"Uth jao Aadi aur kitna so ge Fajar ki Azan honey wali hai"ye pehli awaz thi Jo us ke kano'n ke rastey uskey dmagh tak puhnchi.
"Ammi bus 2 minute aur bus 2 minute " aur phir jnab behosh
Safya-Khanum Jo ke aata goondney ke lye gai thi'n apna kam khtam karkey bawarchi khaney se bahir aa gai'n
" Tm abi b so rhey ho? Ye larka Yha'n merey lakh uthaney per nh uth rha wha'n hostal me kaisey nmaz pdhta ho ga?"
"Aadi tm uthttey ho ya me tmharey Baba Jan ko awaz lgao'n?" Safya-khanum ne akhir kar dhamki de dali
" Kuch khuda ka khof kijye Ammi Baba Jan ko awaz lganey se Acha hai aap mulkalmoat ko awaz de dijye " Aadi ne jaldi se uthttey hue kha.
" Nalaaik itna bda ho gya hai Lekin aqal tkey ki nh hai aisey b bhla boltey hain "
Ammi ne aik chpat uskey sir per lgatey hue kha.Safya khanum Aadi ko ghusalkhaney ki traf bhej kar apni SAS ke pas aai'n
" Safya soney deti'n becharey ko abi kal hi to bechara poorey 2 mahino ke bad aaya hai " Aadi ki Dadi ne Potey ki trafdari kartey hue kha.
" Maa'n g aap to achi trha janti hai'n ke in ke Baba kitney naraz hotey hai'n is ki to class lagey gi hi sath me Meri aur aur khas kr Jabran ki b class lgey gi wo pehley hi kehtey hain ke Jabran ke lad pyar ne isey buht zyada bigar dia hai " Safya Khanum ne jwab dia.
Aadi wazoo karta hua ye Sab kuch sun rha tha
" Yar pta nh ye chutya'n hoti hi q hai itney mzey ki hostal ki zindagi chodh kr ghar aa kr Baba Jan se dar dar kar geo " Aadi ne Dil me socha
Aadi ne jaldi se wazoo kia aur masjid ke lye rwana hogya
Masjid me Sher-Alam-Khan aur Jabran Khan pehli suf me mojod th
Nmaz aur Bukhari Shareef ka durs leney ke bad wo ghar ke lye rwana hue
Rastey me Milney wala har shaks Sher Aalum Khan ko slam kar rha tha
Sher Aalum Khan ne peechey mudh kar dekha to Aadi aaj kal ki Aam adat ke mutabik taka jhanki me masroof tha
Jabran Khan ne usey Sher-Alam-Khan ki traf mutwajja karney ke lye apni kuhni se tahoka dia to usney jaldi se nigahe'n jhukai'n to Sher-Alam-Khan ne afsos ke sath sir ko jhatka aur aagey rwana hue
" Sudhar ja Sudhar ja! Ye Multan nhi'n hai jha'n tm apney dosto'n ke sath mter ghasht per nikley ho ye hmara gao'n hai " Jabran ne usey yad dehani karwatey hue kha.
" Bhai kya kru'n? Ye aadaat Ab jatey jatey hi jai'n gi " Aadi ne aankh martey hue kha
" Tm nh sudhro ge " Jabran ne hanstey hue dheemey lehjey me kha
Itney me Sab ghar puhnch gae jha'n nashtey ki tyari Chal rhi thi
Chotey Papa (Noor-Aalum-Khan) abi dood dho kar tbailey se lotey hi the unho'n ne herani aur khushi se Aadi ko dekha
" Tm kab aae?" Noor-Aalum-Khan ne jaldi se usey gley miltey hue poocha.
"Chotey Papa raat aaya tha aap Sab so rhey the to me ne ye munasib nh samjha ke aap Sab ko be aram kru'n " Aadi ne apni sfai pesh ki
"Abi merey sath chalo Teri Choti Ammi b tujey buht yad kar rhi thi'n" Noor-Aalum-Khan ne us se israr kia
" Chotey Papa aap Chalye me thori dair tak aap ke pas aata hu'n"
" Jaldi aana hm tmhara intzar kar rhey hai'n " ye keh kar Noor Aalum Khan chaley gae
Is ke bad Aadi ne apney bag se gift nikaley aur kamrey se bahir aaya
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...