Waqt apni raftaar se guzar raha tha dekhte hi dekhte aj saal hogaya tha unke nikah ko ya yeh keh lo zubia ko hunza gay hoe ya zaigham ko usse dhonte hoe ya zubia ki umeed keh shayd kabhi koi usse yaad karke usse call karle ga.. saal bohot si cheeze ko jo gaya tha..
Saal se zaigham usse dhond raha tha.. is arse mai zaigham ne jitni dead body's dekhi thi itni usne apni zindagi ke 26 saalo mai nahi dekhi thi.. dosri taraf zubia ne hunza mai hospital join kar liya tha.. hospital chota tha magar lekin doctors zada na hone ki waja se jo kuch doctors the unpe load bhar jata tha lekin ab uski bhi adat ho chuki thi usse.. roz apni duty ke bad wo udhar hi gaow ke bacho ko parhati thi haya ke sath..
Hashim sahab ne deal khatam nahi ki thi jiska unki family ko unpe gussa tha.. jis deal ki waja se aj unki beti ka kuch ata pata nahi yeh aj bhi inhe inke deal inka business zada aziz tha..
Subha kha waqt tha hashim sahab office ka chuke the.. zohra court Jane ke liye tyaar ho rahi thi jab maria uske pas ai thi..
" aise kia dekh rahi hai ap "
Zohra ne maria se poucha tha apna coat hath mai pakarte hoe..
" yehi ke chal kia raha hai tumhare dimag mai "
Maria ke pouchne pe usne unhe dekha tha..
" matlb mai samjhi nahi "
" matlb saaf hai zubia ko gayab hoe saal ho gaya hai or tum Yun aram se baithi ho be fikar kiyu "
Maria ne sidha point pe baat karna sahi samjha tha nake ghoma phira ke karne se..
" jii Alhamdulillah mai sakoon mai ho is liye nahi ke lapata hai lekin is liye ke wo jaha bhi hogi mehfoz hogi khush ho gi such kaho agar wo mujhe mil bhi gai na mai usse is ghar mai wapis nahi lao gi na kisi ko batao gi wo kaha hai kidhar hai takashi tu Maine uski kabhi nahi chori bas batana chor dia hai.. "
Yeh kehti wo waha se gai thi..
********************
" Asslamulaikum "
Zaigham ne unchi awaz mai salam kia tha or farhan ke pas akar baitha tha.. uske salam ka udhar mujood zubab or farhan ne jawab dia tha..
" chai piyo ge "
Zubab ne poucha tha apni jaga se uthe hoe..
" nahi appi.. bhai apne bolaya tha.. "
Zubab ko mana karta usne apni tawajo farhan ki taraf ki thi..
" han.. mai chahta ho is sab tum meri jaga donation ke liye jao.. "
" magar mai kaise "
Zaigham ne uski baat ko karte hoe bola tha..
" mai is baar ja nahi sakta kuch or zaroori kamo ki waja se is liye mai chahta ho tum meri jaga chale jao "
" bhai magar mujhe kuch pata nahi hai ap kaise karte hai.. "
" bas tumne unhe kuch time ke liye observes karna hai dekhna hai wo donation ke qabil hai ya nahi bas "
Ab ki baat farhan ne uski baat kati thi..
" jana kab hai or kitne time ke liye "
Lamba San le kar zaigham ne poucha tha jisse farhan ke chery pe mudham muskurahat ai thi.. janta tha wo yeh usse mana nahi kar pay ga zada..
" beshak kal ji chale jao ek hafte ke liye "
" Jana kaha hai? "
Jane ke liye uth kaha hoa tha jab usse yaad aya usne yeh tu poucha hi nahi donation ke liye Jana kaha hai..
" hunza "
Farhan ke batane pe wo waha se chala gaya tha..
********************
" haya kaha hai "
Mahnoor ne poucha tha zubia se..
" so rahi ho gi "
Halka sa muskura kar jawab dia tha..
Mahnoor or Hamza kal hi wapis hunza ay the ek maheene ke liye.. or is waqt wo 3no hostal ke garden mai baithe chai pi rahe the.. june ka maheena tha lekin thand udhar aise thi jaise December ka maheena ho..
" usne tu kaha tha usne exercises shoro karni gai or yeh abhi tak so rahi hai.. acha jo bhi ho jao ja kar usse uthan Maine kuch bohot important batana hai tum dono ko "
Mahnoor ko pata nahi kiyu magar reh reh kar gussa araha tha..
" bolati ho roko "
Zubia hasti hoi waha se gai thi.. or kuch hi dair bad haya ke sath waha wapis ai thi..
" kia hai khud tu subha jaldi uth gay mujhe bhi sakoon se sone nahi dia "
Haya ne mahnoor ke sath pari chair pe baithe hoe kaha tha..
" tumne aj se workout shoro nahi karna tha .. "
Mahnoor ne tafteesh ki thi..
" wohi kar rahi thi jiske dushman yahan mere samne baithe hai karne nahi di "
Haya ne chiri hoe lehje mai kaha tha..
" han nazar araha tha gadhe ghore choha billi sab bech kar so rahi thi.. "
Zubia ne keh kar ankhe apni ghomai thi..
" wo workout hi tha mere jab hum so rahe hote hai humare andhar damaged cells heal ho rahe hote hai "
Haya ne keh kar zubia ke hath se uska chai ka cup se sip liya tha jis pe zubia ne usse ghora tha..
" wo mera tha.. "
" mai bhi tumhari hi ho "
Yeh keh kar usne usse cheeze smile di thi jis par zubia ne usse ghora tha wahi un un dono ka kehka chota tha..
" nashta karle phir baki baate karna "
Hamza ne apni jaga se uth te hoe kaha tha..
" mai paratha khao gi "
Mahnoor ne khushi se kaha tha..
" mai noodles "
Zubia ne mahnoor wale andaz se bola tha..
" aj meri bari thi is liye alag alag na "
Yeh kehti hays waha se gai thi nashta banane.. or wo 3no wapis baato mai magan ho gay the..
" yeh kia hai "
Un 3no ne ek sath bola tha.. wo ek nazar paratha noodles ko or ek nazar hata ko dekh rahe the.. Akir yeh ab isse khay kaise.. paratha samjh kar ya noodles.. batana mushkil tha..
" kiya kia hai nashta hai khao aram se "
Haya ne keh kar apna aram se khana shoro kia tha or un teeno ne usse ghora tha..
" noor tum yeh na kaho mai kuch bana deta ho "
Samne pari paratha noodles ko dekhte hoa kaha tha..
" acha aj Jana haina "
Zubia ne pani pine ke bad poucha tha jis par gaya ne sar hilaya tha..
" acha tum saro ne na plzzzz meri mamma ko kehna hai meri shadi ab kar wade kab tak mujhe Yun ghar mai baitha kar rakhe gi "
Haya ko apni shadi yaad ai thi.. zubia ne halka sa sar hilaya tha..
" kiyu hai itni shadi ki jaldi yaar mai nahi kehne wali "
Zubia ne usse tang karna zaroori samjha tha..
" yaaarrrr bia aise na karo naaa "
Haya li aisi baate thi jis par usse hasi ati thi beshak haya thi waja ab uske muskurane ki..
Zubia ko haya or mahnoor ke sath rehna zada pasand tha nake akele rehna wo jab bhi in dono ke sath hoti thi or amumal se zada hasti thi kuch waqt ke liye hi sahi magar uske dimag se sab gayab hojata tha jo rehta tha wo yeh waqt tha jo wo un dono ke sath bita rahi thi..
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...