"Kha'n hai Mahzaib?" Ye awaz sun kar dono Bhaio'n ke hatho'n ke Totey udh gae(wesey ye sirf kahawat hai aaj tak kisi ne Totey udhtey hue kisi ne nh dekhey agar kisi ne dekhey hain to brae mehrbani bta dejye ga ke Totey kis rang ke they😉😉😉)
"Wwwwwo wooo Chotey Papa ki traf hai'n" Aadi ne dartey dartey jwab dia
"Ab tm do no mera mu'n kya dekh rhey ho jaldi se driver ko kho ke gadhi nikaley pta nh Meri bachi ka kya hal ho ga?" Shair-Alum-khan ne fikar mandi se kha
Shair-Alum-khan ne jaldi se Noor-Alum-khan waley portion ki traf kdam bdhHae
"Agar Baba Jan ko pta Chal gya ke Aapi ka hath Meri khatir mdarut kartey hue jla hai to kya ho ga?'' Ye sochtey hue Aadi ke pao'n ke neechey se zameen khisakti ja rhi thi
Pta nh kesey ye khbar Safya-khanum tak b puhnch gai wo b Mano aur Khan begum ke sath wha'n puhnch gai
"Me ne lakh martba Mna kia hai ke Meri bachi se aisey kam mat karwaya kro Lekin mjal hai ke kisi ke kan per ju'n b reengti ho" Shair-Alum-khanghussey se boley
"Ye Itney sarey mulazim q Paley hue hai'n agar ye kam b Mahzaib ne karney hain?"
Shair-Alum-khan ka ghussa Satve'n aasman per tha"Bdey Papa aap ko to pta hai ke mujey khana pkaney ka kitna shok hai me to khud pka rhi thi aur aaj kal chutya'n hai to me ye kam kar rhi thi warna mujey to waqt hi nh milta aur aaj to Aadi b Aaya hua tha sirf is lye" Mahzaib ne sfai di
"Mar gae" Aadi ne dil me kha Ab Aadi ke chehrey per aik rang aa rha tha aur aik ja rha tha( Ab ye na kahye ga ke ye Aadi ka chehra hai ya koi TV ka khrab channel jo itney rang bdal rha hai yar preshani me Aisa ho jata hai)
"Acha to ye Sab is nalaaik ki waja se hua hai!" Shair-Alum-khan ne usey ghoora to Aadi ko aisey lga ke uski tango'n se Goya Jan hi nikal gai ho
"Chalo utho me tumhein doctor ke pas le kar chalta hu'n aur tm se to me aa kr milta hu'n" Shair-Alum-khan ne kehar barsati nigaho'n se Aadi ko dekha
"Lo g mna lo chutya'n wo b ghar aa kar eid ko b abi do din rehtey hai khi'n Aisa na ho ke eid waley din Meri kulkhwani ho!" Aadi ne jhirjari si le kar socha
" Lo g bail , gae aur bakro'n ki kurbani to parso'n ho gi Lekin mujey pta nh q lagta hai ke izzat maab jnab Sardar Adnan Sher Aalum khan ki kurbani bdey Papa ke hatho'n aaj hi ho gi!"
