40

7 1 0
                                    

" kaha ja rahe ho "

Zayan apni watch theek karta bahar ki taraf ja raha tha jab usse uski dadi ne roka tha..

" kam se "

Jawab muskrasir tha..

" konsa kam "

Unho ne poucha tha..

" bhai chale "

Niche ate hoe zohra ne poucha tha..

" hmm "

Zayan ne kaha tha..

" mujhe walk larni hai mere sath chalo "

Unki dadi sofa se mushkil se uthte hoe boli thi..

" ap mamma ke sath chali jay hume zqra jana hai ap waise bhi tu unke sath hi jati hai "

Zohra polite way mai boli thi akhir janti jo thi ke yeh bas unka tang karne ka bahana hai or kuch nahi..

" tameez se baat karo larki "

Wo gusse se boli thi..

" mai bas... "

" itna shor kiyu ho raha hai "

Zayan bolne bi laga tha jab shor sun kar hashim sahab apne kamre se bahar ay the..

" mere sath walk pe jane ka kaha tha jispe battameeze kar rahe hai dono "

Unho ne jhoot bola tha jis pe un dono ko gussa aya tha insan apni umeer ka hi lehaz karle magar nahi inhe shayd mana thi karna..

" yeh kia mai sun raha ho "

Hashim sahab ne sakht lehje mai poucha tha..

" hum bas yeh keh rahe the mamma ke sath chali jay waise bhi tu unke sath hi jati hai.. agar hum late na ho rahe hote tu chale jate.. "

Zayan bola tha..

" kaha ke liye late ho rahe ho "

Unho ne poucha tha..

" baba hum zubia se milne ja rahe hai "

Zohra ka jawab sun kar unke Facial expressions sakht se narm hoe the..

" jao "

Keh ke wo wapis andhar jane lage the jab bole wapis..

" khali hath na jana usse keh dena jab chahe wo yaha wapis a sakti hai koi roke ga nahi "

Keh kar wo andhar gay the or undono ke chery pe muskurahat ai thi.. wo jitni marzi kushish karle apni fikarmandi dikhane ki jante wo khud bhi the or baki bhi ke wo zubia ke liye kitna fikarmand rehte hai..

Shayd wo zubia se zohra or zayan se zada pyaar na karte ho magar umse kam bhi nahi karte the..

" bhai kia le "

Passenger seat pe baithe hoe zohra ne poucha tha..

" dekhte hai waha ja kar "

Zayan ne keh kar gari start ki thi.. or kuch hi dair mai gafi park karke mall ke andhar gay the..

" yeh kaisa rahe ga "

Zayan ne crockery section mai dinner set dikhaya tha..

" yeh cheez conman hai "

Na mai sar hilate hoe zohra boli thi..

tu phir "

Zayan ne poucha tha..

" yeh kaisa hai "

Zohra ne usse cup dikhay the jis pe zayan ne usse be yaqeeni se dekha tha..

" kia yeh conman nahi? "

viraanWhere stories live. Discover now