Part 38

736 34 17
                                    

Jesey hi din dhalna shuru hua Mehman aana shuru ho gae

Lekin abi sirf Mahzaib aur Mano ki Sahelia'n hi aai thi'n jis ki waja se kafi halla gulla ho rha tha

Mano ke Safya-Khanum ke sath honey ki waja se Aadi ko hi Sara intezam dekhna par rha tha

Sahelio'n ke aaney ki waja se Mahzaib b buhat zyada masroof thi usko mehndi laganey ke lye bitha lia tha

"Ladies agar kisi ko kisi cheez ki zaroorat hai to btaiye" Aadi ne haqey mezbani adaa karney ki gharz se kaha

"Aik 5 Number ki Ainak chahye" Mahzaib ki colleague Neelum ne farmaish ki

Sab log herangi ke sath Neelum ki tarf dekhney lagey ke isey Ainak ki kya zaroorat aan Pari aur wo b 5 Number ki

"Hai'n Aap ko kya zaroorat ho gai Ainak ki? Me ne to Aap ko kabi Ainak lgae nhi'n dekha?"
Aadi b heran sa unhe'n dekh raha tha

"Mujey wo tumharey lye chahye thi tumhari shaid nazar kamzor hai warna tum hme'n "Laddies" Na kehtey" Neelum sahiba galiban ladies ka lafz dil per le gai'n thi'n

"Oh I am really really sorry ye Sab kuch unintentionally hua hai is lye "Miss" me Aap se Muafi chahta hu'n" Aadi ne lafz "Miss" per kuch zyada hi zor detey hue kaha

Neelum sahiba Jo ke 35+ ki age me b kahi'n Door Dunya ke doosrey kinarey ke kisi mulk ke shehzadey ki rah tak rahi thi'n Jo Apni aali shan Palki me sawar unhe'n Babul ke dais se Pia dais apni Malka bna kar le jae unhe'n Ladies lafz se sakht nafrat thi qk unke nazdeek abi unki umar hi kya hai sirf 17 sal aur kuch Mahiney halankey Sab ko maloom hai ke unki umar 17 Sal aur 380 Mahiney hai Wesey agar in ki theory man li jae to wo bilkul theek keh rahi hai aur ooper se wo hai'n b economics ki lecturer aur Aap to jantey hi ho'n ge sari economics base hi "Assumptions" per karti hai to hum b man hi letey hai'n

"Its OK aainda se khyal rakhna jao ja kar  Miss Neelum ke lye kuch khaney peeney ke lye lao" Mahzaib ne bat ko sanbhalney ke lye mudakhlat ki aur warna pta nhi'n bat kha'n se kaha'n tak ja puhanchti

"G g me abi gya aur abi aaya Aap Sab bta dijye ke Aap kya khana psand kare'n gi?" Aadi ne bator e khas kisi ko mention kiye bghair Sab ko mukhaty kia

" Aisa karo merey lye Aik diet coke kuch snacks LA do aur kuch b oily nhi'n hona chahye?" Neelum Sahiba ne order sunaya

"Wah kya zmana aagya hai Meethey chawlo'n (Rice) per shorba dal ke khaney walo'n ko b Ab Diet Coke aur Snacks chahye aur wo b Oil ke bghair" Aadi dil me brabrata hua waha'n se chala gya

"Ye Neelum aaj kuch zyada hi nhi'n phail rahi?" Mahzaib ki friend ko Neelum ki over acting buhat buri lagi thi

"Ignore karo Yar dekho Mahzaib aaj kitni khush nazar aa rahi hai Chalo uskey pas chaltey hai'n" Aik aur dost ne Mahol ko mamul per Laney ke lye bat badli

"Wao! So cute kitni pyari mehndi lag rahi hai" Mahzaib ki teacher aur ab colleague Mrs Hashmi ne be sakhta tareef ki

"Shukria Mam me bta nhi'n sakti ke Aap ki aamud se mujey kitni khushi hui hai" Mahzaib Mrs Hashmi ke aaney se buhat zyada khush thi

" Tum aur Mahnoor bilkul meri Betio'n ki tarha'n ho bhala me ye ho sakta hai ke Tumhari khushi me me'n Na aao'n Wesey Mahnoor kahi'n nazar nhi'n aa rahi?" Mrs Hashmi ne Mano ki ghair mojodgi ko mehsoos kartey hue poocha

