Dil hi dil mai usne Alhamdulillah bola tha ke wo usse waha akela chor kar nahi gaya..
Room tak usse wo chor kar gaya tha.. room mai doo single bed the samne wali diwar pe window thi jisse nithiya gali ka haseen nazara nazar araha tha.. or ussi duear ke sath ek chota sa dinning table tha..
" yeh le "
koi adhe ghante bad zaigham wapis aya tha.. hath mai pakre shopper usne zubia ko pakra the or wo bed pe baitha tha.. bed pe baithte hi usne apna sar pakra tha.. dard inteha ki ho rahi thi..
Zubia usse dekhti table pe shopper rakhe the un mai se khana nikal kar rakha tha or pani le kar zaigham ke pas gai thi..
" pani "
Usne uske samne ki thi pani ki bottle jisko unse mudham si muskurahat ke sath pakra tha..
" thank you "
" apne bhi kuch nahi khaya kha le sar dard na khane ki waja se bhi ho sakta hai "
Yeh kehti wo table ke pas gai thi.. ek parcel ko khol kar dosri taraf rakha tha or ek ko apne samne..
Uski baat mani thi usne or ise jaise uska khana khatam hoa tha waise waise uska sar dard hawa hoa tha..
" zubia "
Wo parcel utha rahi thi jab zaigham ne usse bolaya tha..
" kal ap sab se pehle apne ghar Jana chahti hai ya mere ghar.. "
Zaigham ne usse janna chaha tha.. jo uske chery pe sakoon aya tha wo gayab hoa tha..
" mai us ghar wapis nahi jao gi tu apne mujhe jaha lekar Jana hai ap leja sakte hai "
Yeh keh kar baat khatam ki thi zubia ne.. dono apne apne bed pe the magar nend dono se milo dor thi..
Apni soucho mai gum reh kar dono ne the raat guzri thi..
agla din tha subha ke 8 baje wo waha se nikle the tab tak jo fog thi wo kam ho gai hoi thi..
Or chaar ghante mai wo dono Islamabad pounche the..
Zubia ko kafi cheeze yaad ai thi yaha se yaha ke logo se joori sab se bhar kar usne ek haram maut marne ki Koshish yaha se shoro ki thi.. jab jab wo yeh souchti thi usse khud se nafrat hoti mehsos hoti thi..
Kuch hi dair mai wo dono farooq house pounche the.. gari park karte hi zaigham zubia ki taraf mutawajo hoa tha.. joke ghar ko dekh rahi thi.. chehra laal hoa hoa tha jaise abhi ro pare gi hatho ke sath khel rahi thi nervousness mai..
" chale "
Zaigham ne usse poucha tha jispe usne na chahte hoe bhi hami bhari thi ab akhir kab tak wo Yun bhage gi Islamabad mai hai tu milna tu tha hai hi ab aj mile ya kal milna tha..
Gari se uthar te wo halke halke kadmo ke sath chalti ghar ke darwaza ke pas pounchi thi.. yeh ghar wo wala nahi tha jaha wo saal pehle ai thi yeh dosra tha..
Lamba sans le kar zaigham ne door bell bajai thi or kuch hi pal bad mulazima ne darwaza khola tha..
Zaigham ko zubia ke sath dekh kar wo heran hoi thi.. akhir yeh larki kon hai.. yeh sawal unke zehen mai aya tha.. zaigham ki halki si hasi choti thi mulazima ko Yun heran pareshan dekh kar..
" mamma kaha hai "
Zaigham ne unse udhar darwaze pe hi khare poucha tha..
" kitchen mai "
Zubia ko dekhte hoe piche kitchen ki taraf ishara karte hoe bola tha..
" Chalo or ap appi ko call kar ke bole ghar ay "
Zubia ko kehta wo wapis mulazima ko zubab ko call karne ka kehta wo kitchen gay the..
Kitchen mai maham chole ke pas kuch kar rahi thi.. zubia udhar hi darwaze pe rok gai thi nervousness mai usse samjh nahi arahi thi wo agay Jay ya wo bhag Jay yaha se dor..
Zaigham usse wahi darwaze pe chorta maham ke pas gaya tha or usse piche se hug kar liya tha..
" Asslamulaikum mamma kia bana rahi hai bohot bhook lagi hai "
Zaigham ne maham se poucha tha.. uske pouchte te hi maham ke chery pe muskurahat ai thi.. apna kam route hi wo piche Muriel thi apne bete wo face karne ke liye..
" waalaikum a salam kab ay...... "
Isse pehle wo apna jumla mukalmal kar pati unki nazar darwaze mai khari zubia pe gai thi.. zaigham ko dor karti wo zubia ke pas gai thi or usse zor se gale laga liya tha.. dono ki ankho mai ansu agay the..
" kaha thi beta aise koi jata hai "
Maham ne piche ho kar pehle usse dekha tha kahi koi chot wagera tu nahi or phir usse poucha tha.. zubia ko lag raha tha jaise uske gale mai kuch phas gaya ho.. bolna uses Mahaal lag raha tha..
" mamma mai bhi ho "
Zaigham ne halki si muskurahat ke sath bola tha jis par maham ne usse dekha tha..
" zubia tum theek hona? "
Maham ne usse poucha tha.. jis par zubia ne halka sa sar hilaya tha..
Wo teeno living area mai baithe hoe the ab.. zubab ko ay hoe kuch dair ho gai thi..
" zubia aise kon karta hai yaar jab is ne tumhe Jane ka kaha isse tum waha se nikal deti nake chali jati "
Zubab ne zubia ko kaha tha..
" sahi kaha agar yeh kar liya hota tu kisi ka bhi yeh ek saal barbad na hota "
kisi souch mai gom zubia ne mudham si muskurahat ke sath bola tha.. zubab or zaigham ne ek nazar ek dosre ko dekha tha or phir usse.. samjh sakte the wo usse..
" waise tumhe zubia kab mili kaha mili or jaise mili jaldi se batao "
Zubab zaigham ki taraf mutawajo hoi thi.. zaigham ki shaman ane wali thi yeh wo samjh gaya tha..
" hunza mai "
Zubab se for hota usne bola tha..
" hunza mai kab or kaha "
Zubab ne usse ghoorte hoe poucha tha..
" mujhe laga apne bata dia hogaya "
Zubia ne heran ho kar bola tha ke usne ab tak zubab ko bataya nahi..
" pagal ho mai inhe bataya inho ne sath hi udhar pounch Jana tha.. "
Zaigham ne zubia ko bola tha..
" usse kia bol rahe ho mere sawal ka jawab do "
Zaigham ko is waqt zubab kisi maths teacher se kam nahi lag rahi thi..
" jis din hunza gaya tha tab se "
Yeh kehta wo waha se jaldi se uth kar maham ke pas kitchen mai gaya tha..
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...