" nahi "
Usne halka sa has kar jawab dia tha..
Bill karwa kar wo dono ja rahe the jab zubia ki nazar baby clothes pe gai thi.. unhe dekhte hi uske chery pe muskurahat ai thi..
" andhar ja kar dekh lo "
Wo apne dehan bolta hoa ja raha tha jab usse koi jawab na milne pe usne apni side pe dekha tu zubia gayab thi Barbara kar piche dekha tu wo baby clothes or unki dosri cheeze ko dekh rahi thi.. uske chery pe muskurahat thi..
" nahi abhi nahi next time sahi "
Yeh kehti wo zaigham ki taraf mori thi uske hath se ek do shopper liye the or chqkne ka ishara kia tha..
Grocery ko ghar chor kar wo maham ke ghar ke liye nikle the.. AJ sunday hone ki waja se farhan bhi tha udhar mujood..
" Asslamulaikum "
Ghar ke andhar ate hoe undono ne unchi awaz mai salam kia tha jiska jawab udhar mujood har shaks ne dia tha..
" ooho na bhi deti tu koi problem nahi thi "
Zubab ne kaha tha jab zubia usse uska kal wala suit wapis kar rahi thi..
" lele warns next time lene se pehle souchna pare ga "
Zubia ne halka sa has kar kaha tha..
************************
" khudh ho "
Farhan ne zaigham se poucha tha jis par uske chery pe muskurahat ai thi..
Wo dono us waqt ghar ke back yard mai the..
" khush se zada pursakoon ho mutmain ho jo kho gaya tha wo wapis mil gaya hai tu khush ho Alhamdulillah "
Zaigham ne kaha tha..
" Alhamdulillah "
" souchta ho agar us din Maine na usse Jane ka kaha hota na wo sab hota tu aj jo humme jhijhak hai jo fasle hai wo shyd na hoti "
Usse apna amal yaad aya tha jis par wo sharminda hoa tha..
" wo waqt bhool tu nahi sakte magar is waqt ko khubsutrat bana sakte ho past ko souchte rahi ge tu present ji nahi pao ge is liye apne aj oe force karo nake kal pe ro "
Farhan ne usse kaha tha jis par zaigham ne sar hilaya tha..
********************
" ap kia souch rahi hai "
Maria kitchen ki khirki se bahar garden ko dekh rahi thi ab dekh bhi rahi thi ya apne khayalo mai khoi hoi thi yeh wohi janti thi..
Kitchen mai pani ka jug hath mai pakre zohra ai thi jab uski nazar udhar khari maria pe gai thi na chahte hoe bhi usne poucha tha.. zohra ke pouchne pe wo uski taraf mori thi..
" kuch nahi "
Maria ne saaf inkar kia tha.. Maria ka jawab uske facial expressions se match nahi ho raha tha..
" mamma kia baat hai baba se larai hoi hai ya phir dadi ne kuch kaha hai "
Jug ko table pe rakhte hoa zohra ne usse poucha tha.. zohra ke sawal pe maria ke chery ke udas si muskurahat ai thi..
" kisi ne kuch nahi kaha bas kuch porani yaade yaad agai thi "
Maria ne kaha tha zohra uljhi thi magar mazeed kuch pouchna munasib nahi samjha tha..
" mamma past yaad karke insan bas pashtata hai jisse kuch hasil nahi hoga siway dukh or takleef ke magar usse sikha ja sakta hai ke jo tab kia wo wapis na ho.. kuch galtiya sudhari nahi jati magar Koshish ki ja sakti hai wo wapis na repeat ho "
Yeh kehti wo waha se gai thi akhir such hi tu kaha tha guzre kal ko yaad karke tekeel ke iwala kuch nahi milta magar Koshish ki tu ja sakti haina wohi galti repeat na karne ki..
******************
Raat ke koi 10 baje wo dono wapis ghar ay the.. zubia ko grocery wagera 11 se 11 : 30 ho gay the jab wo finally tak har ke seating room mai baithi thi wohi zaigham ghar ate hi apne laptop pe kuch mails check karne lag gaya tha akhir subha se waqt jo nahi mila tha...
" coffee pini "
Raat ke is waqt na chahte goe bhi zubia ka dil coffee pine ka kar raha tha akhir kam ke bad ek cup tu banta hai.. haina?
" is waqt "
Apne laptop screen se nazre hata kar usne zubia se poucha tha joke usse ek umeed ke sath dekh rahi thi.. zaigham ke pouchne pe zubia ne sar hilaya tha.. jis pe wo mana nahi kar paya tha.. zaigham ki han sunte hi wo kitchen ki taraf bhagi thi wohi wo usse mudham muskurahat ke sath dekh raha tha..
" yeh le "
Kuch hi dair bad zubia doo coffee ke cup ke sath udhar wapis ai thi or usse uska cup de kar wapis apni jaga par baithi thi..
" zubia "
Wo apni coffee pine mai magarn thi.. zaigham ke bolane pe wo uski taraf mutawajo hoi thi..
" jii "
" hospital jab bhi Jana ho bata dena mai le jao ga "
Zaigham ke bolne pe wo kuch uljhi thi hospital kiyu? Uski uljhan wohi soljha sakta the..
" hospital kiyu "
Usne poucha tha..
" job join nahi karni? "
Zaigham ke batane ne ab usse samjh ai thi hospital kiyu..
" abhi nahi mai kuch time dena chahti ho apni new life ko "
Zubia ne bataya tha bezahar tu confident lag rahi thi magar wohi janti thi yeh bolte hoe wo kitni dari hoi thi..
Zunia kr jawab pe zaigham ke chahry pe muskurat ai thi jisse usne chupane ki koi kushish nahi ki thi..
Agla din tha sunday hone ki waja se aj bhi zaigham ghar pe tha... subha fajar ki namaz ke alarm pe zaigham ki ankh khuli thi.. alarm band karke usne apni dosri taraf aram se soti zubia ko dekha tha kuch second usse dekh kar wadu karne gaya tha..
" zubia fajar ka waqt hai "
Wadu kar ke usne zubia ko uthaya tha.. usse fajar ke lige uthata wo khud namaz ke liye masjid gaya tha..
Namaz par ke zubia kuch dair waise hi baithi black expressions ke sath niche jainamaz ko dekh rahi rahi thi.. dua ke liye hath uthqy the magar kia mage or kis ka shukar ada kare samjh nahi arahi thi usse..
YOU ARE READING
viraan
FanficASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...