"Ae sun zara mujey ye bta
Tujey Aaj ye hua hai kya?
Meri minnate'n merey wo wastey
Un ka b nhi'n hua asar zara?
Aisey Taney Tashney de ke b
Kya tera nh hai abi tak dil bhra?"
Mahzaib ne jaisey hi mobile uthaya us ki nigah Jabran ke message per padi
Aik bharpoor si muskrahut Mahzaib ke labo'n per aa gai
Ab is swal ka jwab to dena banta hi tha to Mahzaib ne likha
"Me ne sun lia chalo Tu bta
Mujey Aaj aisa hua hai kya?
konsi minnate'n kya wastey?
Tu ne ye sab, kia hai kya?
Terey in be tukey se dramo'n se
Mujey ho sakta hai asar kya?
Rahi bat merey is dil ki jo
Wo b kan khol ke sun zara
Tu wo kar jo tera dil kahey
Mujey tujh se saro kar kya?"
Ye to Sara sar cheating hai aik skhayut b khud karo aur agley bandey ko yaktarfa faisla b suna do
Ehtjaj to banta hi tha lekin ye wo wala Ehtjaj nh ke wo b GT Road per nikal jae
Us ne to Kuch is andaz se Ehtjaj kia
"Tu ne ye kha Mujey saro kar kya?
Teri bat se mujey hai dukh hua
Meri har sans hai terey nam ki
Kya meri is bat per b Tujey shak hua
Tuney Khudgarz kha me chup rha
Teri badgumanio'n ko me ne saha
Tujey lakh sfaiya'n di'n magar
Tu ne phir b Aakhir wo sab kha
Me'n wo kru'n jo mera dil kahey
Mujey ho sakta hai tujh se saro kar kya?
Ye sun le ye aaj jan le mera dil tujh se ye khey
Terey hath pe hai khinchi lakeer merey nam ki
Rhi jo bat ke tujh se mera saro kar kya
Tu ab mujh ko lgey dori merey sans ki
Hai taqdeer ka faisla ab tu b sun le
Ke Mahzaib bney gi dulhan Jabran ki "
Jabran ke jo dil me aaya us ne likh dia us ko saro kar wali bat buht zyada hi lag gai thi
Dosri tarf jab Mahzaib ne PML N ke wazero'n ki press conferences ki tarha'n aik ke bad aik aatey hue shyro'n ko dekha to us ke dmagh ne to kha ke tension leney ki zaroorat nh hai chalo entertainment hi sahi lekin dil dar gya aur us ne kha ke har bar damagh ki nh sunni chahye kabi kabi dil ki bat b sunni chahye warna ye dimagh b Nawaz Sharif ke Mashiro'n ki tarha'n game se out karwa dega
"Sorry mera wo matlab nh tha" Aakhir Mahzaib ne sfai di us ko b ab andaza ho rha tha ke Kuch zyada hi us ne keh dia tha
"Jo tum ne kehna tha wo keh dia aur me ne sab padh b lia ab jo Kuch kehna sunna hai wo me 10 din bad tum se kahu'n ga wo b aankho'n me aankhe'n dal kar phir me poochu'n ga "Mujey Sarokar kya?" Tab tak ke lye Allah Nigehban "
Ye likh kar Jabran ne message bheja diaMahzaib ne jab message pdha to us ka dil buht tezi se dhadkney lga pta nh ab Jabran kya karney wala hai
Is se pehley ke wo Jabran ko phir se message karti Mano ne bhook bhook ki rut lga di
"Aapi jaldi se Kuch khaney ko dijye mera to bhook ke marey bura hal ho rha hai subha se Kuch nh khaya" Mano ki shkal se hi sab pta chal rha tha
"Aapi jaldi se isey Kuch khaney ko dijye warna ye mujey kat khaney ko dodhey gi" Aadi ne usey chaidha
Aadi ki is bat per to jaisey Mano ko aag hi lag gai wo pehley hi us se khar kae bhethi thi
"Kya kaha me kat khaney ko dodhu'n gi?kya apni aadte'n tumhe'n dosro'n me dikhti hai'n?"
"Acha bus ab tum dono'n phir se na Shuru na ho Jan kabi to aram se rha karo" Mahzaib waqai tang aa gai thi aik to Jabran ke wo zoomani alfaz aur ooper se ye chik chik
Abi Mahzaib khaney pkaney ka intzam kar hi Rahi thi to Mishal b wha'n aa gai
"Aapi eid Mubarak wao Aap aa kitni pyari lag Rahi hai'n"
Mishal ne Mahzaib ke gley miltey hue kha"Khair Mubarak Aap b buht pyari lag rhi ho akeli aai ho? Mamu'n Mumani nh aae" Mahzaib neuski tareef usko wapis kartey hue poocha
"Aapi wo sham ko aae'n ge aur is bar wo khali hath nh jae'n gi balkey Aap ko b apni bahu bna le jae gi" Mishal ne to jaisey Mahzaib ke asab per bomb gira dia tha
Pichley kai sal se Mumani ka buht zor tha lekin har martba koi na koi cheez aadey aa jati thi lekin is martba pta nh q Mahzaib ka dil buri tarha se ghabra rha tha bar bar ye bat dil me aa rhi thi ke.
.
.
.
.
.
.
.
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...