46

8 1 0
                                    

Raat ke 12 baje tak Walime ka function khatam hoa tha.. sare apne apne gharo ki taraf chal pare the.. raat ke is peher raste viraan the..

" yeh ghar ka rasta nahi haina "

Rasta gor karte hoe zubia boli thi..

" nahi hai "

Wo bola tha..

" phir "

Zubia ne poucha tha..

" dekhte hai.. "

Keh kar wo wapis road pe dehan de ne lag gaya tha..

" two ice americano plz "

Coffee shop ke drive thru pe gari rok kar zaigham ne order dia tha..

" And one chocolate ice cream plz "

Zubia ne bola tha jis pe wo has para tha..

" one chocolate ice cream as well "

Zaigham ne order dia tha raat le is peher rush na hone ki waja se unka order panch minute ke andhar andhar agay tha..

" yelo "

Usse ice cream pakrata hoa bola tha or coffee ko gari mai maojood drink holder mai rakh kar age ka safar tay kia tha..

" yeh ab bhi ghar ka rasta nahi hai "

Rasta dekhte hoe wo boli thi.. usse such mai samkh nahi araha tha raat ke is waqt wo dono yun viraan rasto par kiyu chal rahe hai..

" kiyu ke hum ghar nahi ja rahe "

Usse dekh kar zaigham bola tha.. uske jawab pe wo uljhi thi..

" phir kaha ja rahe hai "

Zubia ne poucha tha jis ka jawab usne dene ki bajay chup raha tha.. zaigham ki is harqat pe usse gussa tu aya tha magar kia karti shohar hai uska uska qatal karna munasib nahi tha warna agle din ke news pepper ki headline mai ajati ZALIM BIWI NE KIA MASOOM SHOHAR KA QATAL JAWAB NA DENE KI WAJA SE..

Kuch hi dair ki drive ke bad zaigham ne gari ho hoyel ke samne roka tha jis pe zubja ne usse herangi se dekha tha..

" zayan ne photoshoot or room book kar waya hai humare liye.. "

Isse pehle zubia pouchti kuch zaigham ne bataya tha..

Kuch hi Second mai hotel ke doo staff member ay the unki side ka gari ka darwaza khola tha.. bahar nikal ke wo dobo under gay the or un mai se ek gari ko park karne..

Hotel mai is waqt koi nazqr nahi araha tha siway maneger or kuch staff members ke shayd raat thi is waja se..

Photishoot se pehle zubia ka halka sa makeup touch up kia tha or phir un dono ka photo shoot hoa tha.. raat ke kehle 2:30 tak wo dono free ho kar apne room mai gay the..

Room classy tha.. room ke middle mai king size bed tha jis ke dono sides pe side table the jinke uper lamp thi bed ke ek side ki wall shoshe ki thi jisse bahar kakhubsorat nazara nazar araha tha or dosri side pe kuch fasle pe sofa seating this.. or sath hi ek darwaza joke dressing room ka tha.. bed ke bilkul samne large size mai TV laga hoa tha..

 bed ke bilkul samne large size mai TV laga hoa tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


" tum change karlo "

Room ko ek nazar dekh kar zaigham bola tha.. zaigham ki awaz pe wo ek dam se apne kisi khayal se bahar ai thi..

" ap karle pehle mujhe time lage ga "

Zubia keh kar bed ke pas gai thi apna clutch or phone rakh kar waha apne sar se dupatta utarna shoro kia tha.. usse ek nazar dekh kar wo change kar ne gaya tha..

Change kar ke bahar aya tha.. zubia ka dupatta sar se utar ke an bed para hoa tha or wo khud glass wall ki taraf muh kar ke baithi hoi thi.. wo khamoshi se uske piche kgara hoa tha.. uski nazar zubia ke phone screen pe pari thi jispe kisi aurat ki muskurati hoi photo thi.. yaqeenna wo zubia ki mamma tha akhir shakl jo bohot mil rahi thi..

Wo bina kuch bole uske sath bed pe baitha tha.. dono khamosh the.. wo apne phone screen ko dwkh rahi thi or wo samne glass wall se bahar..

Bina kuch bole zaigham ne usse kandhe se pakar ke khud se lagaya tha or usne apna sar uski seene pe rakha tha.. or dekhte hi dekhte uski ankho se ansu nikal ay the.. wo bola kuch nahi tha bas uske kandhe pe apni grip or tight kar li thi..

Aj un dino mai se ek din tha jab hsse apna mamma ki kami shidat se mehsos ho rahi thi..

( bolte hai guzqrte waqt ke sath insan mai sabar ajata hai magar guzarte waqt ke sath insan ho apno ki yaad or satati hai )

" apne kabhi mujhse poucha kiyu nahi meri family ke bare mai.. kia ap kabhi curious nahi hoe "

Kuch dair bad zubia ne poucha tha uska sar ab bhi uske seene pe tha or usne usse ab bhi thama hoa tha..

" tha balke ho magar tab tak nahi janna chahta jab tak tum comfortable na ho "

Zaigham ne bataya tha.. jis pe zubia ne apni ankhe band ki thi or kuch taza ansuo ko behne ki ijazat di thi..

" hum happy family the baba mamma or mai bas tab tak jab tak hume baba ki pehli shadi ka oata nahi tha.. "

Zubia ne batana shoro kia tha..

" mai bara saal ki thi.. mamma baba ki wedding anniversary thi hum celebrate karne bahar gay the jab maria mamma ke bhai ne hume dekha tha.. wo udhar chup the kuch nahi bole akhir public place jo thi.. humare ghar jane ke taqreeban panch minute bad door bell hoi thi jab khola tu samne dadu maria mamma or unke bhai the.. wo akhri din tha humari khushio ka "

Bolti wo ruki thi uske liye bolne mushkil ho raha tha.. zaigham bina bole usse sun raha tha bas..

" sab ko lag raha tha mamma ne baba ko phasaya hai unki property ke liye jab ke such yeh tha baba ne mamma ko yeh bataya tha unki family pakistan mai nahi hai.. 

viraanWhere stories live. Discover now