Razya Khanum ki bat ne to usey hila kar rakh dia tha
"Muma ko pta tha ke uska hath q jla" Dil dil me'n wo buht shaminda hui
"Maa'n ko sab pta hota hai wo alehda bat hai ke wo apni aulad per zahir nh karti" Razya Khanum ne Mahzaib ki jhuki hui peshani ko chooma
"Tum kya smajhti ho ke tumhari psand mujh se chupi hui hai?" Unho'n ne Mahzaib ki jhukey hue chehrey ko ooper uthatey hue poocha
"Muma please mujey ghalt mat samjhye ga" Mahzaib ro deney ke kareeb thi
"Acha to kya samjhu'n?" Unho'n ne wzahut mangi
"Muma sirf me hi unhe'n pasand karti hu'n" Mahzaib se to bat hi nh ki ja rhi thi
"Acha to is lye har rishtey se inkar ho rha tha" Unhe'n sharminda sharminda si Mahzaib ka ye andaz buht Acha lag rha tha
"Nh Muma aisi to koi bat nh hai" Mahzaib to buri phansi thi
"Acha to ye bat hai to aaj aik rishta aa rha hai"
Mahzaib ka dil doobney lga
"Poocho gi nh khiska?" Mahzaib bechari kya poochti uski to Jan per ban aai thi
"Jabran ko janti ho na uska rishta aaya hai kya kehti ho inkar kar du'n?" Razya Khanum ne uski thodi ko pkadh kar ooper uthaya
"Muma" Mahzaib Razya Khanum ke gley lag gai
"Acha ab bus b karo kya rulao gi?" Razya Khanum ne Mahzaib ko apney se alehda kia
"Aap to wesey hi to rhi hai'n" Dono'n aik sath Hans dee'n ajab dhoop chao'n ka aalum tha honto'n per to hansi thi lekin sath me lagi aansoo'n ki jhadi thi
"Chalo me'n sakina aur uski beti ko bulawa bhejti hu'n abi Hme'n aaney waley mehmano'n ka buht Zabardast sa isteqbal b to karna hai" Razya Khanum ne usey soch me gum dekhtey hue kha
"Muma Sham ko Mumani b aa rhi hai'n?" Mahzaib be bat adhuri chodh di
"Tum be fikar raho me sab sanbhal lu'n gi tum aisi bato'n per preshan na hua karo ye udasi tumharey chehrey per achi nh lagti" Razya Khanum ye keh kar bahir chali gai'n
Mahzaib ke dil se to jaisey bojh sa utar gya ab wo be fikri se sham ki dawut ka ihtemam kar sakti thi to wo tyario'n me lug gai
********""*"""""""""*********""""""
"Choti Ammi Choti Ammi kha'n ho Aap" Aadi ne poora ghar sir per uthaya hua tha
"Abey o Aadi ke bachey q gla phadh rhey ho?" Mano ne Sara ghussa us per utara
"Abey O moti tum se matlab? tum wo kam karo jo tumhe'n suit karta hai" Aadi kha'n bakhshney wala tha
Mano ne Hath me pakda hua mug hi khainch Mara
Jo sehun me dakhil hotey hue Rehmat chucha ki kmer me lga waqai Kisi ne kya khoob kha hai kai har khaney pe likha hai khaney waley ka nam ab chahey wo khaney wali cheez ho ya Choti"Hae Me mar gya" Rehmat chucha ke gley me to pehley hi emplifire fit tha jo moka be moka bajta hi rehta lekin ab to moka b tha to Aap khud hi sochye
"O so sorry Rehmat chucha me ne to is Aadi ko Mara tha"
"Aur Hamesha ki tarha'n us hmley me me'n aa gya Hae OE" Rehmat chucha ne bat poori ki
"Bilkul theek kha Aap ne chucha itefaq aik martba hota hai ya do martba ab har bar to itefaq nh ho sakta aur har bar wo hi gisa pita bahana ke Aadi ko marney lagi thi chucha me'n to kehta hu'n Aap aaj ye bat clear kre'n ke Aakhir is ki Aap se aisi kya dushmani hai" Aadi ne jalti per tail dala
"Aadi tum to ho hi aik number ke fasadi ab agar aik aur lafz kha to mujh se bura koi na hoga" Mano preshani bhool kar Aadi ke sir ho gai
"Han Choti bitya aaj hum ko bta hi diyo ke ham se aisi kya ghalti ho gai hai'' Rehmat chucha b Aadi ki bat ko such man gae
"Hae merey Allah phir se! Mano tumhe'n khuda samjhey ab ki bar kya mar dia" Razya Khanum ne peshani per hath Mara
"Muma wo to me ye sab Aadi ki ghalti hai na ye mujh se ladta aur na me is ko mug Marti" Mano ne danto'n ke neechey zuba'n dbai
"Aadi jao Rehmat lala ko Dr ke pas le jao" Aadi usey le kar chala gya
"Muma wo me" Aadi se koi bat nh ban pa rhi thi
"Mano bus buht ho chuka jao Mahzaib ka hath btao" Razya Khanum ka lehja do tok tha
Kuch dair ke bad Aadi wapis aa gya
"Choti Ammi kha'n ho Aap" Aadi ne bzahir se awaz lgai
"Aadi andar aa jao" Razya Khanum ne lounge se awaz di jha'n wo mukhtalif araish zebaish karwaney masroof thi'n
"Choti Ammi jaldi se saman ki list bna de'n ta ke me jaldi se ja kar wo saman bazar se le aao'n"
"Konsa saman?" Unho'n ne bzahir anjan bantey hue kha
"Wohi saman jo Aap sham ko mujey khilae'n gi" Aadi b kha'n dam me aaney wala tha
"Choti Ammi ab ye suspense khtam b kijye mujey buht kam karney hai'n Aakhir meri Aapi ki shadi hai" Aadi ne bat khtam kar di
.
.
.
..
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...