15

9 2 0
                                    

" appi ne nahi kaha tha shopping ka.. "

Zubia andhar Jane lagi thi jab zaigham ne usse such bataya tha.. wo heran hoi thi..

" mai apse baat karna chahta tha.. "

" andhera bhar raha hai ghar Jay ap Allah hafiz "

Shopping ka such jante hi uske chery ke rang badle the soft expressions se sidha sakht hoe the..

" kal mai apse milne ao ga Jane se pehle tab tak souchiye ga zaroor wapsi ke bare mai "

Bina uske sawal ka jawab die wo andhar chali gai thi..

****************

" bia ab tak online nahi ai matlb wo ab tak apne husband ke sath hai "

Mahnoor ne chips khate hoe kaha tha..

" ajay gi "

Humza ne apne phone mai kuch bolte hoe kaha tha jis par mahnoor ne usse ek nazar dekha tha..

" acha bas itna souche ke agar usne bia ko mana liya ho or ab wo dono baithe apna future plan kar rahe ho "

Mahnoor ne dreamy style se kaha tha..

" noor mai kiyu soucho jo hoga dekhna unhe haq mai behtar hoga.. agar wo man Jay tu achi baat hai or agar na Mane tu jo ho acha hi ho "

Hamza ne kaha tha jispe noor ne muh banaya tha...

" bohot boring hai ap "

" jo bhi keh lo is boring insan ko pori zindagi Jhelna hai "

Hamza ke bolne pe uske chery pe alag si ronak ai thi..

Beshak shadi ke in do saalo bad bhi wo ab tak sharmai thi hamza ki Jay baato par..

*****************

Raat ki shift thi zubia ki magar koi patient nahi tha jisko attend karna tha na koi aisa patient admit tha jisse monitor karna tha.. apne cabin mai baithi wo aj zaigham ke sath hone wali mulakat ke bare mai souch rahi thi..

Kiya wo sahi kar rahi thi wapis na ja kar? Kia zaigham ke sath Yun baat karna sahi thi uska? Janti thi wo zaigham ki koi galti nahi phir narzgi usse kis baat ki thi? Wapis na Jane ki usse waja na batana kia wo sahi tha? Islamabad usne zaigham ki waja tu nahi chora tha.. waja tha magar usse bhari waja bhi thi..

Waqt uska yeh sab souchte hi guzar raha tha..

*****************

" ap so rahi thi "

Raat ke doo baj rahe the jab zaigham ne zubab ko call ki thi.. uske is sawal pe wo tap pari thi.. kia yeh pouchne ke liye zaigham ne uski neend kharab ki hai..

" nahi nahi sona kiyu hai Maine Maine wo hota kia hai "

Zubab ke Yun bolne pe wo kuch sharminda hoa tha..

" appi wo kuch baat karni thi apne dost ki "

Zaigham ne kaha tha..

" lo gi wapis ye dost agaya "

Zubab ne kaha tha janti thi wo kab bhi usse koi apni baat karni ho tu wo yun hi bolta hai..

" ab kia hoa tumhare dost ko "

Terrace mai jate hoi usne poucha tha..

" mera ek dost hai wo na kuch din pehle ise hi ghomne gaya tha.. usse na ab neend nahi arahi "

Zaigham ne bolna shoro kia tha..

" mai usse kia lorry sonao "

Zubab ne poucha tha Jis par usne na mai sar hilaya tha..

" nahi appi.. wo waha gaya tha wo jaga bohot khobsorat hai wo jo sakoon takashi kar raha tha wo usse waha ja kar mil gaya lekin ab hoa yeh ke udhar usse ek billi mili cute hi pyaari hi.. appi wo billi sab se aram se baat karti hai wo... "

" billi kaise baat kar sakti hai "

Zaigham apni baat ke darmian mai tha jab zubab ne uljhan mai poucha tha...

" meow meow kar ke "

Zaigham ne usse bataya tha..

" acha tu na wo billi sab se aram se baat karti hai agar koi aurat ho tu smile bhi kar deti hai or agar bache ho tu wo khilkhila kar has bhi parti hai.. jab se wo waha gaya haina tab se le jar ab tak wo us billi se taqreeban chaar bar mila hai or aj sab se lamba tha.. wo billi usse usse dekhti tak nahi sahi se agar dekhe tu blank expressions ke sath lekin jo mera dost haina wo jab se us billi se mila hai tab se wo so nahi pa raha pora time wo uske bare mai souchte rehta hai usse kia baat kare wo souchte hai lekin end mai akar wo ek hi cheez pe atak ta hai or wo billi ko pasand nahi wo baat.. wo billi ke sath time spend karna chahta hai jab wo billi uske as pas na ho usse kuch acha nahi lag raha hota.. wo sone ke liye ankhe band kare tu uska chehra uske samne ata hai pori pori raat wo uske khayalo se bahar nahi nikal pata  "

Zaigham ki bata zubab ne Bangor soni thi..

" appi yeh hai kia yeh kiyu ho raha hai mere dost ko wo tu mushkil se us billi se koi chaar bar mila hai tu phir.. "

Uske sawal pe wo halka sa muskura pari thi..

" usse us billi se pyaar ho gaya hai "

Or yaha zaigham ke chery ke rang badle the sar ke uper se asman kr pao ke niche ne zameen nikli thi..

" yeh kaise possible ho sakta hai wo usse bas chaar bar mila hai "

Zaigham ne kaha tha..

" tumhe kia lagta hai pyaar karne ke liye degree leni pare gi ya diploma karna pare ga.. pyaar jab kisi se hona hota hai na wo bas ho jata hai wo na waqt dekhta hai na jaga.. kisi ki ko pehli nazar mai hi pyaar ho jata hai or kisi kisi or umer guzar jati hai pyaar nahi hota ab so jao "

Yeh kehti usne phone kata tha..

Kia such mai usse pyaar hogaya tha?

Kiya such mai usse apni khud ki biwi se pyaar hogaya tha ya yeh bas affection thi? Is sawal ka jawab usse behtar or koi de nahi sakta their is waqt uske pas koi jawab nahi tha..

Subha ke 8 ban rahe the yani zubia ki shift khatam hone mai or koi adha dhanta reh gaya tha.. wo apna saman pehle hi pack jar chuka tha tu ab kuch bacha nahi hoa tha karne ke liye nashta karta wo zubia se milne gaya tha apna saman wahi chor kar..

Wo hospital pouncha tha wo andhar jata uski nazar zubia or waha ke kisi male doctor pe gai thi jo emergency centre ke bahar khare baat kar rahe the zubia chalne lahi thi jab usse us doctor ne roka tha or age jo kaha wo sun kar zaigham ko inteha ka gussa chara tha..

viraanWhere stories live. Discover now