Part 15

454 38 5
                                    

Qk un dono ke Ldai jaghdey ke doran Aadi ke Baba Jan sarey ghar walo'n ke sath Noor-Alum-khan ke portion me hi aa gae the

"Wwwwwwo kuch nh" Aadi se to jaisey koi bat hi nh ban rhi thi

"Bus b kia kijye bhai Jan aap to har waqt becharey Aadi ki class leney ko hi tyar rehtey hai'n ye Mano b kisi se kam nh hai" Razya khanum ne apney bhanjey ki trafdari kartey hue kha qk wo nh chahti thi'n ke aaj ke baburkut din ka aaghaz b becharey Aadi ki class se ho

"Ha'n Shair-Alum buht hua Ab Khabardar Jo aaj Aadi ko kuch kha to!" Aakhir Khan begum ne b Aadi ki side li

Shair-Alum-khan to us waqt to full mood me the ke Aadi ki tbiyat Safya ki jae Lekin Itney zyada hmaitio'n ke darmyan unho ne Zuban ki bjaey Aankho'n se ghoor kar hi kam chlaya

Itney me Mahzaib kitchen se Aadi aur Mano ke lye khana le aai to uski surkh surkh aankho'n ko dekh kar Shair-Alum-khan chonk pdey

"Mahzaib ye tmhari aankho'n ko kya hua hai?" Shair-Alum-khan ne fikarmadi se poocha

"Kuch nh hua bdey Papa bus wesey hi aankhe'n surkh ho gai hai'n" Mahzaib ne lounge me dakhil hotey hue Jabran ko dekh kar nazar churatey hue kha

Jabran ne ghor se dekha to Mahzaib ki aankho'n ki surkhi usey b kafi zyada lagi

Is se pehley ke Mahzaib ki tarf se di gai sfai per koi jirrah karta mulazim ne aa kar itlaa di ke gao'n ke kuch log Shair-Alum-khan se Milney aae hai'n

Phir Shair-Alum-khan bahir chley gae aur baki sab apney apney kamo'n me lag gae

Ghar me Rwa'j tha ke ghar ke sarbrah yani Shair-Alum-khan subha kuch nh Khatey they balkey eid waley din Jo pehla luqma Khatey wo qurbani ka gosht hota lhaza wo chaley gae baqi sab lounge me beth kar nashta karney lagey

Jabran ke dinning table per aaney ke bad Mahzaib lounge me nh aa rhi thi balkey mulazima hi sab kam kar rhi thi

Jabran ne Aadi se isharey me poocha ke halat kaisey hai'n to Aadi ne aankho'n se ishara kia ke sab kuch control me hai

"Dadi aap kab bat kre'n gi?"Aadi Jo khan begum ke bilkul nazdeek betha tha us ne betabi se khan begum se sargoshi me poocha

"Abi nh pehley me Shair Aalum se aur Safya se bat kar lu'n phir me aagey bat kru'n gi" Khan begum ne jwab dia

"Please Dadi jaldi kijye ga Aaj sham ko Mamu'n wagera rishtey leney aur deney aa rhey hai'n?" Aadi ne bechaini se kha

"Tumhein kis ne btaya?" Khan begum b Ab preshan ho gai'n thi'n qk unhe'n dar tha ke agar Shair-Alum-khan ya Noor-Alum-khan ne zuban de di to phir koi b kuch nh kar skey ga

"Aadi me apney kamrey me ja rhi hu'n tum apney Baba aur Ammi ko foran wha'n bhejo" khan begum ne uthtey hue kha

Dadi potey ki khusar phusar kisi ke lye koi nai bat nh thi qk Dadi potey ki buht dosti thi Lekin yu'n khan begum ka nashta chodhtey hue achank se uthna herankun tha

Sab ne swalia andaz se Aadi ki tarf dekha Lekin wo kmal adakari karta hua kandey achka kar wha'n se khisak gya

Dinning table per Bethey hue kisi aur ko to shaid koi farq pda ho ya na ho Lekin Mano dant pees kar reh gai us se kha'n ye bardasht nh ho rha tha ke Aadi us se koi bat raz rakh rha hai

Dosri tarf Aadi jaldi se apney portion me aaya jha'n us ki Ammi nmaz e eid ke lye pehney janey suit check kar rhi'n thi'n

"Ammi aap ko aur Baba Jan ko Dadi Ammi apney kamrey me bula rhi hai'n"  Aadi ne Safya khanum ko mukhatib kartey hue kha

"Khair to hai? Maa'n g abi to Mahzaib ke pas Sara din rehney ka keh rhi thi'n phir achank wapis q aa gai'n?" Safya-khanum ne Aadi se swal kia

"Ammi Ab me kya keh Sakta hu'n?" Aadi ne kandey achkatey hue kha

"Ab ye itna masoom shkal na bnao bhla aisey ho Sakta hai ke Khan begum ya Mano ki koi bat ho aur tumhein na pta ho? jao ja kar apney baba Jan ko b bula lao" Safya-khanum ne Aadi ko Acha khasa rgaid dala tha

Aadi ne wha'n se khiskney me hi aafiyat jani warna pta nh aur kya kuch sunna pdhta

Phir Aadi drawing room me aaya jha'n Shair-Alum-khan aur Noor-Alum-khan logo'n se mil rhey the

Shair-Alum-khan ne andar dakhil hotey Aadi ko dekha to wo foran us ki tarf mutwajja hue qk Aadi jab aisey binbulae aae to koi eham bat hi hoti thi

"Baba Jan aap ko Dadi Jan apney kamrey me bula rhi hai'n" Aadi ne jijhaktey hue kha

Shair-Alum-khan khan mazrat kartey hue uthey aur andar ki tarf Chal diye  Aadi khan begum ke kamrey tak to sath aaya phir wha'n se khisak gya qk.
.
.
.
.
....

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now