"Mam wo Badi Mumy ki tarf hai wo un ki tarf se aae gi aur Aap ke lye Aik aur surprise hai" Mahzaib se khushi chupae nhi'n chup rahi thi

"Kaisa Surprise?" Mrs Hashmi ke sath sath Wha'n mojood sub ke kan khadey ho gae (ye Muhawra hai warna Kan konsa Gadi ke Back view Mirror hai'n Jo Adjust kiye ja sake'n)

"Aaj Mano ki b engagement hai"
Kisi ke lye pleasant aur kisi ke lye ye Shocking news thi

"Waqai? kis ke sath?" Mrs Hashmi ne khushi ke sath waha'n per mojood sab ki tarf se swal poocha

"Mam ye b koi poochney ki bat hai jaha'n Mano Waha'n Aadi aur jaha'n Aadi waha'n Mano So simple Am I Right?" Mehndi lgatey hue Mahzaib ki friend Ramna ne Mahzaib se swal kiya

"Bilkul Darust Aik to tum Ramna ki bachi tera kya jata agar thodi dair Suspense rehney deti'n? Har bar ki tarha'n 007 ban ke aa jati ho" Mahzaib ne Ramna ko Jhanjhodhney ki koshish ki

"Mahzaib Dekh lo agar Ab Mujey hilaya to Mehndi phail jae gi phir Dhoondti rehna Is mehndi me "Unnnn" ka nam" Ramna b kaha'n baz aaney wali thi us ne b shrarut ki

"Oooo" Sab ki Mani khaiz bato'n se Mahzaib ke rukhsar surkh ho gae

"Acha Ab bus b karo q bachi ko tang kar rahey ho" Mahzaib ko mushkil me dekh kar is se Pehley ke koi aur koi jumla kasta Mrs Hashmi Medan me aai'n

"Sab ke lye khana lag lag gya hai aur Miss Neelum Aap ke lye Wo diet Coke aur snacks b aa chukey hai abi kya lijye warna thandey khaney ka maza nhi'n aae ga" Aadi Tmam bato'n se be khabar Sab se mukhatib hua

" Aadi Mano aur Uski friends doosri taraf hai'n unko b bulwa Lena tha" Mahzaib ne Aadi ko yad karwaya

"Aapi please Aap hi kisi ko bhejh kar un ko bulwa le'n" Aadi ne sargoshi ke se andaz me Mahzaib se ilteja ki

"Q kya hua tum dono'n ki phir se ladai hui hai?" Mahzaib ne istefsar kia

" Nhi'n Aapi me ne kuch ulta seeda us se pooch lia tha aur wo mujh se larney ki bjae khamoshi se chali gai Ab Aap ko to pta hai ke wo Ab mera kya hashar ho ga" Aadi ne Apney khadshey zuban per le hi aaya

"Aadi Kasam se tumharey jitna darpok banda me nhi'n dekha tum ab Mano se itna dartey tum shadi ke bad kya karo ge?" Ramna ne Aadi ko chaida

" Usey me dekh lu'n ga! Hai? Kis ki kis se shadi?" Aadi Jo apni ro me bolta ja raha tha usey kuch bat smajh aai

"Kisi ki shadi nhi'n jao aur ja kar Mano aur uski friends ka khyal karo warna tum to Jantey ho ke jab Badey Papa ko pta chaltey ga to wo tumhara kya hashar kare'n ge?" Mahzaib ne Aadi ki twajja btaney ke lye usko Draya

"Aik to Aap ki Ladli aur Aap ki Ladli ke Badey Papa meri Jan nikalney ke dar per rehtey hai" Aadi ye keh kar Aadi Wha'n se chala gya

"Aik to Ramna Khuda ki pnah hai tum se abi sarey surprise barbad kar deti'n" Mahzaib ne Ramna ko ghoora

"Kya Aadi ko Pta nhi'n hai?" Ramna ne herani se poocha

"Nhi'n Budhu abi sirf hmarey darmya'n thi aur Ab Tumhari itni lambi zuban ki waja se Sab ko pta chal gai" Mahzaib buhat naraz thi

"Acha Yar sorry Ab me koshish karu'n gi ke zuban band hi rakhu'n Ab aisey naraz to na ho" Ramna Mahzaib ke galey lag gai

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now