Lekin Jesey hi Mano ne usey chua to usey Aadi ka poora jisam bukhar me tapta hua mehsos hua jis ki waja se Aadi behosh tha
Us ke to pao'n ke neechey se zameen nikal gai wo bhagti hui dinning room me aai
Sab ne usey aisey hwas bakhta dekha to sab hi preshan ho gae
"Mano kya hua? Aadi ne kuch kha kya? Badey Papa ne apni ladli se poocha
"Badey papa Aadi ko buht zyada bukhar hai aur wo kuch bol b nh rha" is ke sath hi us ne rona shuro kar dia
Ye sun kar sab log bhagney ke andaz se Aadi ke pas puhnchey to wo behosh pda hua tha
Noor-Alum-khan ne jaldi se usey uthaya aur kandey per dal kar foran bahir aae jha'n abi Jabran apni gadhi se nikal hi rha tha
Us ne jab ye sab dekha to wo bhag kar pas aaya
"Aadi aadi" usney usey bulaya lekin wo apney hwas me kha'n tha jo use wo koi jwab deta
"Chotey papa isey kya hua hai?" Us ne Noor-Alum-khan khan ki traf dekha
"Kuch nh hua isey jaldi se gadhi me betho" Ye keh kar wo jaldi se gadhi ki traf bdhey to jesey Jabran ko b hosh aa gya
Wo b jaldi se gadhi ki traf bdha aur driving seat sanbal li
Wo jaldi se hospital puhnchey aur Aadi ko admit krwa dia
Sab buht zyada dar gae the q k aaj kal dengi bukhar ka b buht zor tha
Doctors ne buht sarey test karwae ab sirf test reports aaney ka intzar tha aur Allah Allah kar ke wo b aa gai'n
Aur khuda ka shukar tha ke koi sanjeeda masla nh tha
Doctors ke mutabik zyada darney ki bat nh thi sirf mosmi bukhar tha aur blood pressure bdha hua tha jiski waja se Aadi behosh thaSari raat hospital me hi guzar gai subhaa khi'n ja kar Aadi ko hosh aaya
Aadi ko hmesha hospital se buht dar lgta tha isi lye Jesey hi uski aankh khuli to us ne cheekh cheekh kar poora hospital sir per utha lia( itna bda hospital sir per uthana to kisi ke bus me nh me to sirf kahawat byan kar rha hu'n)
Ab us ka case b koi Aisa NH tha jiski waja se usey chutti na milti Lekin ab private hospital waley kha'n chahtey hai ke koi jaldi wha'n se jae
Pehley to unho be buht nakhrey kiye Lekin jab in se Taaruf hua to sarey jhag ki trha Beth gae
Phir b kartey karwatey ghar aatey aatey dopahar ho gai
Ghar me Mano ne ro ro kar sarey ghar walo'n ke nak me dam Kia hua tha
Subha se aik hi rut lgai hui thi ke usey hospital Jana hai aur isi chkkar me us ne subha se kuch khaya b nh tha
Ghar walo'n ki uskey roney se koi masla NH tha qk ye Sab kuch to chalta hi rehta tha asal masla ye tha ke us ne subha se kuch khaya nh tha
Sab us ki minnat smajt kar rhey they ke wo kuch kha le Lekin us ki wo hi rut thi ke hospital jae GI to khana khae GI
Ab ghar walo'n ki ye dar tha ke ye wha'n ja kar Aadi ke sath koi nya jhgda karey GI
Is se pehley ke ghar waley koi faisla kartey masla jul ho gya
Aadi hospital se ghar aa gya to Sab ki sans me sans aai
"Ab to kuch kha lo ab to Aadi b aa gya hai" Mahzaib ne Mano ke aagey hath jodhtey hue kha
"Acha ab me Itni b sangdil nh hu'n ke Meri Aapi mujey koi kam khe'n aur me in ki bat na manu'n Laiye khana" Mano ne Aansoo saf kartey hue kha
"Dramey baz" Mahzaib ne hanstey hue biryani us ke samney kar di
"Aapi I love you" Mano ne Mahzaib se kha
"Janti hu'n Meri Jan ab maska lgana chodho aur jaldi isey khtam kro me Aadi ke pas ja rhi hu'n TM b jaldi se wha'n AA jana" Mahzaib ne bartun smaittey hue khe
"Aapi wo mujh se naraz hai" Mano ne sir jhuka kar usey btaya
"Q naraz hai?" Mahzaib ne us ki traf dekha
"Wo Aapi raat Meri aur uski buht zabardast Ldai hui thi aur me ne usey buht bura bhla kha" Phir us ne Sab kuch Mahzaib ko mannoun bta dia
"O Merey khuda Mahnoor TM kab badi ho gi?" jab b Mahzaib ghussey me hoti thi to wo Mano ka poora nam leti thi
"Aapi me manti hu'n mujh se ghalti hui hai Lekin Aadi ko b larkio'n ke barey me Aisa NH bolna chahye tha" Mano ne sfai di
''Acha ab bus b kro tm jaldi se khana khtam karkey Aadi ke kamrey me aa jao me kuch karti hu'n" Ye keh kar Aapi bahir chali gai Jabkey Mano khana khaney lagi Lekin us ka dil bilkul b kuch khaney ko NH kar rha tha
Us ne biryani wesey hi chodhi aur wo b jaldi se Aadi ke kamrey ki traf Chal padi
Jaisey hi usney kamrey me pao'n rkha.
..
..
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...