10

10 2 0
                                    

Heran hoa tha wo.. wo usse Islamabad Lahore or najane kaha kaha dhond raha tha ek saal se or the yaha thi hunza mai.. green colour ka kurta pehne hoe thi black trouser or black dupatta ke sath.. baalo ki ponitale banai hoi thi.. mushkil tha usse nazar hatana..

" aham aham kia ap dono ek dosre ko jante hai "

De zafar ne halka sa khans kar un dono se poucha tha.. dr zafar ke pouchne pe wo sharminda hoi thi akhir hospital ke sare doctors mujood the is waqt yaha or wo usse dekh rahi thi..

" meri surgery hai mujhe uske tiyaari karni hai "

Baat ko Palat ti wo boli thi.. haya ko samjh nahi arahi thi akhir isse hoa kia hai ek dum se ek nazar usne usse dekha tha or phir sath hi zaigham ko jo blank expressions ke sath usse dekh raha tha.. zubia ke udhar se bahar jate hi wo excuse karti uske piche gai thi..

Meeting room se bahar nikalte hi uski nazar zubia pe gai thi jo ke train ki speed se chal rahi thi jaise uske piche koi para ho..

Wahi dosri taraf zaigham ka dil pursakoon hoa tha usse zinda sahi salamat dekh kar.. Is din ki usne kab se dua ki thi jo aj usse mil gaya tha..

*****************

" biaaaa rrroookkooo "

Haya ne usse piche se awaz lagai thi joke kisi kam ki nahi thi.. bhagti wo uske pas gai thi usse uske bazo se pakar kar roka tha.. zubia ka chera dekh kar haya ka dil doba tha heran hoi thi pareshan hoi thi akhir hoa kia hai Kos waja se wo ro pari thi.. akhir tha kon wo banda jisse dekh kar zubia ke chery ke rang badle the.. sawal bohot the lekin jawab dene wali ki condition sahi nahi thi..

" bia kon tha wo "

Haya ne apne hath uske chery pe rakhte hoe poucha tha.. kuch second zubia usse bhigi nazro se dekhti rahi thi.. phir jo usne kaha usne haya ke hosh uray the..

" zaigham mera shohar "

Kehti uske gale lagti ro pari thi.. aj wapis haya ko saal pehle wali zubia nazar ai thi tooti hoi..

Uske pas alfaz khatam the.. usne bas zubia ki Kamar pe hath pherte rahi thi usse hosla dene ke liye..

*******************

zuhar ka waqt tha corridor mai the jab zaigham ne poucha tha..

" masjid maha hai namaz parni hai "

Uske pouchte hi dr zafar usse apne sath hospital ki masjid le gay the jaha usne zuhar ki namaz ke sath shukrane ke nafal bhi ada kiye the..

Dua mangne ke liye usne hath uthay the magar uske pas alfaz khatam the.. samjh nahi araha tha kaise apne khuda ka shukar ada kare uski meherbani ka kaise shukar ada kare..

******************

Zubia ki condition nahi thi surgery karne wali tu uski jaga haya ne ki thi.. wo is waqt cafeteria mai baithi apni soucho mai gom thi jab awaz ai thi yeh wi awaz thi jo wo sonna nahi chahti thi atleast abhi nahi..

" yaad ho mai? "

Kia ajeeb sawal tha yeh kaise koi apni haqeqat ho bhool sakta tha bhala.. jo bhi ho Zaigham ki awaz pe zubia me sar utha kar usse dekha tha.. zaigham ke dil ko ajeeb sa laga tha zubia ko dekh kar saal pehle wala chera uske samne aya tha.. ankhe laal thi rone ki waja se chera laal tha.. usse dekhte hi uski ankho mai ansu ai the jinko usne jaldi se saaf kia tha lekin zaigham se wo chup nahi pay the..

" apni haqeeqat ko koi kaise bhool sakta hai "

Usse dekhte hoe boli thi.. Kehti wo uthi thi waha se Jane ke liye jab usse zaigham ki awaz ne roka tha..

" mere sath wapis ap ja rahi hai Islamabad "

Usse waha se jata dekh kar usne kaha tha..

" mai nahi ja rahi "

Zubia ne uski baat ka jaldi se jawab dia tha jaise wo issi ka intezar kar rahi ho..

" or mai apke bina nahi Jane wala.. "

" or mai apke sath Jane nahi wali "

" apki family meri family apke liye kitna pareshan hai apko kia Zara sa bhi andaza hai is cheez ka "

Zaigham ne usse poucha tha.. kuch pal wo usse dekhti rahi thi phir boli thi..

" meri family ke pas mera phone number hai agar unhe mujhse contact karna ho ga wo karle gi plus apki behen ke pas bhi mera phone number hai.. tu mujhe nahi lagta mai yaha chup ke baithi ho "

Yeh kehti wo waha se gai thi.. zubia ke kahe alfazo ne usse gehri souch mai Dal dia tha.. kia yeh such tha ke zubab ke pas zubia ka number tha.. agr han tu aj tak kabhi usne usse bataya kiyu nahi or agar uski family ke pas tha tu kiyu wo ab tak chup baithe the kiyu unho ne zubia se contact nahi kia sawal kafi the jinka jawab waqt ke sath mile ga..

***********************

" bia noor kaha ho tum dono "

Agla din tha subha ke 10 baj rahe the jab zubia apne Hospital ke raste mai thi jab haya ne group call ki.. haya ne aram se poucha tha..

" mai hospital a rahi ho raste mai hai or 1 minute tak hospital ho gi mai "

Zubia ne apna bataya tha..

" mai apne room ki balcony mai breakfast ke sath hunza ka subha ka view enjoy kar rahi ho.. "

Mahnoor ne maze se bataya tha.. jispar un dono ke chery pe muskurahat ai thi..

" waise haya itni tameez se humse baat karne ki waja kia hai "

Zubia ne hospital ke andhar enter hote hoe poucha tha.. wo imagine kar sakti thi haya is waqt kaise apni ankhe ghoma rahi ho gi..

Andhar ate hi uski nazar zaigham pe gai thi joke is waqt reception pe kaha kuch doctors se baat kar raha tha.. dono ne ek dosre ko dekh kar andekha kia tha..

" doo hafte baad mera nikah hai "

Haya ne yeh apni ankhe band karke apna blush jo uske chery pe araha tha usse rokne ki Koshish karte hoe kaha tha..

" kasaaammm khaaa "

Zubia reception pe khari apna AJ ka schedule dekh rahi thi jab haya ne unhe bataya.. Mahnoor or zubia ek sath unchi awaz mai bola tha.. zubia ki awaz pe waha khare doctors ki nazar uspe gai thi.. jispe wo kuch sharminda hoi thi..

" sorry "

Yeh kehti waha se hati thi..

viraanWhere stories live. Discover now