"Kon yar aisey pahelia'n na bhujwao" jabran ko such me kuch b smajh na aaya
"Bhai Dadi Ammi" Aadi us ki mushkil as an kar di
"Lekin Dadi se bat Kon krey ga?" Jabran ne apni preshani btai
"Bhai bat to aap ko hi karni pdey gi Meri manye to abi bat kar lijye"Aadi ne apni rae di
"Abi?"Jabran ko Aadi ki bat per yaqeen na aaya
"G bhai Dadi is waqt tahajjud padh rhi hongi aur is kam ke lye is time se Acha koi aur waqt ho hi nh Sakta" Aadi ne purzor andaz se kha
"Chalo phir jaldi se chalo is se pehley ke koi jag jae"Jabran ne apni jaga se uthtey hue kha
Phir Jabran aur Aadi Khan begum ke kamrey ki tarf Chal padey
💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞
Mahzaib aur Mano jab ghar me dakhil hui'n to sab so chukey the
Mahzaib aur Mano ka aik hi kamra tha Mahzaib ne be dili ke sath apna shoper aik tarf rakh dia aur change karney chali gai
Wapis aa kar wo soney ke lye bed per lait Gai wo msalsal Mano ko ignore kar rhi thi
"Aapi? " Aakhir Mano ne sakoot toda
Lekin Mahzaib ne koi jwab na dia
"Aapi Meri pyari aapi" ye keh kar Mano ne Mahzaib ke galey me peechey se bazoo dal di'n
"Mano tang na karo mujey soney do Merey sir me buht dard ho rha hai" Mahzaib ne uskey bazoo apney gley se nikal diye
"Aapi aap mujh se naraz hai'n?" Mano ne preshani se poocha qk Mahzaib kabi b us se narazgi nh hui thi
"To aur kya mujey tm dono Ku aaj wali harkat as buht khush hona chahye?" Mahzaib ne apna rukh Mano ki tarf phairtey hue poocha
"Aapi please aap hme'n muaf kar de'n me aur Aadi sirf itna chahtey the ke aap ki aur Jabran bhai ki shadi ho jae is lye hum ne ye sab kia" Mano ne sfai deni chahi
"Bus Mano buht hua Ab so jao aur mera Sir me pehley hi kafi dard ho rha hai" Mahzaib ne ye keh kar apney chehrey per chadir tan li
"Please Aapi aisey mujh se naraz na hu'n aap ko Jo saza deni hai wo de le'n Lekin aisey na kijye" Mano ne rotey hue kha
Mahzaib lakh ghussa sahi Lekin apni Jan se pyari behn ke aansoo nh dekh sakti hi is lye us ne Mano ko apney gley lga lia
"Aapi please mujey muaf kar de'n me ne aap ko buht dukhi kia hai"Mano ne Mahzaib ke gird apni garift mazboit kartey hue kha
"Mano mujey tm se koi shikayut nh hai mujey shikayut to apney dil se hai Jo aik sangdil se ja laga" Mahzaib ne aansoo bahatey hue socha
💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞
Jabran aur Aadi Khan begum ke kamrey ke bahir khadey the
Aadi ne aahista se darwaza khol kar dekha to khan begum musalley per bethi tasbeeh per koi wird wagera kar rhi thi'n
Dono bhai dbey kadmo'n andar dakhil hue Lekin khan begum ne aahut mehsoos kar li
Unho'n ne dono ko apney samney bethney ka ishara kia aur phir dono bhaio'n per bari bari phoonk mari
"Aaj is wa? wo b Yha'n khair to hai? yad aa gya tmhari aik Dadi b hai" Khan begum ne herangi se unhe'n poocha
"Dadi Ammi aap b koi bhoolney wali cheez hai'n? wo to hm ne socha ke aaj ke Mubarak din ki mbarakbad sab se pehley apni pyari Dadi ko di jae" Aadi ne lad se khan begum ke gley lagtey hue kha
"Chal hut notanki baz sab janti hu'n me tmharey bap ki Maa'n hu'n btao kya masla hai?" Khan begum ne b dunya dekhi thi wo bhla kha'n jhansey me aaney wali'n thi
"Dadi Meri pyari Dadi aap ye kesi bate'n kar rhi hai'n hme'n to aap ki yad aa rhi thi is lye hm aap ke pas aa gae qk aap to janti hai ke museebat me insan sirf us hasti ke pas jata hai jis se wo sab se zyada pyar karta hai" Jabran ne khan begum ke gal per pyar kartey hue kha
"Hae Merey Allah kesi museebat merey bachey sab khairiyat to hai" khan begum Jabran ka chehra apney hatho'n me le kar choomtey hue poocha