Mano ne ba awaz e buland elan kiaWo bechara jiska khoon pehley hi sookh rha tha wo aur dar gya
"Wesey papa Aadi ke dant
(teeth) dekhye ye kurbani ke laik b hai ya nh" Mano ne Noor-Alum-khan ko mukhatib kiaSab log Jo pehley hi Aadi ki patli hoti hui halut se mehzooz ho rhey the Mano ki is bat per Sab ne kehkhey lgae to tab becharey Aadi ke hwas bhal hue aur usey pta chla ke us ki tang khenchi ja rhi hai
"Mano ki bachi me btata hu'n tujey ke Me kurbani l) ke laik hu'n ya nh" ye keh kar Wo Mano ki traf bhaga to Wo bhag kar chutt per chadh gai aur ooper ja kar us ne darwazey ki kundi lga di
"Tm aik martba merey hath aa jao phir dekhna me tmhara kyabhshar karta hu'n bdey Papa ki chamchi" us ne ghussey se kha
"Pehley mujey pkadh kr to dikhao loomadh phir bat krein ge bda aaya hlako Khan" usney jali ke opar se mu'n chidaya
Wo bechara thak har ke neechey aa gya abi wo neechey sehan me puhncha hi tha ke us ke sir per aftad toot padi
Mano ne surf miley pani ki poori balti us ne rat ke bighoey kapdo'n smait chutt se us per ulat di thi
"Mano ki bachi me tumhein chodhu'n ga nh" us ne aankhey saf kartey hue ooper dekha aur wo jaldi se wash beson ki traf bhaga qk us ki aankho'n me buht jlan ho rhi thi
Aur wash basin tak puhnchtey puhnchtey us ki 3 bar wo phisla
Chutt per khadi Mano ka Hans Hans kar bura hal ho gya
Ghar walo'n ne jab sehan me dmakey suney to wo bhagney ke se andaz me kamrey se bahir aae aur jab unho ne sehan me bikhrey hue kapdey aur Aadi ki halut dekhi to Sab hansi se lot pot ho gae aur San se buland keh kha Chotey Papa
ka tha" Q Kaisa lga? Kesey mzaj hain? Mujey b subha Aisa hi lag rha tha jab tm ne mujey subha tang kia tha " Mano ne tanz kia
Ab bechara uska kuch bigadh to Sakta nh tha sirf ghoor kar hi reh gya
" Ab zyada aankhey na nikalo warna aankho'n ki putlia'n hi aankho'n se bahir nikal jae'n gi aur yad rkho mujh se Jo takrae ga yu'n hi tmhari trha pachtae ga " Mahnoor ne bdey style se kha
Aadi bechara sir jhukae apney ghussey ko dbata hua kapdey bdalney ke lye ghar ko Chal pda
Bahir darwazey per Jabran bdi bechaini ke sath idhar se udhar aur udhar se idhar chkkar kat rha tha
" Bhai aap ko kya hua aap q aisey tehal rhey hain kya kisi cheez ne aap ko kat lia hai?" Aadi ne fikarmandi se poocha
"O hokuch nh hua bus wo me Baba Jan ka intzar kar rha tha aur tm ne ye kya halut bna rkhi hai" unho'n hanstey hue bat bdal di
"Bhai ye halut me ne nh aap ki ladli ne bnai hai Meri aur Ab me nhaney ja rha hu'n aur aap b shehar ke lye kooch kijye aaj aap ki buht zarori meeting hai aur jab Aapi aai'n gi to me aap ko un ki tbiyat ke barey me btla du'n ga" Aadi ne taak ke nishana lgaya
"O ha'n mujey to yad hi nh rha Acha me b chalta hu'n"
Wo kafi sharminda hotey hue boley"Pta nh in do no ko kya masla hai ptangey lgey rehtey hai aik dosrey ki fikar me agar do no me se kisi ko be waqt ki cheenk b aa jae per mu'n hi se nh phoot tey
Ke aik dosrey ko kitna chahtey hain" Wo jaldi jaldi se pehnney ke lye kapdey press kartey hue soch rha tha"Lao me kapdey press kar du'n tm jaldi se nha lo" samney Mano us ki halut per Hansney ki bjaey buht sanjeedgi se us ke samney khadi thi
"Buht buht shukria me khud kar lu'n ga" Aadi ne uski paish kash thukratey hue kha
"Dekh rhi hu'n Itni der se lgey ho aur abi shalwar b press nh hui" us ney istry us ke hath se khenchi
"Ab jao b bdey Papa aaney waley hai me kapdey tumhein pkda du'n gi" Mano ne us se kha
Aadi khamoshi ke sath Tolia kandey per rakh kar bahir aaya to.
.
.
..
.
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...