha..
Kampte hatho ke sath zubia ne wo box pakra tha.. zaigham ne uske kampte hath notice kiye the joke usse kuch zada ache nahi lage the...
Box ko khol kar wo heran hoi thi uske andhar butterfly necklace tha teen choti si butterfly thi dekhne mai wo chota zqroor tha magar tha bohot unique.. wo zubia ko bohot pasand aya tha akhir usse is tarha ke necklaces bohot pasand the..
" yeh liye tu ring ke sath hi tha agar de nahi paya exchange ki option hai agar pasand nahi..... "
" thank you.. thank you sooo much mujhe bohot pasand aya hai "
Zqigham ki baat car kar wo boli thi.. change kiyu kare jab usse yeh pasand aya hai usse bhar kar yeh necklace zaigham ki choice hai zubia ke liye..
Zubia ke jawab ne zaigham ke chehry pe muskurahat lai thi..
" may i "
Box ki taraf ishara karte hoe bola tha.. wo jhijki ki joke wo samjha tha...
" its alright "
Zubia ki jhijjag dekh kar wo bola kar sidq hoa tha..
" sure "
Box uske samne kaarti wo muri thi take wo usse pehna pay..
Bina dosri baar soucha zaugham ne usse necklece pehna yaha tha..
" thank you "
Zubia ne kaha tha.. wo halka sa sqr hilata gari ko ghar ki taraf mor liya tha.. wapisi ka rasta wapis dono khamosh the.. wo chery pe fatihana muskurahat liye gaei chala raha tha or wo chery pe mudham si muskurahat liye window se bahar dekhti rahi thi..
Umeed thi dono ko jo awkwardness hai dono mai wo bhi ek din khatam ho jay gi..
YOU ARE READING
viraan
Fiksi PenggemarASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...