Subha ke pach baj rahe the jab emergency mai heart patient aya tha uski halat dekhte hoe zubia or doctor ali ne unki surgery ki thi time pe ane ki waja se surgery time pe ho gai thi or waqt bhi kam laga tha.. emergency centre se wo dono nikale the.. wo doctor Ali ko patient ki drip ke bare mai kuch bolti waha se Jane lagi thi jab usse dr ali ne piche se awaz di thi..
" dr zubia "
" jii "
Dr ali ki taraf mur kar usne jawab dia tha..
" kia ap mere sath dinner pe chale gi mere ghar meri family apse milna chahti hai "
Jhijhakte hoe unho ne poucha tha.. wo usse kiyu piuch rahe the usse samjh nahi aya tha..
" apki family mujhse kiyu milna chahti hai "
Usne tahamul se poucha tha..
" acutely ap mujhe bohot pasand hai... "
Dr ali ke alfaz sun kar usse jhatka laga tha.. usne tu kabhi unse kam ke iwala baat tak nahi ki phir yeh kia bol raha hai.. usse gussa aya tha magar usse pehle wo kuch bolti zaigham waha pouncha tha.. yeh kab aya usse pata nahi chala magar itna pata tha gussa inteha ka aya hoa hai isse..
" chalo "
Uska hath pakarta dr ali ko ek nazar chorta wo bahar Jane laga tha jab dr ali ne zaigham ko bazo se pakar kar roka tha..
" hum baat kar rahe the.. "
Dr ali ne zaigham ko ghoorte hoe bola tha.. gussa aya tha unhe akhir yeh banda hai kon jo unki or zubia ki baat ke darmiyan araha hai..
" lekin ab Maine baat karni hai "
Dr ali ki ankho mai ankhe dal kar zaigham ne bola tha..
Inki awaze sun kar baki doctors or nurses waha ay the.. zubia un dono ko herangi se dekh rahi thi kia yeh dono bhool gay hai yeh hospital hai..
" yaar tum hote kon ho Yun ane wale donation ke liye ay the ho gai na ab jao yaha se aram se mujhe baat karne do "
Dr ali ne unki awaz mai gusse se kaha tha..
" aram seee hospital hai yeh zaigham bas kare ap bhi "
Zubia chillai thi un dono ko chup karwane ke liye.. zaigham ko bola tha usne wo usse ek nazar dekhte bahar Jane laga tha jab dr ali wapis bole the..
" dr zubia mai apko call karo ga "
" koi zaroort nahi hai "
Zubia ki jaga zaigham ne jawab dia tha jis par dr Ali or bhi zada gussa aya tha..
" ho kon tum jo yeh bol raha hai dr zubia ap chup kiyu hai ap hi kuch bole "
Dr ali ne tang akar zubia ko bola tha..
" biwi hai yeh meri shohar ho mai iska jawab mil gaya tumhe kon ho mai "
Yeh kehta wo zubia ko bahar le jar gaya tha hath se pakar kar apne piche sab ko heran chor gaya tha..
" baitho gari mai "
Bolta apni taraf gaya tha..
" mai khud hostel chali jao gi "
Yeh kehti waha se Jane lagi thi jab usne gusse se usse andhar gari ke bithaya tha..
Wo kuch boli nahi thi janti thi abhi bolne ka koi faida nahi..
" yeh kaha ja rahe ho yeh rasta hostel ka nahi hai "
Zubia ne raste ko gor kia tu wo hostel ka nahi tha pouchne pe usse koi radde amal nahi mila tha..
Kuch dair bad wo cottage ke samne gari ko roka tha..
Zubia heran pareshan idhar udhar dekh rahi thi akhir yeh hai kaha..
Gari se uthar ta usne zubia ko bhi hath pakar ke uthara tha..
" hath choro mere zaigham "
Hath chor wane ki pori Koshish kar rahi thi magar wo Koshish Belarus thi..
" hath choro mera "
Cottage ke andhar the jab zubia ne chilla kar bola tha.. zaigham apni jaga roka tha burke usse ek nazar dekh kar uska hath chora tha..
" mere sath wapis us insan ko waja se nahi Jana chahti na pasand karti ho usse "
Zaigham ne gusse se chilla kar kaha tha.. wo heran hoi thi akhir yeh bol kia raha hai kia usse pata tha wo bol kia raha hai ya gusse ke Alam mai itna khoya hoa tha ke usse pata hi nahi tha wo kar kia raha hai..
" mai apke kisi sawal ka jawab dena lazim nahi samjhti "
Yeh kehti wo morneau lagi thi jab zaigham ne usse uske kandho se pakra tha..
" uski waja se tum yaha hona ek saal se "
Ussi lehje mai usne bola tha.. zubia kuch dair uska chehra dekhti rahi thi jaise parne ki Koshish kar rahi ho..
" mai apko jawab dena lazim nahi samjh ti "
Usne uski ankho mai dekhte hoe bola tha..
" dena pare gaaa biwi ho yum meri sirf or sirf meri.. "
Uske alfaz pe wo dang reh gai thi..
" agar usse pasand karti thi tu nikah kiyu kia mujhse... "
Wo apni baat ke bhich tha jab zubia ne usse dhakka dia tha..
" bas kare awaz mujhe bhi unchi karni ati haiii.. koi nahi hai meri zindagi mai apke ilawa nikah nama sign hi nahi balke apko dilo dinah se qabool bhi kia tha.. or agar hota bhi tu nikah ke bad apki jaga koi nahi le sakta tha "
Chillai thi wo uspe.. zaigham ko zubia ki baat sun kar ajeeb si khushi mili thi lekin uske agle jumle ne uske sar ke uper se asman or pairo tale zameen khinchi thi..
" aj jab koi dosra Mard mujhe yeh keh raha tha tu apki girat jag gai.. biwi tu mai apki saal pehle bhi thi na jab apne mujhe ghar se Jane ka kaha tha 1000 ka note de kar yaad hai wo barish wali raat? "
Zubia ne poucha tha.. wo raat yaad ai thi usse sharminda hoa tha wo.. lekin ab uska faida nahi tha..
" biwi mai tab bhi thi jab mai un viraan rasto par bhigti hoi chal rahi thi.. biwi mai tab bhi thi jab mai brigade par khari apni jaan lene wali thi "
Yeh son kar wo heran hoa tha.. uska dil kampa tha..
" agar us raat wo admi mujhe na bachata or haya na ati tu aj mai mar chuki hoti "
Us kamre mai zubia ki wo halki awaz bhi gonj rahi thi..
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...