Part 40

607 27 24
                                    

Mano ko lag raha tha ke Sabeeha us ka dhyan Aadi ki us cheap harkat se divert karwana chahti hai is lye wo aisi kahaniya'n suna rahi hai

Lekin Sabeeha jis ke sath khailtey hue jwan hui thi aur jiska sath school se college aur college se hota hua Ab university tak puhanch chuka tha wo bhala us ke sath aisa jhoot q boley gi

Kuch bate'n chahey wo jitni b jhutla de itni b sada nhi'n thi'n jitney sada tareekey se wo hul ho gai'n thi'n

bat koi do sal purani hai jab King Edward College me admission na honey ka ghum poorey josh o kharosh ke sath mnaney ke bad jab us ne Sabeeha wagera ke sath University me admission leney ka irada kiya to tab tak buhat dair ho chuki thi classes ko start b kab se start ho chuki thi'n Sabeeha wagera se bat ki lekin koi faida na hua sab ne next session me admission ka mashwara dia lekin us ka kya faida hota Sabeeha wagera mujh se senior ho jati'n chahey wo meri kesi b achi friend hai lekin hoti to uski senior, wo phir akeli reh jati aur itney mushkil subject me uska BS karna Aik khawab hi reh jata tabhi us ne rut laga di ke admission hoga to abi hoga warna kabi nhi'n hoga to sab ne buhat samjhaya lekin wo kaha'n sunney wali thi Sara Sara din kamrey me padi rehti Sher-Alum-Khan ne buhat zor lgaya lekin kahi'n koi bat na ban saki sab log samjha rahey the ke agar Faraz karo admission ho b gya to itna syllabus itney kam waqt me kaisey complete karo gi aur ooper se mid exam b nazdeek hi hai'n lekin wo na mani unhi dino'n Aadi Jo ke out of city FSc kar raha tha wo b Apney final paper de kar ghar aa raha tha

"Asslam-u-alikum Deen Chacha kya hal hai'n?" Aadi ne usey pick karney aaye Driver ko salam kia

"Waalikumussalam Chotey Khan Allah ka buhat Ehsan hai Aap sunaiye"

Aadi ka tmam sama'n gadi me rakhney ke bad wo ghar ke lye nikal padey

" Chacha sunaiye ghar ke kya halat hai'n?"

"Chotey Khan baki to sab khair hai lekin Mano Bibi kuch theek nhi'n hai'n" Driver ne jwab dia

"Kya hua Mano ko?" Aadi waqai buhat Preshan ho gya tha

"Pta Nhi'n chotey khan aaj kal na kahi'n aati hai'n na jati hai Sara Sara din Apney kamrey me hi rehti hai'n Khuda khair karey Sardar sahib b aaj kal buhat Preshan lagtey hai'n"
Driver ne tafseel btai

Mano ke barey sun kar Aadi kafi Preshan ho gya tha Khuda janey aisa kya ho gya tha ke Mano ne Apney Aap ko isolate kar liya hai

Isi preshani me wo sab ghar puhanch gae

"Mashalallah Mashalallah Aadi aa gya hai" Noor-Alum-Khan ne Aadi galey lgaya

"Chotey Papa kaisey hai'n Aap?"

"Allah ka Ehsan hai Yar is bar kitney din ki rahai hui hai?" Noor-Alum-Khan ne khan ne uski chutio'n ke barey me poocha

"Chotey Papa is bar to result tak aram hi aram hai"

"Chalo Yar ye b shukar hai tumhe'n Doctor ya engineer banney ka bukhar nhi'n hua
Chalo itney din hmarey sath to raho ge, Chalo tum fresh ho jao me tab tak factory ka chakar laga kar aaya phir hum koi program bnatey hai'n" Noor-Alum-Khan Aadi ko chodh kar chaley gae

"Asslam-u-alikum " Aadi ne ghar me dakhil hotey hi sab ko ba awaz e buland salam kiya

"Waalikumussalam Aa gya mera beta kitney din ho gae the Apney chand ko dekhey hue" Khan Begum ne Aadi ko pyar kia

"Lo Dadi me Aagya Ab me jaldi kahi'n nhi'n janey wala" Aadi khan begum ki god me sir rakh kar lait gya

"Chal jhoota Har bar aisey wadey karta hai aur phir bhag jata hai aur me tera intezar karti rehti hu'n" Khan begum ne Aadi ko sharminda karney ki koshish ki

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now