48

5 1 0
                                    

( zubi kabhi kuch aisa na karna jisse kisi ko muka mile meri tarbiyat pe ungli uthane ka apne baba ki baat humesha manna magar kamzoor na parna yeh dunia or idhar rehne wale log zindagi jahanum bana de ge )

Yeh unke akhri alfad the jo unho ne mujhe kahe the.. agle din jab wo subha dair tak soti rahi thi maine unhe uthane ki koshish ki wo uthi nahi dar ke maine baba ko mamma ke phone se call ki magar unho ne uthai nahi.. mamma baraf ki tarha thandi hoi hoi thi kiyu nahi pata bar bar call kar rahi thi wo utha nahi rahe the utni dair mai hafsa appi a gai thi joke us waqt humare ghar kam karti thi.. mamma ko dekhte hi unho ne ambulance ko call ki thi joke kuch hi dair mai pouch gai thi.. jab doctor ne check kia tu bataya wo tu raat ko hi inki death ho gai thi..

Hafsa appi ne mujhe room ke bahar bitha kar reception se baba ko call ki thi joke is baar receive hoi thi.. unhe mamma ki death ka pata chalte hi wo waha kuch hi dair mai pounche the maria mamma ke sath..

Hospital ate hi baba doctor ke pas gay the or maria mamma ne mujhe dekhte hi gale laga liya tha us din wo alag thi wo pichli baar se mukhtalif thi.. unho ne mujhe gale aise lagaya tha jaise wo mujhe in logo se bachane ai hai..

Hospital mai kuch formalities mai time lag na tha tu maria mamma mujhe apne sath ghar le gai thi wahi baba hospital mai the..

Unke ghar jate hi dadi ne mamma ko mujhe wapis chor ane ka kaha tha unke alfad the ( yeh bhi apni maa ke sath hi mar jati manhos ) tab dadu ne mere sar pe hath rakha tha or zohra appi ko mujhe apne room mai le jane ka kaha tha.. zayan bhai or appi us ghar ke har shaks se mukhtalif the..

Mamma ne janaze ke bad jab sab ne mujhe kisi orphanage mai chorne ka faisla kia tha tab zayan bhai or appi mere liye lare the.. unke sahare mai us ghar mai rahi itne arse.. "

Zubia ne usse apne pori kahani batai thi apne ikhtilafat ke bare mai bataya tha.. jisse zaigham ne chup chap aram se suna tha..

Aj zindahi mai pehli baar haya or mahnoor ke iwala koi usse sun raha hai or wo bekhoof mutmain bata rahi hai bina is dar ke usse wo judge kar ga..

( zindagi mai agar koi apko sunne wala mil jay tu wo bhi kisi nemat se kam nahi.. )..

Dono chup the bol koi bhi nahi raha tha.. kuch pal bad zubia piche hati thi..

Is pore waqt mai ab zaigham ne uska chera dekha tha joke ansu se gila hoa hoa tha andaza tha usse ke hoga.. usne apne dono hatho se uska chahra pakra tha or uske ansu saaf kiye the..

" its alright hmm ab mai ho idhar tumhare sath tumhare liye "

Zaigham ne usse bataya tha jis pe usne halka sa sar hilaya tha.. yeh alfad zaigham ne sun kar zubia ko ek ajeeb si apnayat ka ehsas hoa tha.. khud ba khud uske dil si ALHAMDULILLAH nikla tha..

" mai change kar ao "

Yaad ane pe wo ab tak apne bridal dress or jewellery pehne hai or ab bhi makeup kia hoa hai.. keh kar wo change kar ne gai thi..

Purple trouser shirt mai change kar ke wo bahar ai thi.. baal gile hone ki waja se towel mai the..

Wo akar bed pe baithi thi jab zaigham ne uske samne coffee ka cup kia tha.. jisse dekh kar zubia ke chehry ke muskurahat ai thi..

" mujhe laga abhi iski zarorat ho gi "

Zaigham ne usse bataya tha..

" waise ap kiyu alag rehte hai "

Kuch dair bad zubia ne poucha tha.. uske is sawal pe wo uljha tha..

" matlb "

" mera matlb ap ek choti si family hai uncle aunty zubab appi.. unki shadi ho gai wo chali gai lekin ap waha kiyu nahi rehte "

Zubia ne poucha tha.. uske is sawal pe wk muskuraya tha or usse bilkul face karke baitha tha..

" humare nikah wale din mai yaha shift hao tha kiyu ke joint family system islam mai nahi hai "

Zaigham ne bataya tha.. han yeh such hai islam mai joint family kuch nahi hai magar yeh cheez har koi nahi samjh ta..

" soy "

Zaigham ne poucha tha..

" fajar hone wali hai "

Zubia ne time dekh kar bataya tha..

" phir game khele "

Zaigham ne excited hote hoe poucha tha..

" konsi "

Zubia ke pouchne pe zaigham ne usse pubg khol kar dikhai thi..

" mujhe yeh game zeher lagti hai magar khelte hai "

Zubia ne excited hote hoe kaha tha.. or unka baki ka waqt pubg mai guzra tha.. zaigham ne usse khelni sikhai thi..

Fajar ke bad wo dono so gay the thakawat bohot thi let te hi neend un dono ne meherban hoi thi..

" thank you "

Zubia boli thi.. wo janti thi pubg wo kiyu kehna chahta tha sirf uska mind fresh karne ke liye..

Jawab mai wo kuch bola nahi tha bas muskuraya tha..

Subha 11:30 tak zubia ki ankh kholi thi.. zaigham ab bhi so raha tha.. is liye wo uth kar shower lene chali gai thi kab tak wo wapis ai thi tab tak wo bhi uth chuka tha or ab apne phone kuch dekh raha tha..

" kab uthi "

Zaigham ne usse waha dekh kar poucha tha..

" jab ap so rahe the "

Wo keh ke has pari thi or wo uska jawab sun kar.. sar hilata wo bed se khara hoa tha..

" mai nashta order kar deta ho pehle "

Wo shower lene jane laga tha jab usse nashta yaad aya tha..

Aj unki lunch zubab ke ghar pe thi or sham mai zubia ke ghar yani zayan ke ghar..

Nashte ke kuch dair bad wo dono apne ghar ke liye nikle the take tiyaar ho kar wo zubab ke ghar time pe pounch jay..

viraanWhere stories live. Discover now