Part 31

384 37 5
                                    

Mano kha'n Aadi ka koi ehsan manti thi WO aik bar phir us per chadh dhodi

" Wah b wah aik to aik aik ropia jodh kar apney sab muft khor dosto'n ka pait kat kar tumharey lye me ye awaizey ke kar aaya hu'n aur tum Ab b mujh per jirah kar rahi ho?" Dialogue bolta bolta Aadi Mano ke qareeb hua

"Kya tumhe'n andaza hai ke tumhari is bat se mera Dil kitna dukhi hua hai meri aankh se behney wala aaik aaik aansu tumhari sfaki ka gwa hai" Aadi pta nhi'n kya kuch boley ja rha tha

"Kha'n hai'n aansu?" Mano Jo Aadi ki dialogue bazi per tap rahi thi us ne poocha

"Hai'n aik b aansu nhi'n nikla?" Aadi ne apni aankho'n ko lgaya to much b nhi'n tha

"My loard dekhiye is ki sagdili aur zulam ki inteha ke merey aansu b bawaja khof behney se inkari hai meri aap se ye iltaja hai ke insaf ke tkazo'n ko poora kartey hue is "

"Khabardar agar aik b lafz b aur kha to me tumhara sar tor du'n gi" Mano Jo us ki in oat ptang bato'n se tang aa chuki thi us ki traf bdhi

"Dekhiye My Lord ye phir se mujh per hamla awar ho rhi hai meri aap se iltaja hai ke ye gift is se le kar Shumail ko de dia jae" Aadi ne apna gala bchatey hue Mahzaib se kha

"Tum ye Shumail ko do ge us se pehley me tumhara gala dba du'n GI" Mano ka to Shumail ka nam sun kar ghussey se bura hal tha

"Mano Ab bus b karo wo mzaq kar rha hai" Mahzaib ne badi mushkil se dono'n ko alehda kia

"Aapi me aap ko bta rahi hu'n agar aisa hi raha to me ya isko ya apney aap ko kuch kar bethu'n gi"
Mano ne buht mushkil se apney aansu roktey hue wha'n se chali gai

"Mano meri Jan ruko to sahi" Mahzaib ne pukara lekin wo na ruki

"Aadi tum b hud kartey ho ye jantey hue b ke wo tumharey hawaley se kitni possessive hai tum phir b Shumail ka nam us ke samney letey ho"
Wo bat Jo aaj tak kisi ne nhi'n kahi thi Mahzaib ne keh di

"Ab jao aur ja kar usey mnao" Mahzaib ne do tok lehje me hukam dia

Marta kya na karta Aadi Mano ko mnaney ke khtarnak mission per rwana hua lekin wo bechara mahaz per puhnchney se pehley hii Noor-Aalum-Khan ki tarf se dhar lia gya

"Aadi  dekho kitna kam waqt reh gya hai program me mehman b aaney waley hai lekin abi tak kuch b nhi'n hua" Noor-Aalum-Khan waqai buht preshan lag rhey the

"Aap q preshan hotey me sab sanbhal lu'n ga aap bus jaldi se tyar ho jae'n mehman kya khe'n ge Maizban khud hi tyar nhi'n hai" Aadi ne unki preshani door kartey hue kha

Noor-Aalum-Khan ko tsalli deta hua wo bahir chala aya

Bahir buhat Sara kam bhikra hua tha aik tarf gosht bnaya Ja rha tha aur dosri tarf biryani aur kormey ke lye masala tyar ho rha tha

Aik traf Nabeel aur Saaim Jo ke merey mamu'n Jan ke honhar Sapoot Jo pta nhi'n apney hath se roti todh kar kaisey kha letey the wo un becharey gosht walo'n ke sir per chadhey hue the

"Ye gosht ke tukrey itney badey q hai'n? In ko chota karo"  Nabeel ne hidayat di

"Khan gosht ke tukrey agar chotey hongey to kormey me ghul jae'n ge" Gosht waley ne samjhaney ki koshish nhi'n ki

"Me ne tum se mashwara nhi'n manga jesa kaha hai wesey karo"Nabeel ne darushti se kaha

Gosht waley ne boti choti karni shuru kar di

Itney me Aadi wha'n aa gya

"Shoukat sahib boti itni choti q bna rhey hai'n ye to Sara gosht ghull jae ga"
Aadi itney tjarba kar baney se ye umeed nhi'n kar rha tha

"Khan me ne to Nabeel khan ko samjhaya tha lekin ye man hi nhi'n rhey the" Gosht waley ne be chargi se btaya

"Shoukat sahib aap kam apney hisab se kre'n q k agar kuch khrab hua to aap se poocha jae ga" Aadi ne Nabeel ko ignore kartey hue kha

" Aadi tum limit cross kar rahey ho tumhe'n ye bilkul haq nhi'n hai ke do tukey ke logo'n ke samney mujey zaleel karo" Nabeel ghussey se surkh chota hua bola

"Dekho Nabeel me ne aisa kuch nhi'n kia jis se Teri  insult ho" Aadi ne bat ko thanda karna cha

"Is se badi kya insult ho gi ke tum ye jantey hue b ke me wo kam karwa rha hu'n tum ne us me tang arai" Nabeel b to Mumani Ja beta tha wo kaisey bat ko thanda honey deta

"Acha ye bta kabi ye kam pehley kia hai tum ne?" Aadi ka b Ab para chadhney laga tha

"Wo wo wo" Nabeel se Ab koi bat nhi'n ban pa rahi thi

"Ye Ab wwwwo wwwo kya laga rakhi hai? Ab bta tang kon ara rha hai"? Aadi ka bus nhi'n chal raha tha warna wo uski dhulai hi kar deta

"Aadi yar tum to ghussa hi ho gae" Aadi ka mood dekh kar Nabeel jhag ki tarha'n beth gya

Aadi wha'n tamasha nhi'n bnana chahta tha islye  usney ne bat ko aagey na badhaya aur Nabeel ko ignore karta hua waha'n beth gya

Wo nhi'n chahta tha ke aaj ki yadgar takreeb kisi waja se khrab ho aakhir kar gosht ban gya to us ne apni nigrani me wo sab kuch pakwai walo'n ke hawaley kia

Ye sab kuch karney ke bad Aadi ne lighting aur Mehmano'n he bhetney ka intezam kia

Us ne buht koshish ki ke wo kisi tarha'n Mano ko dhoondh kar usey mnae lekin wo lakh koshish ke bawjood time na nikalney saka

Itney me sham ka waqt ho gya Aadi ne Sara intezam ho Janey ke bad akhri nighah kam per dali to sab kuch mukammal tha

Ab usey khud b tyar hona tha qk buht kam waqt bacha tha aur abi us ne apney pehnney ke lye dress b khud press karna tha us lye wo jaldi se ghar aaya

"Aadi tumhara mehndi ka suit merey kamrey me pada hua hai yha'n na dhoondhtey rehna" Safya-khanum ne Aadi ko awaz di jab wo apney Kamrey ki tarf Ja rha tha

"Hai'n Mehndi wala suit wo kha'n se aagya me ne to koi suit nhi'n khareeda" Aadi ne Safya-khanum se heran ho kar poocha

"Pta nhi'n Abi Mano press kar ke rakh rahi thi usi se pooch lo" Safya-khanum Aadi ko heran Chodh kar chali gai'n


.
.
...
.
.
.

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now