Mano Safya-Khanum ke swal per Aik lamhey ke lye to sakit reh gai
Ab tak Mano khud is barey me clear nhi'n thi to wo kisi aur kya. btati"Mano me tum se kuch pooch rahi hu'n" Safya-Khanum ne msalsal Apney msalti Mano ko mukhatib kia
"Badi Mummy ye kaisa swal hua? Aadi mera cousin hai aur acha dost hai" Mano ko smajh nhi'n aa rahi thi ke wo kya jwab de
"Sirf acha dost?"
''G Badi Mummy Aap b ye kya bat le kar bheth gai hai'n" Mano ne uth kar cheezo'n ko ulat plat karna shuru kar dia ta ke Safya-Khanum usey masroof dekh kar bat Aagey na badhae'n
"Mano idhar aao" Safya-Khanum ne uska hath pakadh kar usey Apney pas bitha lia
"Ab tsalli ke sath meri tarf dekh kar btao ke tum Aadi ko psand karti ho ke nhi'n"
"Wo Badi Mummy" Mano msalsal Safya-Khanum ki Aankho'n me dekhney se katra rahi thi
"Mano Ha'n Ya Na" Safya-Khanum ne do tok lafzo'n me us se poocha
"Badi Mummy wo Mujey buhat rulata hai" Mano ne Rona shuru kar
"Wo wo har wo kam karta hai jis se Mujey ghussa aata hai aur aur wo Ab mujh se bate'n b chupaney b laga hai" Mano ne Aik hi sans me Aadi ko charge sheet kar dia
"Is ka matlab hua ke tumhe'n Aadi bilkul b psand nhi'n hai bus meri Jan aisey rotey nhi'n hai'n" Safya-Khanum Jo asal bat janti thi'n unho'n ne mano ke aansu saf kiye
"Badi Mummy me ne ye to nhi'n kaha ke Mujey Aadi psand nhi'n hai" Mano ne jaldi se aansu saf kiye
"Lekin ye b to nhi'n kaha ke wo tumhe'n psand hai" Safya-Khanum zair e lab muskrai'n
"Wo Mera wo Matlab nhi'n tha"
"Abi Jo Aadi ki itni sari buraiya'n ginwa rahi thi'n us se to yehi lag raha hai ke wo tumhe'n psand nhi'n hai"
"Budy Mummy iska ye matlab to nhi'n hai ke me usey psand nhi'n karti"
"To phir?" Safya-Khanum ne Mano ki tarf dekha Jo Sir jhukae pao'n se Farsh per lakeere'n bana rahi thi
"Aadi Mujey aur Tang karey ga" Mano ne apni preshani btai
Safya-Khanum ki muskrahut aur gehri ho gai
"Me abi tumharey Badey Papa ko btati hu'n ke Aadi Mano ko buhat tang karta hai WO isey buhat rulata hai aur aur wo Ab Mano se Bate'n b chupata hai is lye Mano ki tarf se Aadi ke lye saf jwab hai"
"Nhi'n nhi'n Budy Mummy Aap Badey Papa ko kuch nhw btae'n gi wo Pehley hi Aadi per buhat ghussa kartey hai'n" Mano ne jaldi se Safya-Khanum ke hath pakadh lye jaisey wo abi uth kar sach me Aadi ki shikayut laganey Sher-Alum-Khan ke pas chali jae'n gi
"Ab tumhe'n Aadi ki itni fikar q ho rahi hai wo to meri Mano ko itna tang karta hai us ki Shikayut to lagni hi chahye"
"Wo Mujey bilkul b tang nhi'n karta" Mano bus Aadi ko bachana chahti thi
"To phir?" Safya-Khanum masnooi sanjeedgi se boli'n
"Badi Mummy" Mano Safya-Khanum ki Aankho'n me nazar aati sharat dekh kar Safya-Khanum ke galey lag gai
"Acha phir me tumharey Badey Papa ko bta du'n ke Mano ko Aadi psand hai?" Safya-Khanum us jwab Lena chahti thi'n
"Aap jaisey Munasib samjhe'n bus Aadi Ko na btaiye ga" Mano ne razamandi deney ke sath sath apni shert b bta di
"Acha Meri Jan Aadi ko nhi'n btao'n gi Ke Meri Mano usey sari dunya me'n Sab se zyada psand karti" Safya-Khanum ne uska chehra ooper uthatey hue kha
"Budy Mummy Aap b na" Mano ne apna surkh padta chehra dono'n hatho'n me chupa lia
"Allah tumhe'n Nazr e Bud se bachaey" Safya Khanum ne usey Apney aur kareeb karlia
"Mano Chalo tum mera dia hua suit pehan kar jaldi se tyar ho jao me tumharey Badey Papa ko ye khushkabri suna kar aati hu'n" Safya-Khanum Mano se uth kar Sher-Alum-Khan ke hujrey ki tarf chal di'n
💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞
Chotey Khan Aap ko Badey Sardar Sahib (She-Alum-Khan) bula rahey hai'n" Aadi Jo ke tyario'n me buht zyada masroof tha usey mulazim ne Bulawa dia
"Baba Jan ke pas kon kon hai?" Aadi Jo is achanuk aae hue bulae Janey per kafi Preshan hua tha
"Wha'n Badi Khanum (Safya-Khanum) aur Doctor Sahib (Jabran-Khan) waha'n mojood hai'n" Mulazim ne jwab dia
"Tum Chalo me aa rha hu'n" Mulazim chala gya lekin Aadi ko nai tension de gya tha
"Lagta hai Mumani ne shikayut ki hai lo g Aadi aaj teri khair nhi'n ye chughalkhor mumani ko b aaj ka din hi mila tha" Aadi dil hi dil me Zubaida Khanum ko salwate'n sunata hua ja rha tha
"Kya me andar aa sakta hu'n" Sher-Alum-Khan ke hujrey ke bahir se Aadi ne ijazut talub ki
"Aajao" Sher-Alum-Khan ne ijazut di
"G Baba Jan Aap ne yad kia tha?"
"Ye salam dua b Multan me hi chodh aae ho?" Sher-Alum-Khan ne Aadi ke salam na karney per us per khafa hue
"Muafi chahta hu'n Baba Jan Asslam-u-alikum" Aadi bechara tension me waqai bhool gya tha
"Waalikumussalam insan ki shakhsiyat uskey ikhlaq aur tarbiyat se wazeh hoti hai padey likhye aur unpadh me koi farq hona chahye Degrio'n se paisa zaror kmaya ja sakta lekin dil nhi'n jeetey ja saktey khyal rakhna aainda se aisa na ho tum jantey ho ke me bat dhuhraney ka aadi nhi'n hu'n"
Becharey Aadi ki achi khasi class lag gai thi"G Baba Jan Aainda khyal rakhu'n ga"
"Shadi ke barey me kya socha hai?" Sher-Alum-Khan ne Jaisey Aadi ke sir per bomb phodh dia tha
.
..
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...