Part 27

523 35 7
                                    

Mano ki dhadkne'n Aadi ke achank se thaam leney se aik dum se gunguna uthi thi'n

Apni kaifiyat ko wo buht chahtey hue b koi nam nh de pai

Aaj subha se wo jo Aadi ki ptai karney ko be chain thi  jab usey moka mila to wo khud us ke bazoo'n me ja smai

Dmagh to keh rha tha ke ye aik mehuz hadsa hai bhool ja

Lekin dil keh rha tha ke ye hadsa Kisi aur hi tarf zindagi ko le jae ga

Mano is waqt dil aur dmagh ki jang me uljhi hui thi

Aisey me Mishal jo Jabran ke sath kahi'n bahir gai Hui thi wo wapis aa gai

"What's up ladies?" Mishal ne unhe'n masroof dekh kar poocha

Aik to Mishal ke aaney ka waqt buht ghalt tha qk Mano pehley to koi kam karti nh thi agar krey to usey apney gird bilkul khamoshi chahye hoti thi

Aur "ladies" wo b Mano ke lye ye to aur ghzab ho gya

Aisa lga jaisey zalzla aa gya ho

"Ye ladies kisey kha" Mano to aik dum se Us ke gley ko aa gai

"Cool down Mano me ne to aisey hi keh dia tha Acha sorry me apney alfaz wapis leti'n hu'n" Mano ke Ghussey se poora khandan waqif tha is lye koi b risk nh Lena chahta tha

"Ha'n ab poocho kya keh rhi thi'n?" Mano ne kmal fyazi ka saboot dia

"Me pooch rhi thi ke itney  zor o shor se kis cheez ki tyaria'n ho rhi hai'n?" Mishal ne Tjassus se poocha

"Wo beta aaj Aap ke Jabran bhai ki bat puki karney ja rhey hai'n na uski tyaria'n ho rhi hai'n" Safya Khanum Kisi kam se kamrey me aai'n to unho'n ne jwab dia warna Mano ka to door door tak jwab deney ka koi irada na tha

"Wao great! Kon hai meri bhabi aur Kha'n bat pakki karney ja rhey hai'n?" Mishal jo apni badi behn Palwasha ke Jabran se shadi ke barey me soch rhi thi us ne apney andazey ki taseeh chahi

"Aap ki bhabi ka nam hai
Mahzaib Noor-Aalum-Khan aur ab Aap ko pta b chal gya ho ga ke hum kha'n ja rhey hai'n'' Mano Ne Mishal ke chehrey ke bdaltey rango'n ko dekhtey hue Mani khaiz lehjey me kha

Mishal ke armano'n per to ghado'n pani padh gya

Uska dil chah rha tha ke yha'n se foran kahi'n chali jae lekin wo aisey yha'n se ja b nh sakti thi itney me us ke. Mobile Ber call aa gai aur usey frar honey ka nadir moka hath lag gya

"Me'n abi aai" Mishal maazrat karti hui wha'n se uth gai

Call us ke ghar se aai thi ye b Mumani sahiba ki mansooba bandi thi ke pehley Mishal ke zarye wha'n ka Sara hal ahwal maloom kia jae aur sath me in ke kan me bat dal di jae aur reaction ka intzar kia jae

Lekin yha'n to Sara muamla hi ulta ho gya bat Shuru honey se pehley hi khtam ho gai

Wo jo Apni badi beti ki shadi Jabran se aur Choti ki shadi Aadi se karna chahti thi'n un ki sari mansooba bandi per pani phir gya

"Muma ab kya kia jae?" Mishal ne sari bat btaney ke bad poocha

"Abi Kuch b karney ki zaroorat nh hai kya hua jo Jabran ki shadi nh hui me aaj hi tumharey lye Aadi ke rishtey ki bat karu'n gi" Mumani ne apna agla plan btaya

"Lekin Muma Aap ne to meri mangni ki khbar yha'n philai hui hai " Mishal ne yad karwaya

"Mangni hi hai koi Nikah thodi hua hai Acha ab zyada bate'n na karo mujey wha'n ki bate'n btati rehna" is ke bad Mumani sahiba ne call kat di

Apni Muma ki bat sun kar Mishal buht buht khush thi yhi to uski dareena khuwahish thi jo wo apni Muma se dartey hue zuba'n per nh lati thi

Usney hzar bar koshish ki ke Kisi tarha'n wo Aadi ke qareeb ho jae lekin Aadi ka no interest wala expression Hamesha usey aik fasla kaaim rakhney per Majboor kar deta

Lekin ab umeed ho chali thi ke uska lazmun Aadi ke sath Kuch na Kuch ho sakta hai

Mishal khushi se nehal hoti hui dobara Mano aur safya Khanum ke pas aa gai

Mishal ke chehrey se phootti hui khushi ki kirne'n Mano ko Tjassus me mubtla kar rhi thi'n

Halankey abi Kuch dair pehley to Jabran Bhai ki Aapi ke sath bat pakki honey ka sun kar Mishal ke chehrey per 12 buj gae the

"Mishal kis ka phone tha? Jisko sun kar tum se khushi chupae nh chup Rahi?" Mano ne Tjassus se Majboor ho kar Aakhir pooch hi lia lekin sath me tanz karna na bhooli

"Ha'n btao isey b shaid iski zuban se lga hua fire arm hi band ho jae" Ye awaz sun kar jha'n Mishal ki Aankho'n me jugnu timtmaney lagey whi'n Mano jo pehley hi bhadki hui us ne pas pda hua pani ka glass hi uthaya aur Aadi ko de Mara Mishal to dil per hath rakh kar reh gai

Aadi is hamley ke lye pehley hi tyar tha to us ne glass ko ba asani se catch kar lia

Safya Khanum ne aik dfa sarsari sa Aadi ko dekha aur phir apney kam me lag gai'n

"Q Bus Mano billi Kuch jlun kam hui ya Kuch aur b utha kar marney ka irada hai?" Aadi ne Ghussey se lal chehra lye Mano ko chedha

"Aadi Tujey kitni bar kha hai ke Mano ko tang nat kia kar?" Safya Khanum is se pehley ke Mano ro deti usey apney gley se lga lia

Mano ki ye aadut thi ke jab wo buht ghussa me hoti to achank ro padti thi aur Safya Khanum kaisey bardasht karti'n ke Mano ke aankh se aik katra b bahey

Aadi ne Mano ki siskia'n sun kar wha'n se khisakney me hi aafiyat jani

Mishal ke lye to ye sara manzar hi na kabley yaqeen tha ke Mano ki glass wali harqat ko to aisey lia gya jaisey Kuch hua hi na ho jabkey Safya Khanum ne Aadi ko hi ulta dant piladi aur wo khamoshi se wha'n se chla gya

Kuch dair bad safya Khanum ne Mano ka mu'n chooma aur Aadi ko bura bhla kha jis per Mano Kuch normal ho gai

"Phupho ghalti to Mano ki thi lekin Aap ne Aadi ko danta?" Mishal ne Mano ke kamrey se Janey ke bad Ehtjaj kia

"Ghalti Aadi ki thi is lye usey dant padi" safya Khanum ka lehja Kuch aisa tha ke Mishal ko aur Kuch kehney ki himmat na hui us
.
.
.
.
.

Takrar se Ikrar TakDonde viven las historias. Descúbrelo ahora