Lekin Mahzaib ko aik bat ki khushi b thi ke ye bat Ab us shakhs ke dimagh me aai thi jo aik bar kisi cheez ko karney ke barey me thaan le to phir wo usey kar ke hi chodhta tha
Aur wo apni Mahzaib Aapi ke hwaley to buht zyada possessive tha Yha'n tak ke Bachpan me aik martba in ke mamu'n ki beti Jo ke takreeban Mahzaib ki ham umar thi usney sirf usey chidaney ke lye kha ke wo Mahzaib se zyada khobsurat hai to Aadi ne us per syahi(ink) phenk di aur phir poocha "Ab btao Kon zyada khobsurat hai tm ya Meri Appi ?"
Bad me is bat per usey apney Baba Jan se buht zyada mar b padi thi
Dosri traf Aadi Jo kisi mansoobey ko sochtey hue poorey kamrey me chkkar pe chkkar lga rha tha Jabkey Mano bed per bethi aram se buble kha rhi thi
Aadi ki jab Mano per nazar padi to uska para chadh gya
"Me Yha'n ye soch soch kar preshan ho rha hu'n ke Aapi aur bhai ki shadi kesey karwao'n aur aik tm ho jisey khaney peeney ke elawa koi kam hi nh hai " Aadi ne bhunnatey hue kha.
"Mujey aur koi kam q nh hai me subha uth kar apni Sab friends ko good morning ka message karti hu'n phir me sanam baloch ka morning show dekhti hu'n aur aur " usney kuch aur sochtey hue kha.
" Bus bus mujey pta Chal gya tm buht bussy ho " Aadi ne uskey samney hath jodhtey hue kha.
" Tumhein preshan honey ki zyada zarorat nh hai me ne plan bna lia hai ke Aapi aur bhai ko amney samney kaisey karna hai " Mano ne bdi laparwahi ke sath hath jhadhtey hue kha.
" Hai'n Aamney Samney se kya matlab hua? Pehley wo konsa aik dosrey se parda kartey hai'n " Aadi ne nasamjhi se poocha.
"Hahaha buht bura joke tha bilkul hansi nh aai" Mano ne b badla le lia
" Ab poocho ge nh ke plan kya hai? " Mano ne poocha
" Ab Zara si zuban ko takleef de kar wo nadir shahi mansooba hmarey b ghosh guzar farma de'n " Aadi ne bezari apney arooj per thi
" Acha Ab bus b kro Itni pur tkalluf Urdu bol kar agar tm smajhtey ho ke tm mujey sharminda kar sako gey to ye tmhari bhool hai aur hm larkia hmesha drust hoti hai'n " Mano ka lehja aik dam hatmi tha
" Acha pta hai mujey tm larkio'n ka wo to Aapi ki waja se me chup hu'n warna me achi trha janta hu'n pichley aik dedh Sal se me larkio'n ko hi Jan rha hu'n" Aadi ne ghussey se kha
" Kya keh dia hai tm ko masoom larkio'n ne Jo itna tan fun kar rhey ho? " Mano ko b ghussa aa gya
" Janta hu'n in masoom larkio'n ko kesey masoom ghareeb larko'n se shopping karti hai kesey in ghareeb larko'n ke peso'n se pizzey, zinger khae jatey hai'n" Aadi ne b eent ka jwab pthar se dia
" Larkio'n per itney ghatya ilzam lganey se pehley larko'n ke barey me b sun lo larkio'n ke peechey kutto'n ki trha dum hilatey phirtey hai aur tum ko itna Sab kuch shopping aur khabo'n ke barey me kaisey pta hai? Lagta hai buht sari larkio'n ko shopping aur khaney khilae jatey rhey hai " Mano ne b badla le hi lia
" Tum tum mujey itna ghatya smajhti ho ke me larkio'n ke sath daite'n mnata phirta hu'n?' Aadi ke to sir per lagi thi aur talyo'n per bhuji thi.
Aadi ke tewar dekh kar aik pal ke lye to Mano b dar gai thi aur usey ye mehsoos b hua tha ke wo kuch zyada kya buht zyada hi bol gai thi
Wo dono anjan the ke unki bate'n bahir khadi Khan Begum b sun rhi thi'n
Wo muamley ko sanbhalney ke lye foran kamrey me dakhil hui'n
" Ye sab kya chal rha hai? Aur tum log q har waqt aik dosrey se ladhtey rehtey ho? Aur tm dono ke darmyan Mahzaib aur Jabran ke hwaley se kya khichdi pak rhi hai? " Khan begum ne aik ke bad aik swal dagh diye
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...