"Mano beta darwaza kholo"
Safya-Khanum ne awaz di"Badi Mummy Please chali jae'n me Kisi se bat nhi'n karna chahti"
Mano ne Rona Shuru kar dia"Mano meri Jan darwaza kholo tumhe'n meri qasam" Safya-Khanum ne apna aakhri dao chal dia aur dao chal gya Mano ne darwaza khol dia
"Mano ye kya harkat thi? Q roti ho pagli" In ho'n ne Mano ki peshani ko choom kar usey apney sath lga kar bed per baith gai'n" Mano to pehley hi apna gham halka karney ke lye kanda darkar tha to zoro shor se roney lagi
"Meri bhadur beti hua kya hai jo ro rhi ho" Unho'n ne aisey zahir kia ke jesey Kuch hua hi na ho
"Aap ne suna to hai Mumani ne mujh per kya ilzam lgaya" Mano phir se Rona Shuru ho gai
"Lo Bus itni c bat meri gudhya tumhe'n pta to hai Unki aadut ka"
Safya-Khanum musalsal counter karney ki koshish kar rhi thi'n"Ye Choti c bat hai?" Mano ne aur zoro se Rona Shuru kar dia
"Abey chup kar ja q ro ro kar Sara ghar sir per utha rakha hai"
Aadi jo Kisi kam se aaya tha wo Kuch aur b kehta lekin Safya-Khanum ko dekh kar usey apni zuban ko break lagana padi"Badi Ammi ye sub Kuch is ki waja se hua hai ye Hamesha mujey tang karta hai" Aadi ko dekh kar Mano us per chadh dodhi
"O jangali billi me ne Tujey kya kha balkey tumhari waja se Mumani ne mujey itni sunai hai" Aadi ko moka mila to us ne apna dukhda khola
"Buht Acha hua tumharey sath Hona hi aisa chahye aur us ainak wali chudail ko sath chipak kae phiro" Mano ko apna ghum bhool gya aur dil ki jlan zuban per aa gai
"Is me Mishal kha'n se Aagai" Aadi ne Mano ko chidaya
"Q? Takleef ho rhi hai us chudail ka nam sun kar" Mano aur buht taish me Aagai
Safya-Khanum jo Kisi tarha'n mano ka ghussa thanda ho jae unho'n ne Aadi ko ghoora to wo khamoshi se wha'n se nikal gya
"Dekha badi mumy ye mujey isi tarha'n tang karta hai" Mano ne phir se Rona Shuru kar dia
"Bus beta ab q itna apney Aap ko halkan kar rhi ho is Aadi ki to aaj khoob khbar lu'n gi balkey tumharey badey Papa ko shikayut lagti hu'n" Safya-Khanum ne Mano ke aansoo saf kiye
"Nhi'n Aap badey Papa ko Kuch nhi'n btae'n gi wo Aadi per buht naraz hongey" Mano ko apna dukh bhool kar Aadi ki fikar honey lagi
"Q nhi'n shikayut karni? Me to zaror Shikayut karu'n gi usi ki waja se to meri Mano itna roi hai" Safya-Khanum ne Masnooi ghussa dikhaya
"Nhi'n me kha'n roi hu'n" Mano ne jaldi se aansoo saf kiye
"Roi nhi'n ho to aisi shakalq q bna rakhi hai?" Safya-Khanum chahti thi'n ke Mano jaldi se normal ho jae
"Badi Mummy Aap b na" Mano muskratey hue Safya-Khanum ke galey lag gai
"Meri Bahadur beti aisey logo'n ki bato'n per zyada twajja nhi'n detey inka to kam hi lgai bhujai Karna hai" unho'n ne Mano ke chehrey ko choomtey hue naseehut ki
"Ab jaldi se utho itney sarey kam padey hai'n kya tum chahti ho ke Aadi phir se tumhe'n kam chori ka tana de" Safya-Khanum usey josh dilaya
"Wo bat karkey to dekhey me uska gla DBA du'n gi" Mano ne hatho'n ka shkanja bnaya jaisey wo waqai hi Aadi ka gala us ke hath me ho
"Ye sab to tab karo gi jab yha'n se bahir niklo gi" Safya-Khanum usey bazu se pakadh kar bahir le gai'n
