Taaruf!

1K 52 37
                                    

Sardar Alum khan Niazi ka ghrana apney elakey ka Jana mana khandan senkdro'n aikar arazi ka malik tha

Aalum khan kafi pdhey likhey insan they unho'n ne na sirf apni arazi me izafa kia balkey kai spinning mils aur oil mils b lgai'n

Alum khan ki shadi apney khandan me hi Sardar Orangzaib Khan ki sahubzadi Naseem khanum se hui jinhey Sab khan begum kehtey hai

Shadi ke kafi arsa tak Khan ke ha'n aulad paida na hui to khandan ke bdey bhodho'n ne buht zor lgaya ke Khan ki dosri shadi ho jae Lekin Alum khan buht pyar karney waley shohar sabit hue unho ne Sab ko do took alfaz me samjha dia ke wo Allah ke faisley per razi hain agar Allah ne mujey aulad se nwazna hua to Allah Meri isi shareek e hyat se nawaz de ga

Allah ne Khan ki ye shukar guzari ko qabool farmaya aur Khan ki azmaish ko khtam kartey hue pehley Sher Aalum khan se aur kuch arsa bad Noor Aalum khan se nwaza

Alum khan ka khwab tha ke un ke betey buht zyada taleem hasil krein aur khandan ko aagey badhaie'n aur ye Sab kuch hota wo apni aankho'n se dekhein

Lekin khuda ko kuch aur hi manzoor tha jab Sher Aalum khan Matric aur Noor Aalum khan Satvee'n jmat (class) me the to Sardar Aalum Khan Aik Road Accident me is dunya e Fani se Chal bsey

Sari zimma'n dariya'n Sher Aalum khan ke kando'n per aan padi'n jis ki waja se Sher Aalum khan Bachpan se hi aikdam Medan e amal(Practical life) me aa gae

Aik bachey ke lye ye buht mushkil hota hai ke aisey waqt me jab usey abi dunya Dari ka kuch pta na ho aisey me sarey kabeeley aur ghar bar ka bojh apney kando'n per uthana

Lekin Sher Aalum khan ne bdi khush asloobi se Sab kuch choti si umar me sanbhal lia

Na sirf Ahsan treekey se sanbhala balkey apney karobar ko aur zyada vusaat di

Sardar Aalum khan ne apni zindagi me hi Apney dono beto'n ko aik dosrey kabeeley ke Sardar Rab Nawaz khan ki betio'n Safya khanum aur Razya Khanum se mansoob kar dia tha

Jesey hi Noor Aalum khan ki pdhai mukammal hui un do no ki shadi kar di gai

Khan begum ne apney do no beto'n ko shadi ke foran bad alehda kar dia  aur sari jaidad brabr hisso'n me bant di

Is bat per do no bhaio'n ne aitraz kia  Lekin Khan begum ne do tok andaz me kha ke me nhi'n chahti ke Merey bacho'n me se koi ye sochey ke uskey sath na insafi hui hai aur bda chotey ka hissa kha gya hai ya koi ye sochey ke mehnat chota kar rha hai aur aaish bda bhai kar rha hai

Is lye logo'n ko tmasha dikhaney se Acha hai ke me khud ye kam kar du'n Ab dono apna khao aur apna kmao

Aakhir dono bhaio'n ko bat manni padi

Sher Aalum khan ko Allah ne Do Beto'n Jabran aur Adnan(Aadi) Aur Noor Aalum Khan ko Allah ne Do Betio'n Mahzaib Aur Mahnoor(Mano) se nwaza tha

Sher Alum khan apni sakht geeri ki waja se poorey elakey me mashoor the Lekin do hastio'n ke liye wo resham ki trha narm the aur wo do hastia'n un ke bhai ki betia'n Mahzaib aur Mahnoor thi'n

Khas kar Mahnoor me to in ki Jan atki thi mjal hai ke Mahnoor koi bat mu'n se nikaley aur uskey Bdey Papa us ki wo farmaish poori na krein

Aur isi waja se Aadi usey bdey Papa ki chamchi kehta tha

Isi waja se in ke darmyan jang aksar chalti hi rehti hai aur beech bchao Jabran aur Mahzaib ko hi karwana pdhta tha

Ldai ke darmyan Mahzaib,Noor Alum Khan aur Razya Khanum ke vote Aadi ke haq me aur Jabran, Sher Aalum Khan aur Safya Khanum ke vote Mahnoor ke haq me hotey the

Aur hmesha faisla Mahnoor ke haq me hi hota tha qk judge b to usi ka tha yani Baba Jan

Khan begum ka role ghar me sirf itna hi hai jitna Sadr e Pakistan Mamnoon Hussain ka Pakistan me

Jabran khan kuch arsa pehley Economics me PhD mukammal kar ke Sweden se lottey hi unho ne khandani karobar sanbhal sanbhal lia tha.

Jabkey Mahzaib Noor-Aalum-Khan botani me M Phil hai'n aur Aaj kal larkio'n ke CLG me Botany pdha rhi hain

Jabkey Adnan khan Multan ke Gilani Law Collage me Law ke 3rd semester me hai

Mahnoor jisney king edward collage me admission na honey per poorey ghar ko sir per utha lia tha Halankey Allama Iqbal medical college me uska admission ho gya tha Lekin usney admission leney se Saf inkar kar dia aur apney shehar me hi university ke sub campus me Bs Chemistry me admission le lia

Sab ne usey buht samjhaya Lekin wo tus se mus na hui qk wo Bdey Papa ki ladli Jo thi

Sher-Alam-Khan aur safya-khanum ke b sans me sans aai qk wo Mahnoor ko apni aankho'n se ojhal nh karna chahtey the

Ab Sher Aalum khan khud apni Bhateji ko university le kar jatey the aur le kar aatey the

Sher Aalum khan ki ye dili khuwahish thi ke us ki do no bhateejia'n isi ghar me hi rhein Lekin wo is silsley me apney bacho'n per kisi b kisam ki sakhti karney ke bilkul haq me nh the balkey yu'n kahye ke apni bhatijioo'n se sakhti karna nh chahtey the

Ab pta nhi'n in ki ye khuwahish poori ho gi ya phir khuda ko kuch aur hi manzoor hai!

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now