Part 25

433 32 1
                                    

"Jao ja kar khud hi karlo sab Kuch jaisey pehley kartey rhey ho" Razya Khanum buht khfa thi'n

"Choti Ammi ye kya bat hui? Aap hi to meri best friend ho kabi Aap ke mashwrey ke bghair me ne Kuch kia hai?" Aadi ne khfa Razya Khanum ka rukh apni tarf kia

"Acha to phir itney dino'n se jo tumhari kabi Kisi se aur kabi Kisi se jo meeting chal Rahi thi'n in ke barey me tum ne mujey btana tak gwara nh kia aur me intzar karti rhi ke mera beta abi merey pas aaye ga aur mujey sari bato'n ke lye aitmad me le ga" Razya Khanum ne Aadi ke hath apney bazoo'n se htae

"Meri pyari Choti Ammi ye sab Aap ke lye hi to kar rha hu'n me Aap ko surprise dena chahta tha agar meri ye ghalti hai to phir Aap jo b saza mujey dena chahe'n de le'n" Aadi ke lye ye narazgi na kabley bardasht thi

"Choti Ammi ab bolye b na mujey Aap ki khamoshi se buht dar lag rha hai" Aadi ne Razya Khanum ke gley me banhe'n dal di'n

"Aik shart per muaf kru'n gi" Razya Khanum ne sanjeedgi se kha

"Mujey Aap ki sab Sharte'n qabool hai'n" Aadi yakbargi kha

"Meri shart ye hai ke aainda aisi roni shkal nh bnao ge" Razya Khanum ne us ke gal per pyar kartey hue kha

"Oh khudaya! Choti Ammi Aap ne mujey muaf kar dia?" Aadi ko yaqeen nh ho rha tha

"Me tum se kya kabi naraz ho sakti hu'n tum to merey sab se achey betey ho" Razya Khanum ne usey gley se lgaya

"Such me Choti Ammi Aap ne to meri Jan hi nikal di thi" Aadi ki sanse'n ab Kuch bahal ho rhi thi'n

"Mujey to tum per buht fkhar hai ke merey betey ne kitni zhanut ke sath itna bada kam kia jo ham chahtey hue b itney salo'n se na kar skey"

"Aap ko kaisey pta chla?" Aadi ki Herat aroij per thi

"Tum kya smajh rhey ho ke Mano mujh se Kuch b chupa sakti hai?" Razya Khanum ne bat clear ki

"Chalo chodhye Aap mujey ye btaiye ke kya Kuch Lana hai meri Aapi ki shadi hai koi ksar nh rehni chahye" Aadi ne bat bdal di

"Ha'n chalo pehley ham list bna le'n aur wo Mishal kha'n hai" Razya Khanum ko yad aaya

"Usey me'n Mano ke hwaley kar ke aaya hu'n buht udh rhi thi kya yad karey gi" Aadi hanstey hue imagine kia

"O merey khuda Aadi tum waqai poorey shetan ho Mano to usey kacha chba jae gi" Razya Khanum ne Aadi ko danta

"Choti Ammi jo b ho ga dekha jae ga usey b pta chalna chahye ke har cheez ki aik limit hoti hai aur ye sbaq sirf Mano hi usey sikha sakti hai" Aadi ne Kuch yad karkey muthya'n peenchi

"Choti Ammi chodhye ye btaiye kya Kuch Lana hai meri Aapi ki bat puki honi hai aur khas kar wo sarey fsadi b aa rhey hai'n"

"Kon Fsadi?" Razya Khanum ko Kuch smajh na aaya

" Wohi jinho'n ne shetan se fsad karwaney ki franchise le rakhi hai"

"Aadi buri bat Mumani lagti hai tumhari aisey nh kehtey"  Razya Khanum ko smajh aa gya ke kisko alqabat se nwaza ja rha hai

"Acha theek hai Choti Ammi nh kehta lekin agar unho'n ne hasbey sabiq koi khrabi ki to me un ko unkey beto'n smait bahir phaink du'n ga"

"Kuch nh hoga me sab sanbhal lu'n gi" Razya Khanum ne usey list detey hue kha

Phir Aadi list le kar bahir ja rha tha ke Mano ne usey ghair lia

"Yu'n chup chup ke kha'n ja rhey ho?" Mano ne usey ghoora

" Me'n q chup chup ke Janey lga? Me Kisi se darta hu'n kya" Aadi ko us ki bat per tao aa gya

"Bda aaya Tipu sultan merey sir per us chashmish ko bitha kar khud kha'n bhag rhey ho" Mano ne lagi lupti kehna to seekha hi nh tha

" Me tumhari tarha'n ghar bahir se farigh thoda hi hu'n mujey buht kam hai wesey ghar bar se yad aaya tum to dmagh se b farigh ho" Aadi samney se Rehmat chucha ko aatey dekh kar  phir se shrart sooji

"Aadi ke bachey me tumhara khoon pi jao'n gi"Mano us per jhapti

Aadi wha'n se bhaga aur mano josh me Rehmat chucha me ja lagi Rehmat bechara to dhakey se aisa role hua jaisey football ho

"O Choti bibi Allah Aap ko samjhey phir se Aadi khan ko marney chali thi'' Rehmat to matum karney ke kareeb tha

"I am very sorry chucha me ne Aap ko nh dekha" Mano ko ab class se koi nh bcha sakta tha

"Chucha me ne to pehley hi kha tha is ne zaror Aap se koi badla lena hai warna aisa har bar thodi hota hai ke chot Aap ko hi lgey" Aadi jalti per tail dal kar ye ja wo ja.
.
.
.
.
.

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now