"Dadi bat ye hai ke bdey mamu'n kuch dino'n tak Atif khan ka rishta Mahzaib ke lye le kar aa rhey hai'n" Itni bat keh kar Jabran ne zameen per dekhtey hue apney hath msalney shuro kar diye
khan begum ko kuch smajh na aaya Lekin jab unho ne Aadi ki tarf dekha to Aadi ke chehrey ki shrarti muskrahut unhe'n buht kuch bta gai to unkey chehrey per b muskrahut aa gai
"Is me museebat wali Konsi bat hai MASHAllah Mahzaib jwan hai lakho'n me aik hai us ke lye rishtey to aae'n ge" Khan begum ne Jabran ko tang kartey hue kha
"Dadi aap smajh nh rhi Atif Mahzaib ke lye bilkul Acha nh hai balkey koi b Mahzaib ke lye Acha nh hai me Ab aap ko kesey samjhao'n?" Jabran ne apna sir Dadi ki god me rakhtey hue kha us ko kuch smajh nh aa rha tha ke wo kya khey
Jabran ki nervous si halut dekh kar Aadi ka Hans Hans kar bura hal ho gya
"Agar Atif Mahzaib ke lye Theek nh hai to Kon Theek hai" Khan begum ne Jabran ke bal sehlatey hue poocha
"Me" Jabran ke mu'n se rwani me wo bat nikal gai Jisey kehney ke lye wo Itni lambi tamheed band rha tha
"Mujey isharo'n knayo'n wali bat smajh nh aati saf saf btao kya kehna chahtey ho" Khan begum ne uska sirooper uthatey hue poocha
"Dadi aap smajh to gai'n hai'n ke" Jabran ne bat adhoori chodhtey hue nazre'n neechey jhuka li'n
"Ke ?"Khan begum ne usey or tang kia
"Ke me Mahzaib se shadi karna chahta hu'n" Aakhir Jabran ne marka sir kar hi lia
"Bus Itni si bat ke lye Itni dair lga di? Me to usi waqt smajh gai thi jab tm kamrey me dakhil hue the Lekin me tmharey mu'n se sunana chahti thi" Khan begum ne uskey gal ko chootey hue kha
"Dadi kya aap Merey faisley se khush hai'n?" Jabran ko to Jesey yaqeen nh aa rha tha ke us ka masla Itni asani se hul ho jae ga
"Ha'n Meri Jan me buht khush hu'n Lekin pehley me Mahzaib se uski rae poochu'n gi phir koi faisla kru'n gi!" Khan begum ne faisla Suna dia
"Dadi aap buht buht achi hai'n" Jabran khan begum ke galey lag gya
"Aakhir Dadi kis Ki hu'n"Khan begum ne Jabran ki peshani ko choomtey hue poocha
"Meri"Aadi ye keh kar khan begum ke gley lag gya
"Tu to mera sab se pyara beta hai" Khan begum ne Aadi ko aaghosh me letey hue kha phir dil ki athaa gehraio'n se unho ne Allah se apney bacho'n ki khushi mangi
💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞
Sari raat Mahzaib ki aankho'n me kut gai thi raat bhar wo Yhi soch soch kar preshan ho rhi thi ke agar Ghar walo'n ne Atif ka rishta us ke lye qabool kar lia to kya ho ga?
Itney me fjar ki azane'n hona shuro ho gai'n
Jab sab darwazey band ho jae'n to sirf aas Umeed ka aik hi darwaza reh jata hai Jo bandey ko us key khuda ki tarf le jata hai
Mahzaib ne b usi darwazey ka intkhab kia aur wazoo karney ka bad nmaz ada ki aur apney dil ko Allah ke samney khol kar rakh dia aur dil per jami hui sari gard aankho'n ke rastey aansoo'n ki soorat me beh nikli
Sab kuch Allah ke hwaley karney ke bad Mahzaib kafi purskoon ho gai thi
Nmaz wagera se farigh honey ke bad Mahzaib ne bawarchi khaney ka rukh kia
Ghar ke badey to eid ke din kurbani se pehley kuch nh khae'n ge Lekin choto'n ka to kuch khae bina bilkul guzara nh tha
Aadi ne chupkey ke sath bawarchi khaney me jhanka to Mahzaib Aapi apney kam me mashghool thi'n
Us ne buht koshish ki ke Aapi ka samna kar sakey Lekin us ki himmat har martba jwab de jati
"Tum kya jley pair ki billi ki tarha Yha'n wha'n tehl rhey ho?" Ye awaz Aadi ko kisi bomb ki tarha apney asab per girti hui mehsoos hui us ne peechey mudh kar dekha to .
.
.
.
.
.
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...