Aadi ne peechey mudh kar dekha to Mano aankho'n me aik khas chmak Jo sirf Aadi ko tang karney ke bad aati thi sjae us ki patli hoti hui halut se mehzooz hoti hui khadi thi
Phir Aadi ne dartey dartey Mahzaib Aapi ki tarf dekha to unho'n ne Aadi per aik Sarsari si nazar dal kar phir apney kam me mashghool ho gai'n
Aadi ke lye ye buht takleef deh bat thi ke Aapi us ko ignore kre'n
"Jo hoga dekha jae ga" Aadi ne apney aap ko kha aur bawarchi khaney me ghus gya
"Aapi" Aadi ne awaz di
Lekin Mahzaib ne peechey mudh kar b na dekha
Aadi Mahzaib ki side wali shelf per chadh kar beth gya
"Aapi?" Aadi ne dartey dartey pukara
Lekin Mahzaib ne phir b koi jwab na dia
"Lagta hai ke Meri phir se tbiyat khrab ho rhi hai " Aadi ne lehjey me nikahut bhartey hue
"Kya hua" Mahzaib ne sab kam chodhtey hue Aadi ki peshani ko chotey hue fikarmandi se poocha
"Aapi abi to kuch nh hua Lekin agar aap aisey hi mujh se naraz rhi'n to mujey kuch na kuch zaror ho jae ga" Aadi ne Mahzaib ki fikarmadi dekhtey hue kha
"Na laik aisey b bhla kehtey hai'n? Khuda na krey tmhe'n kuch ho" Mahzaib ne Aadi ke chehrey per hath phairtey hue kha
"Aapi mujey muaf karde'n " Aadi ne sir jhuka kar muafi mangtey hue kha
Lekin Mahzaib ki tarf se bilkul khamoshi thi
Mahzaib Ab b Aadi ko mukammal ignore kar rhi thi
"Aapi Meri pyari Aapi Ab ghussa thook b do wesey b aap ko ghussa suit nh karta" Aadi Mahzaib ke samney ja kar khda ho gya
"G Aapi is ke mu'n per hi thookna yehi sarey fsad ki jadh hai" Mano ne Mahzaib ka ghussa badhaney ke lye kha
Aadi us ki bat per khol kar reh gya Lekin wo aaj ke din Mano se ladh kar is din ka Maza kirkara nh karna chata tha
"Jao tm dono bahir dinning table per betho me nashta LA rhi hu'n" Mahzaib ne in do no ko ignore kartey hue kha
"Me khi'n nh ja rha agar Aap ne mujey muaf na kia to me b Mustfa kmal ki tarha yha ehtjaji camp lgao'n ga" Aadi ne Farah per bhethey hue kha
"Aadi me tm se naraz nh hu'n" Mahzaib ne Aadi ki tarf pyar se dekhtey hue kha
"To phir Aap mujh se bat q nh kar rhi'n? Aadi ki Ab to aankhe'n b bhar aai'n thi'n
"O chanda me tm se bilkul naraz nh hu'n" Mahzaib ne Aadi ki peshani choomtey hue kha
Mahzaib Aadi aur Mano se be intha pyar karti thi to wo kaisey in ki aankho'n me aansoo bardasht karti aur khas kar Aadi ki sulah Jo aur sbar wali tbiyat ki waja se Aadi me to us ki Jan basti thi Halankey Mano se b wo buht pyar karti thi Lekin Mano ki Ziddi tbiyat Ki waja se wo aksar us se zich ho jati thi
"Acha Ab jao bahir me tm dono ke lye nashta lati hu'n" Mahzaib ne unhe'n bahir bhejhtey hue kha
"Aapi aap ne isey Itni jaldi muaf kar dia Jabkey mujh se rat aap ne kitni minnate'n karwai'n ye to koi bat na hui" Mano ko to Mahzaib ka Aadi ke liye pyar dekh kar aag hi lag gai thi
"Mano Ab Bat ko mat bdhao me nh chahta ke aaj ke is Mubarak mokey per koi badmazgi ho" Aadi ne apna ghussa zabt kartey hue kha
''Bus bus Ab tm dono Yha'n mat Ladhna me tm dono ki roz roz ki Ldai se tang aa chuki hu'n jao bahir ja kar bhetho" Mahzaib ne dono ko danttey hue kha
Dono khamoshi ke sath bahir aa gae
Mahzaib,Aadi,Mano ke elawa baqi sab ghar waley subha subha kabristan gae hue the in ke ghraney me mamool chalta aa rha tha ke eid ki subha ko sab ghar waley kabristan zaror jatey the
Bahir lounge me Mano aur Aadi aik dosrey ko ghoor rhey the
" Tmhari us ghatya planning ki waja se Aapi ne sari rat mujh se bat nh ki aur pta hai wo kitna roi hai'n buht mushkil se unhe'n mnaya hai sirf tmhari waja se Aapi mujh se naraz hui hai'n Dil to chahta hai ke pani se bharey jug se tmhari dono Aankho'n ke darmyan stemp lga du'n ta ke tmhe'n aainda yad rhey ke Merey aur Aapi ke darmyan kabi na aana" Mano ne jug uthatey hue khonkhwar lehjey me kha
"Wah har kamyabi apney Khatey me aur har nakami per mera nam likh deti ho ye btao ye chand rat wala idea kis ka tha" Aadi ko b us ki bat per ghussa aa gya
"Wwwwo mera hi idea tha me ne kab inkar kia Lekin tmhe'n takreer karney ka kis ne kha tha" Mano ne kuch dheemey hotey hue kha
"Jesey tm to sab kuch mujh se hi pooch ke karti ho? Me tm se q poochta? Us waqt mujey Jo Theek lga wo me ne kia" Aadi b aaj eent ka jwab pthar se deney per tula hua tha
"Kya Theek tha aur kya kia ye tm kis lehjey me bat kar rhey tmam adbo adab university ki canteen per baich kha aae ho" Aadi ye awaz bilkul sor-e-israfeel ki trha mehsoos hui qk
.
.
.
.
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...