Part 19

467 34 10
                                    

Jabran ko Aadi per buht ghussa aa rha tha wo smajh rha tha ke Aadi phir se koi masti kar rha hai

Jabran ke tewar dekh kar aik pal ke lye to Aadi b dar gya

"Aadi ab tm merey hath se pito ge seedi tarha se btao ye sab kya hai?" Jabran us ki kisi bat per yaqeen karney ko tyar na tha

"Bhai aik to aap ke lye me ne itna Kuch kia jabkey aap b mujh per hi chadhai kar rhey hai'n jaiye me aap se bat nh krna chahta" Aadi waqai naraz ho gya

Jabran ne b aik pal ke lye socha mujey is ki bat sunni chahye shaid ye such keh rha ho

"Acha Yar q naraz hotey ho ab btao asal bat kya hai?" Jabran b ab bat khtam karna chahta tha

"Bhai bat ye hai ke Dadi Jan ne Ammi aur Baba Jan ke samney aap ki Mahzaib Aapi ki shadi ki bat rakhi to Baba Jan aur Ammi buht khush hue lekin sath hi dadi Jan ne 2 Sharte'n b rakhi'n"

"Konsi 2 Sharte'n?" Aadi ki bat kattey hue Jabran ne poocha qk jha'n usey itni asani se bat banti hui nazar aa rhi thi whi'n dar b tha ke khi'n Kuch aisa na ho jae jis ki waja se Mahzaib us se door chali jae

" Pehli shirt ye hai ke eid ke duswe'n roz ye shadi ho jae aur dosri shirt ye hai ke Meri  b aap ke sath hi shadi ho" Aadi ne bat khtam ki

"Shukar hai aisi wesi koi bat nh thi tm ne to meri Jan hi nikal di thi wesey jis ki shamut aai hai Jo apna nam tumharey nam ke sath Josh kar ye bla apney Sir le rhi hai mujey to us bechari se buht hamdardi mehsoos ho rhi hai tujh jesey bandey ko to sirf hmari Mano hi theek rakh sakti hai wesey wo bechari hai kon? Me us ki mulaqat Mano se karwana chahta hu'n ta ke wo us se tumhe'n kabu me rakhney ka tareeka seekh skey" Jabran ko apna rasta saaf nazar aatey hi Sharte'n soojh rhi thi'n

"Udaiye Mazaq aur udaiye aur wo merey nam ke sath apna jodh kar mijh per koi ehsan nh kar rhi balkey ye to mera bda pun hai ke us jesi chudail ka nam apney nam ke lga  rha hu'n aur wo pehley se hi seekhi skhai hui hai Bdey Papa ki Chamchi" Aadi ne b khoob dil ka ghubar nikala

"Kya tumharey lye Mano ka intikhab hua hai? Acha to is lye preshan ho me to samjha tha ke Mishal ke sath tumhari bat ho rhi hai wesey abi Mano ki shadi nh honi chahye abi to wo bachi hai abi to us key khelney aur Sharte'n karney ke din hai'n" Jabran ne bzahir sanjeeda lehjey me Aadi ki tang khainchi

G merey lye aap ki us ladli Jangli billi ka intkhab hua hai aur wo bachi aur mai to Qaim Ali Shah ka class fellow hu'n na" Aadi ko to jesey aag lag gai thi

"Acha Yar naraz q hotey ho abi to khud hi  to Mano ka nam apney nam ke sath jodh kar bda ehsan jta rhey the" Jabran ne b uski bat pkadh li

" Wwwwwwo me ne to aisey hi keh dia tha aik to aap b bal ki khal nikal laitey hai'n Bhai Chalye Nmaz ka waqt honey wala hai aur me Nmaz ke waqt se pehley apna waqt Baba Jan se khrab nh karwana chahta " Aadi ne Jan chudhwai aur lambey lambey dug bharta hua wha'n se chla gya

