Part 35

437 32 8
                                    

Mano shock ke aalum me Aadi ko dekhey ja rahi thi uski dhadkney Aik dam se hi taiz se taiz hoti ja rahi thi'n us ne to sarsari si bat kahi thi ya shaid uskey dil ne us se kehlwai thi wo shaid kuch aisi bat hi sunna chah raha tha lekin aqal to usey Aik cousin Aik dost se Aagey manney ko tyar na thi

"Mano me tum se kuch pooch rha hu'n" Mano ki tarf se koi jwab na pa kar Aadi ne Back view Mirror se uski tarf dekha to wo Aankho'n me dhero'n herangi smoey usey hi dekh rahi thi jab uski nazre'n aapus me takrai'n to Mano ne nigahe'n phair li'n

" Ikrar se inkar  ke Darmya'n

  Jo do lafzo'n ka hai fasla

  Kisi ki hai sans ka

  In se Talluq juda hua

Katil waqt ki dhar pe ye intezar

Me hu'n jis se pal pal kat raha

Yu'n chup na reh kuch to keh

Mera dil hai bada dara hua

Koi aas koi umeed kar

Ye nhi'n to kuch to kar

Chalo inkar se de usey bhuja

Charagh umeed ka hai jo jala hua "
"Mano kuch to bolo" Mano ki narazgi ka khyal aatey hi Aadi bola

"Aadi bike rok do" Mano ne Aadi ghar se bahir hi bike rukwali aur bina kuch kahey andar chali gai

Aadi wahi'n ka wahi'n gum sum sa khada reh gya  WO to apni tarf se ye andazey lgae betha tha ke jo kuch me Mano ke lye apney dil me mehsoos karta hu'n Mano b wohi karti ho gi

"Lekin zaroori to nhi'n har khwab ki koi tabeer ho kuch khwab sirf khwab hi reh jatey hai'n"

"Agar Mano ne inkar kar dia to? Nhi'n nhi'n"

"Chotey khan Aap sun rhey hai'n?" Aadi ko Apni hi ro'n me Sir ko dae'n bae'n hilata dekh kar Munir ne Aadi ko Pukara

"O ha'n Munir tum kya keh rhey the?" Aadi ne chonk kar Munir ki tarf dekha

"Me keh raha tha khan Aap jaldi se aa kar intezam dekh le'n aur Allah ke lye us Nabeel Khan se hmari Jan chudhwade'n" Munir buht Preshan nazar aa rha tha

"Acha tum Chalo me abi aaya" Ye keh kar Aadi bike le kar ke andar chala gya

Kuch dair bad jab Aadi Hwaili ke beruni portion ki tarf aaya jha'n mehmano'n ke lye intezam kiya gya tha

Wesey to aaj rishta rasmun hi le kar ja rhey they warna shadi ka din to Khan Begum pehley hi se de chuki thi'n aur kuch hi dino'n me shadi ho jani thi to Sher-Alum-Khan ka bus nhi'n chal raha tha ke shadi se Pehley her din ko yadgar bna detey isi lye unho'n ne is choti si gharailu taqreeb ka kafi wasee intezam kiya tha aur apney Sab dosto'n aur rishtedaro'n ko bulwaya tha

Aadi jaisey hi ghar se bahir nikla rastey me hi Nabeel khan mil gya

"Aadi aaj to sirf rishta le kar ja rhey hai'n lekin intezam se to aisa lag raha hai jaisey koi barat aaney wali hai abi to ye b pta nhi'n ke rishtey ke lye ha'n b ho g ke nhi'n" Nabeel khan ne Zubaida Khanum ke betey honey ka haq ada kar dia

"Bandey ki shakal achi ho to usey bat b koi achi karni chahye" Aadi ne kahawut ki tbahi kar di  Aadi ka pta nhi'n uska lehaz kaisey kar gya tha warna uskey tevro'n se to lag raha tha ke abi koi cheez utha kar Nabeel ke se marey ga

