Part 22

386 32 2
                                    

Dil buri tarha'n se dhadhak rhatha

"kahi'n ghar walo'n  ne  Ha'n  kar di to? Agar is bar meri kismat ne mera sath na dia to? Ye jo Pehli bar Jabran ki tarf se umeed ki kiran nazar aa rhi hai wo dhundla gai to? Kya me Jabran ke elawa Kisi aur ko qabool kar pao'n gi? Kya me apney khuwab Jabran ke elawa Kisi aur se bant pao'n gi? Kya mudato'n ki muhabbat b bhulai ja skey gi? Kya ye dil Kisi aur ke nam per dhadhak skey ga?" Swal un ginnat aur Kisi aik ka b jwab nh tha ab kya karey aur kya na karey

"Aapi Aapi Aap kha'n kho gai'n aur Aap ki tabiyat to theek hai?" Mahzaib ka pehley saktey me aa Jana aur sath hi aik du'n se sookhey patey ke jaisey zard padh Jana Mishal ko preshan kar gya tha

"Wwwwo Kuch nh me bilkul theek hu'n Mano bahir ho gi jao us se b mill lo" Mahzaib ne Mishal ko belaya

"O Ha'n me abi Mano se mil ke aati hu'n" ye keh kar Mishal wha'n se chali gai

Mahzaib ne mobile uthaya aur likhna Shuru kia

"Din dhalta ja rha ghadya'n guzarti ja rhi hai'n

Zindagi me jaisey wehshat ki  ghadya'n aa rhi hai'n

Socha tha usey hasil aik din kar hi lu'n gi

Magar zindagi ab hath se phislti ja rhi hai

Tha wo be parwah lekin dil us per hai fida

Isi lye to ye nazar uski rah per ja rhi hai

Hai umeed mujh ko shaid ab Kuch khbar ho usko

Uski yad ke ghamo'n me koi  ghulti ja rhi hai

Aaj sham tak hai waqt Kuch kar lo khudara

Aaj Mumani  jeeney ka haq cheenney aa rhi hai'n"

Ye sab likhney ke bad us ne wo message Jabran ke number per send kar dia

Jabran jo us waqt Mahzaib ke "saro kar kya?" Ki waja se khasa chida hua tha us ne Mahzaib ko tka sa jwab deney ke bad us ne faisla kia tha ke ab wo us qatl e Jan ke Kisi b message ka jwab nh de ga

Jab us ko message mila to wo us waqt gosht batwa rha tha

Us ne Mahzaib ka nam dekh kar mobile aik side per rakh dia aur zid me aa gya 

"chahey jo b ho jae me uskey message ka jwab to door me uska message dekhu'n ga b nh badi aai mujey sarokar kya?" Jabran ne badhbdatey hue kha

Lekin dil ka b kya kia jae ye thoda Kisi ki manta hai hmesha z Kisi ziddi bachey ki tarha'n usi cheeze'n ke peechey bhagta hai jis se roka jae

Ab ye koi aam si to cheez nh thi ye to us dushman e chain o aram ka message tha jiskey lye Jabran apni zid kya ye dunya chodh sakta tha

To Aakhir kar dil ne bazi jeet li aur zid har gai

Jab Jabran ne message pdha to usko b apni sanse'n atakti Hui mehsoos hui'n

Wo foran wha'n se utha aur baki ka bcha hua kam mulazo'n ko samjha kar ghar ke andar chla gya

Jha'n Safya Khanum aaj buht khush thi'n wo mukhtalif kisam ki tyario'n me lagi hui thi'n

Khan begum ne sabhi ko sakhti se roka hua tha ke ye bat Kisi ko b pta na chaley

Lekin jis walhana andaz se Noor-Aalum-Khan aaj eid ki Nmaz ke bad us se miley they us se lagta tha he Baba Jan ne un ke kan me bat dal di hai

Uska shak bilkul theek tha  Subha eid ki Nmaz ke lye jab Noor-Aalum-Khan apney Bdey bhai Shair-Aalum-Khan ko bulaney aae to us waqt Shair-Aalum-Khan buht khush dikhai de rhey the aur Noor-Aalum-Khan ko dekh kar to in ki khushi sanbhaley nh sanbhal Rahi thi

"Lala Allah Aap ko aisey hi khush rakhey aaj Aap buht khush nazar aa rhey hai" Noor-Aalum-Khan ne gley miltey hue kha

"Ha'n laley ki Jan aaj Hum buht khush hai aaj Hmara Allah ne buht bada khuwahish poora kia hai lekin wo khuwahish tumhari marzi ke bghair adhoora hai" Shair-Aalum-Khan apni poori trang me the

"Lala ye Aap kesi bat kar rhey hai'n kesi marzi?Aap hukam de'n ye Jan b hazir hai" Noor-Aalum-Khan ka lehja aik pukhta irada lye hue tha aur us ne zindagi ke har modh per apney is iradey ke amal me b bdal kar dikhlaya tha

"Laley ki Jan jo bat me karney ja rha hu'n isey hukam na smajhna balkey ye sirf aik rae hai aur me tumharey har faisley ke sath khda  hu'n ga is lye Razya bhabi se mashwarey ke bad jwab dena" Shair-Aalum-Khan ne bat mukammal ki

"Lala Aap kya keh rhey hai'n mujey Kuch smajh nh aa rha" Noor-Aalum-Khan ko itni lambi tamheed  ne preshan kar dia

"Laley ki Jan me tum se Mahzaib aur Mahnoor ko mang rha hu'n isey aik bhai ka hukam nh aik bap ki iltja smajhna" Shair-Aalum-Khan ne Confuse se Noor-Aalum-Khan ke Hath apney hatho'n me letey hue kha

"Khuda Kasam Lala ye Aap ne Iltja wala lafz bol kar Acha nh kia mera jo Kuch hai wo Aap ka hi to hai Aur Rahi Bat Mahzaib aur Mahnoor ki to wo kal b Aap ki thi'n aur Aaj b Aap ki hai'n " Noor-Aalum-Khan ne num aankho'n ke sath Shair-Aalum-Khan ke hatho'n ko choomtey hue kha

" Na Laley ki Jan khbardar jo aisey mokey per Roya to" Shair-Aalum-Khan ne Noor-Aalum-Khan ko seeney se lga lia

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now