Jabran ne zair-e-lub muskratey hue Aadi ki pusht ko dekha

"Tum aur Mano merey hatho'n me khailey ho tm btao ya na btao mano ya mano Aadi apni Mano ke bghair aur Mano apney Aadi ke bghair adhuri hai aur me ye tm dono'n se manwa kar hi rhu'n ga" Jabran ne ehud kia

Phir wo b tyar honey ke lye chal pda

Nmaz wagera se fraghat ke bad wo ghar wapis aa gae

Jabran ne ghar aatey sath hi Mahzaib ko Eid Mubarak ka message kia

Kafi dair intzar ke bad b jab reply na aaya to Jabran ne aik aur message bheja lekin jwab wo hi hasbey sabik rha yani ke thenga 👎

Jab Kafi messages ke bad b jab koi jwab na aaya to usney likha

"Aur na sahi eid ka hi kuch ehsas hona chahye

Mubarak bad ka Acha sa Kuch  jwab hona chahye

Mana ke Teri ulfat ke kabil nh hu'n me'n

Lekin Kuch puraney rishto'n ka b lehaz hona chahye"

Aakhir kar jwab aa hi gya aur jwab b Kuch dil jlaney wala sa tha

Jwab Kuch yu'n tha

"Itni Mubarak bad dekh kar hm  heran reh gae

Phir dhadkno'n ki le sun kar psheman reh gae

Phir apni  khushfahmi per khud hi Hans diye

Socha Is inaam ke haqdar hm KB se reh gae?

Khuda ke lye ye ulfate'n usi pari chehra per lutaiye

Jin ki khatir shehzada e gulfam ab tak tanha reh gae

Puraney zakhmo'n ko na rugaidye hai ye wasta

Is sans ko azab na bnaiye Jo hai'n chund reh gae''

Jabran ne jwab me likha

"Me ne Rulaya tujh ko ye mera hai kasoor

Deta rhu'n me ab sfaiya'n ye bat hai fazool

Tum ne churaya chain mera aur dil ka sakoon

Phir b hu'n gunahgar me ye kaisa hai kanoon?

Ik bat to bta ae shehzadiye aflatoon

Kya sakoon o chain ka chor b hota hai Masoom?

Ab b Mujrim hu'n me tera ye mujh ko hai maloom

Har saza hai mujh ko terey hath se qabool"

Ye sab likh kar usney phir bheja lekin koi jwab na aaya

Itney me Mulazim Jabran ko bulaney aa gya aur Jabran qurbani ka intzam karney lga

Udhar dosri tarf Aadi Noor-Aalum-Khan ke portion me tha

Jha'n Mano aur Aadi aik dosrey ko aankho'n ki taqut se zakhmi Karna chah rhey the

Unki poori koshish thi ke wo aankho'n se koi laser beam nkale'n aur aik dosrey ko fna kar de'n

Lekin ba wajood lakh koshish ke dono'n me se koi b apney iradey me kamyab nh ho pa rha tha Qk ye asli zindagi hai koi "Man of Steel" film nh

Wesey dono'n lag b buht pyarey rhey they shaid unka ka irada aik dosrey ko nazar lganey ka tha (wesey yha'n aik swal to poochna banta hai ke kya waqai nazar lagti hai wesey mujey to aaj tak nazar nh lagi wesey chote'n Kafi lagi hai'n wo alehda bat hai ke har dafa chot ke size me variation ho jata hai yani ke kabi chote'n 8" number ki hoti hai'n aur kabi 9" aur quality me b variation hoti rehti hai yani ke kabi service kabi Lisa aur Mashallah aaj kal to Chawla b  lekin velocity Mashallah will be constant)

Lekin un dono'n ko to pta nh nazar lagti ya na lagti Mahzaib ke chehrey per khelney wali dheemi dheemi si muskan ko nazar lagney ka khatra tha

Mahzaib bar bar Mobile  sacreen ko dekh rhi thi aur wo muskan jisey Mano aur Aadi achi tarha'n se pehchantey they

Ab dono'n ne apni dushmani ko psepusht daltey hue apney shak ko yaqeen me bdalney ka irada kia

Phir wo dono'n dbey qadmo'n aapi ki tarf gae aur phir.
.
.
.

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now