"Meri bat tum samjhey nhi'n mera kehney ka matlab ye tha ke itni fazool kharchi karney ki kya zarurat thi ghar ka chota sa function tha females ghar me hi intezam kar leti'n itney paiso'n me to kisi ghareeb ki beti ki shadi ho sakti thi jitna in Sab intezam per kiya gya hai" Nabeel khan ne apni danust me buhat aqalmandi ki bat ki thi aur lighting aur ghar ki sajawat wagera ko tanqeed ka nishana bnatey hue sadgi ke barey me aisey lecture dia jaisey ke sarey jahan ke ghareebo'n ka dukh in hi ke seeney me ho

"Designer glasses, Rado ki qeemti ghadi , mehngey suit aur Lakh rupey ka hath me Mobile pakadh kar sadgi ka lecture Dena buhat asan hota hai yaqeenan ye Sab kareedtey hue Aap ko kisi ghareeb ki beti to nhi'n yad aai hogi aur Aap Zara ye btana psand kre'n ge Aap ko kaha'n fazool kharchi nazar aai hai? Wesey Aap ko bta du'n ke jitna total kharcha yha'n hua hai Aap ke hath me pehni hui ghadi ki price ke daswe'n hisey ke brabur b na ho ga aur rahi bat kisi ghareeb ki beti ki shadi ki to agar Aap ki nazar me koi aisa ghareeb hai to Aap mujey abi btaiye me apni jaib se shadi ke tmam kharch uthao'n ga" Aadi ne Bato'n bato'n me Nabeel ki achi khasi chitrol kar di thi

"Aadi Ab tum apni limit cross kar rhey ho aur tumhe'n kis ne haq dia ke merey life style per tanqeed karo" Nabeel khan ko to jaisey Aag hi lag gai thi

" O landey ke Aflatoon ye merey judey hue hath dekh aur meri Jan chodh de aaj itni khushi ke mokey per me koi ladai nhi'n karna chahta" Aadi ye keh kar waha'n se chala aaya

💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞

Mano hath me rings box lye gum sum si Safya-Khanum ke pas aagai Aadi ke kahey gae alfaz abi tak us dil o damagh me goonj rhey the

"Mano tum aagai'n me abi tumhe'n hi yad kar rahi thi" Safya-Khanum ne Aik pyar bhari nigah Mano per dali

Jab Kafi dair tak Mano ki tarf se koi jwab na aaya to Safya-Khanum Mano ke pas chali gai'n

"Mano kya hua itni chup q ho? Tabiyat to theek hai? Aadi ne kuch kaha kya?" Safya-Khanum ne Aik sans me kai swal pooch lye

"Nhi'n budy Mummy aisa kuch nhi'n hai me bilkul theek hu'n" Safya-Khanum ke aisey bat ki teh me puhnch Janey se Mano dar gai thi

"Budy Mummy ye le'n rings" Mano ne Safya-Khanum ka dhyan Apney Aap se hataney ke lye boxes unhe'n pakdae Jo Badi gehri nigaho'n se us ke chehrey se uski bat ki sachai ka pta lga rahi thi'n

"O acha le aae rings ye b acha ho gya ke Sab kam barwaqt mukammal ho gae"

"Buddy Mummy Aadi ne do rings leney ko kaha tha " Mano ne jaisey Aadi ki shikayut lgai

"Me ne hi do Laney ko kaha tha" Safya-Khanum ne rings dekhtey hue kaha

Budi Mummy Do q?"

"Aik Mahzaib ke lye aur aik tumharey lye" Safya-Khanum ne Aik muskratey hue kaha

"Badi Mummy Mahzaib Aapi ki to Mangni hai islye Aap un ko ring de'n gi lekin Mujey q?"

"Mano idhar betho" Safya-Khanum ne Mano ko Preshan dekhtey hue usey Apney pas bithaya

"Mano ye bat mujey tum se Pehley poochni chahye thi lekin Ab pooch rahi hu'n aaj me tum se tumhari Badi Mummy ki haisiyat se nhi'n balkey Aik dost ki haisiyat se pooch rahi hu'n him dost hai'n na?" Safya-Khanum ne Mano se swal kiia

"Badi Mummy Aap hi to meri best friend ho Aap ye q pooch rahi hai'n?" Mano ko kuch smajh nhi'n aa raha tha

"To ye Btao tumhe'n Aadi kaisa lagta hai?" Safya-Khanum ne us ke chehrey per nazre'n jmatey hue poocha

.
.
.
.

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now