" sab ko lag raha tha mamma ne baba ko phasaya hai unki property ke liye jab ke such yeh tha baba ne mamma ko yeh bataya tha unki family pakistan mai nahi hai.. bachpan se baba se yehi sunti arahi thi wo yaha nahi busy hai.. jab bhi kaha hume baat karni hqi ya milna hai wo topuc change kar dete the "
Zubia roki thi..
" mujhe tu sahi se yaad bhi nahi mujhe baba ne dant kar kamre mai jo bhej dia tha magar mere kamre tak yn logo ki chikhne chillane ki awaze arahi thi.. kafi dair tak awaze ati rahi thi mai dar je mare kamre ka darwaza band karke uske sath hi baith gai thi.. jab awaze ana band ho gai tu himmqt kar ke mai niche seating room mai gai thi jaha ab koi nahi tha mamma waha zameen pe baithi ro rahi thi.. "
Zubia wapis roki thi jaise usse apni mamma ka rota chehra yaad aya tha..
" pata hai zaigham wo pehle baar tha maine mamma ki ankho mai ansu dekhe the pehli baar wo roi thi pehli baar maine apni maa ki ankho mai ansu dekhe the.. "
Zubia ne usse bataya tha.. zubia ko sunte hoe najane kab uski khud ki ankhe num ho gai pata hi nahi chala.. ab yeh nahi pata unki ankhe num zubia ke bare mai sun kar hoi hai ya usse yun tota dekh kar..
" niche mamma ke pas baith gai thi mujhe nahi pata tha wo log kon hai unho ne aisa kia kaha hai jisne mamma ko yun rola dia us waqt mujhe bas meri maa roti hoi nazar arahi thi ir baba kahi nahi.. unke jab maine apne hath se ansu saaf kie tu wo bas mujhe dekh ne lag gai thi kuch kehna chah rahi thi magar kia wo pata nahi wo bata nahi pai or mai pouch nahi pai.. wo bas mujhe gale se laga kar roi or mai unke gale lag kar roi..
Us din ke bad mamma khamosh ho gai thi na zada bolti thi na kuch or naa hi baba ghar arahe the.. jab maine poucha wo log kon the or baba ko kaha le gay tab jo unho ne bataya uske bad mai kuch pounche laik nahi rahi thi ( wo log apke baba ki family the unki wife unke baba or unki wife ke bhai or wo log apke baba ko apne sath unke ghar le gay hai ) mera dimag ghom gaya tha yeh sun kar kaise baba ke baba yaha or unki wife? Wo tu mamma hai na tu wo kaise..
Agle din raat ko door bell hoi thi us din ke bad wo aj hoi thi mamma apne kamre mai thi mujhe laga shayd baba ay hai jab darwaza khola tu maria mamma thi bilkul serious face ke sath mere darwaza kholte hi bina intezar kiye wo andhar ai thi darwaza band karke mamma ko bolaya tha is baar mai andhar nahi gai thi siriyu ke piche khari ho gai thi.. unho ne apne bag se envelop nikal kar mamma ko dia tha jisse khol kar wo dang reh gai thi divorce pepper the.. wo us din deal kar ne ai thi baba ko divorce de kar wo mamma ke or mere life time ke expenses pore kare gi agar nahi kiye tu baba ko wo log ghar se bedakhal kar de ge or unhe company mai position se bhi hata de ge..
Mamma ne sign karne se mana kar dia tha jis pe wo bina agli bat kiye waha se gai thi.. us waqt tak itna anzada ho gaya tha mujhe yeh hai baba ki wife wo last time ai thi.. khair ek ghanta bhi abhi pora nahi hoa tha unhe gay hoe jab baba ay the.. mai soch je baithi hoi thi baba ay ge unse shikayat karo gi.. baba ay unho ne kuch bolne ka muka hi nahi dia mujhe.. unke ate hi mamma ro pari thi unhe gusse se unpe chich rahi thi jab baba ne teen alfaz mai unhe chup kar wa dia tha.. talaq.. talaq dedi thi shayd naahi balke yaqeenen baba ko mamma se zada paiso se pyaar tha.. "
Zubia chup hoi thi usse yaad aya tha wo waqia wo sab wk bar phir uski nazro ke samne aya tha.. zaigham ko apna dil dobpta laga tha wo yeh kaise kar sakte hai yeh sawal uske zehen mai aya tha magar jawab nahi tha uska..
" ap aise kaise kar sakte hai pori zindagi ap jhoot bolte rahe fareeb karte rahe ab kia lene ay hai yaha ap pehle se shadi shuda the yaha tak ke apke doo bache bhi the apko ek bar bhi unka khayal nahi aya tha apko andaza hai apne kitni zindagiya tabaho barbad ki hai "
" mai tumhe talaq deta ho..
Mai tumhe talaq deta ho..
Mai tumhe talaq dwta ho.. "Zubia ko apne baba ke kahe alfaz yaad ay the jinhe yaad kar ke aj wo wapis tot gai thi lekin aj farq tha or wo yeh tha aj usse sambhalne wala tha uske sath usse gale lagane wala tha usse yeh yaqeen dil wane wala tha ke wo akeli nahi hai..
" baba keh ke chale gay bina piche more bina dekhe unke in alfaz se samnse wale pe kia biti ho gi wo usse seh paya bhi ho ga ya nahi or mamma usse seh nahi pai thi.. udhar khari wo baba ko jata dekhti rahi thi yaha tak ke wo gayab ho chuke the magar unki nazre ab bhi wohi thi shayd is umeed se ke wo wapis ay or yeh unhe batay unho ne mazak kia hai.. wo nahi ay mamma apne kamre mai chali gai thi.. unke loye pani ka glass le ke mai unke piche gai thi unke pas bed pe baithi thi jab unjo ne mere hath se glass le kar side table pe rakha tha.. or kaha tha..
( zubi kabhi kuch aisa na karna jisse kisi ko muka mile meri tarbiyat pe ungli uthane ka apne baba ki baat humesha manna magar kamzoor na parna yeh dunia or idhar rehne wale log zindagi jahanum bana de ge )
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...