" fikar na kar unke pas iska number wagera hai agar unhe contact karna hoa wo karle ge fikar na karo Maine uska transfer wahi kar wa liya hai "
***************
Raat ka waqt tha mahnoor apne ghar ja chuki thi haya kitchen mai dinner ki tiyaari kar rahi thi jab zubia uske pas akar khari hoi thi..
" kal kitne baje nikalna hai? "
Zubia ke pouchne pe haya ne uski taraf dekha tha..
" are you sure tumhe kisi se nahi milna "
Haya ne poucha tha jispe wo mudham si muskurai thi..
" han agar mili tu ja nahi pao gi or ab yaha mai rokna chahti nahi "
Zubia li baat samjhi thi wo shad sahi bhi tha Jana is waqt uska yaha se jitna wo is jaga rahe gi utna hi wo us sab ke bare mai souche gi..
" subha fajar ke bad take raat tak pounch Jay or han yaad aya tumhari packing mai kar chuki ho tu uski fikar na karna ab baitho or rest karo "
Sar hilata wo waha baithi thi.. kafi dair tak wo dono idhar udhar ki baate karte rahe the or dinner ke bad sone chale gay the akhir subha jaldi jo uthna tha..
Fajar ke bad wo Islamabad ko or yaha ke logo ko alvida keh kar apni nai manzil ki aur chal pari thi.. najane hunza uske liye kia naya la raha tha.. kuch nahi wo janti thi.. jaha usse kismat le kar ja rahi tbi wo ja rahi thi.. magar sawal yeh tha hunza uski zindagi mai konsa naya mor lane wala tha..
Subha ka waqt tha sab so rahe the lekin koi tha insan mai jo sharmindagi or nadamat ke samandar mai dob raha tha.. usse bachne wala koi nahi tha siway uske jo uski galti ki waja se Lapata thi..
Kash usne usne usse us bhigti viraan raat mai Yun akela na chora hota.. tu aj wo yun sharminda or nadamat mai jhol na raha hota..
Bazahir din char chuka tha magar uske kamre mai ab bhi adhi raat.. andhera karke apne bed ke pass zameen pe baitha apne hath ko dekh raha tha.. yeh wohi hath tha jisse usne nikah nama sign kia tha yeh wohi hath tha jisse usne usse hath se pakar kar ghar se nikala tha.. nafrat ho rahi thi usse khud se magar abhi waqt yun baith kar yeh sab souch ne ka nahi tha balke usse dhond ne ka tha..
Zameen se uth kar wo freshen up hone gaya tha.. kuch hi dair mai wo apni gari ka engine on karta apne ghar se nikla tha.. khuch hi dair mai wo kisi hospital ki parking mai apni gari park karta uske andhar gaya tha..
" dr zubia hashim hai yaha? "
Zaigham ne receptionist se poucha tha..
" sorry sir magar is hospital mai koi dr zubia hashim kam nahi karti "
Receptionist ne saaf inkar kia tha.. udhar se nikal kar kisi dosre hospital gaya tha waha bhi zubia ka poucha magar jawab wohi tha jo pehle mila.. akhir thi kaha wo yeh sawal uske zehen se nahi nikal raha tha..
Gari ko kahi park karke ab wo Sarak pe nikla tha zubia ke bare mai pouchne pe magar wo akele naam ka kia karta dunia mai hazar zubia tu thiAb konsi ki wo baat kar raha hai kisi ko kia pata..
Chalte chalte uske zehen mai kuch aya tha jisse usne ek second bhi zaya kiye bina apna phone nikal kar zubab ko call ki thi..
" ab kiyu call kar rahe ho "
Ukhtai hoi awaz mai zubab ne poucha tha.. uski awaz sun kar uska dil dukha tha magar abhi waqt nahi tha is sab par dehan dene ka..
" appi zubia se apne baat ki thi us din haina? "
" tumne yeh pouchne ke liye call ki hai "
Ussi lehje mai jawab dia tha..
" appi plzzz "
Zaigham ne guzarish ki thi..
" han ki thi.. "
" great tu apne yeh poucha wo konsa hospital mai job karti hai "
Umeed thi uski awaz mai jo wo samjh sakti thi..
" JCW hospital "
Isse pehle wo age kuch bolti zaigham ne phone cut kar dia tha.. apni gari ki taraf bhaga tha.. gari mai baith kar usne GPA on kia tha JCW hospital ka.. kuch hi dair mai wo waha pouncha tha..
" excuse me "
Zaigham ne andhar kisi doctor ko roka tha..
" ji "
" dr zubia hashim ai hai aj yaha "
Usne poucha tha..
" mujhe nahi pata ap reception pe pouch le unhe bata ho hoga "
Doctor yeh keh kar waha se gay the..
" dr zubia hashim ai hai yaha aj "
" ek minute sir "
Yeh keh kar usne apne samne pare computer mai check kia tha..
" sorry sir dr zubia nahi ai balke unho ne tu resign kar dia hai.. "
" ohh tu kia ap mujhe unka ya unki kisi dost address de de "
Usne manga tha..
" sorry sir magar hum kisi doctor ki information aise hi kisi ko nahi de sakte.. "
Usne saaf inkar kia tha..
" acutely mai bank se aya ho unka credit card mai issue tha is liye meri Job ka sawal hai ma'am plz agar ap bata deti tu "
Usne jhoot kaha tha is umeed se ke shayd wo uspe tars kha kar bata de..
" sorry sir magar mujhe kuch nahi pata.. "
Kuch na pata chalne pe wo bahar ka raha tha jab usse doctors of the month pe zubia ko photo nazar ai bina waqt zaya kiye usne apne phone mai uski photo li thi.. or kafi dair tak hospital ke as pas apne ghar ke as pas raste mai chalte logo ko rok kar uski pic dikha kar uske bare mai pouch raha tha.. raat ho gai thi magar uska kuch pata nahi chala tha..
Wo apne ghar ke andhar Jane laga tha jab Isha ki azan shoro hoi thi.. udhar se hi wo sidha masjid gaya tha wadu karke jamad ke sath namaz ada ki thi.. aj pehli baar uski dua mai uski maa or behen ke iwala or aurat ke liye usne dua mangi thi.. uske mil Jane ki uski hifazat ki apne kiye ki maafi..
namaz ke bad wo apni mamma ke ghar gaya tha.. udhar jate hi wo sidha apne namar wale kamre mai gaya tha jaha uski ammi dua mang rahi thi unke pas zameen pe uske sath baitha tha or kuch hi waqt mai unki gaudi mai apna sar rakh kar leta tha.. khud ba khud uske ankho se ansu behne shoro hoe the..
" Maine aj pora din usse dhonda hai magar wo mujhe kafi nahi mili na police ko.. mamma mujhe sakoon nahi mil raha jaise kuch mere andhar jal raha ho.. galti maine ki hai na tu sidha ro ga bhi mai zaroor wada hai yeh mera mai usse kaise na kaise dhond kar lao ga magar ap bas mujhse Yun naraz na ho warna mai himmat har jao ga plzz.. "
Wo ro para tha.. aj pehli dafa wo Yun siskiya le kar roya.. maham ne uske sar pe hath phera tha..
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...