Dosri taraf Aadi Mano ki waja se buht preshan tha wo bardasht b kaisey kar sakta ke uskey elawa koi Mano ko rulae
"Kahi'n Mumani ne to koi aisi wesi bat to nhi'n ki?" Aadi ke dil me khyal aaya
"Bilkul aisa hi hua ho ga" Aadi jaldi se sab kam chodh kar Mano ko dhondney chla gya
Mano usey nazar aa gai lekin wo us se Kuch pooch nhi'n sakta tha qk Safya-Khanum b sath thi'n
"Chotey khan wo Pholo'n wali decoration kab se ruki hui hai Aap wo to shehar. Se la de'n"
Mulazim ne aa kar Aadi ko uska kam yad karwaya"O Ha'n merey to zehan se hi nikal gya me abi jata hu'n Aap ja kar khaney ka intzam Deke'n baki kamme sanbhal lu'n ga" Aadi jaldi se bahir nikal gya
Shehar puhanch kar Aadi ne phool khareedey to us ki nazar buht khubsurat gajro'n per padi
Usney jaldi se Aapi aur Mano ke lye khareed lyeWapis ghar puhncha to saman ail taraf rakh kar wo Mahzaib ke kamrey ki traf gya jahan pta nhi'n Mano Aapi se kya raz o Nayaz kar rahi thi
Aadi ko dekh kar Mano khamosh ho gai aur apna chehra b dosri taraf pher lia
"Aapi ye Me Aap ke lye laya hu'n" Aadi ne shoper Mahzaib ko thmaya
"Wao ye to buht khubsurat hai'n lekin ye to Char gajrey hai aur merey do hath hai'n ab ye sab to me nhi'n pehun sakti" Mahzaib Mano ko sunaney ke lye kha
"Aap aisey kijye ka ke Kuch naraz log hai'n in se pooch le'n nhi'n to phirrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr Mishal ko de dijye ga" Aadi ne Mano ki traf dekhtey hue kha
"Aadi ke bachey me tumhara gala DBA du'n gi" Mano Ghussey se uski tarf badhi aur uska gala pakadh lia
"Mano mera gala chodo meri shirt ka Coller khrab ho jae ga birthday per Mishal ne kitney pyar se gift ki thi" Aadi ne usey aur taish dilaya
Mano ne gala chodh kar shirt ka gireyban pakda aur neechey tak design bna dia
"Meri Shirt! O jangli billi ye kya kia abi kal hi khareedi thi" Aadi dil per hath rakh ke reh gya
"Abi to tum keh rhey the ke us ainak wali chudail ne di thi" Mano Ghussey se kha
"Kabi to dmagh se kam lia karo birthday per to thi hi nhi'n" Aadi apni nai shirt ko dekha jo ab super man ke costume jesi lag rahi thi
"Pehley q nhi'n btaya? aur tumhe'n jhoot bolney ki kya zaroorat thi" Mano usi per hi chadh dodhi
"Agar me ya na kehta to tum mera gala DBA deti"
Mahzaib Aadi ki shirt ki durgat dekh kar Hans rahi thi wo kam hi dono'n ke darmyan mudakhilat karti thi
"Aapi Aap b Hans rahi hai'n" Aadi Mahzaib ko hansta dekh kar aur dukhi ho gya
"Aadi ghalti tumhari hai q mussebat ko dawat detey ho"
"Han sari ghalti meri hi hai" Ye keh kar wo Janey laga phir usey Kuch yad aaya to us ne jaib se 2 dabiya nikali aik Mahzaib ko aur aik Mano ke hath me de di
"Kya hai is me?" Mano ne kholteyhue poocha
"Khud dekh lo" Aadi ka mood abi tak khrab tha
"Aadi ye tum ne kab liye? Mano tum dikhana" Mahzaib ko wo chotey awaizey buht pyarey lagey
"Multan se laya tha"
"To itney dino'n ke bad q diye?" Mano jisey topes buht pasand aae the apni aadut se Majboor phir se Aadi per ghussa ho gai
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...