Qk wo Ab khan begum ke kamrey me to ja nh Sakta tha aur usey kamrey me honey waley ijlas ki audio aur video dono hi chahye thi
Is lye us ne khan begum ke kamrey ke roshandan ka intkhab kia ke wo wha'n se andar ke halat o waqiat dekh sakey Lekin wo kambakht roshandan b kafi ooncha tha Ab usey roshandan tak puhnchney ke lye koi cheez chahye thi us ne jab ird gird dekha to aik tooti charpai hi nazar aai to us ne us charpai se hi kam nikalney ka program bnayaAakhir wo roshandan tak puhnch hi gya kamrey ka manzar kisi purani classical filmo'n jaisa dikhai de rha tha
Badey sofey per Shair-Alum-khan aur un se kuch fasley Safya khanum bethi hui thi'n Jabkey Khan Begum lakdi ke jae Nmaz per bethi hui thi'n
"G Maa'n g Khairiyat aap ne Itni ujlat me hme'n bulwaya?" Shair-Alum-khan ne fikarmandi se poocha Halankey abi kuch dair pehley hi wo Khan Begum ke pas se uth kar gae the aur aisey hi kuch miltey jultey khyalat Safya-khanum ke b the
"Khairiyat hi hai preshan honey ki zarorat nh bus aaj kabristan se wapis aatey hue bar bar ye khyal aa rha tha kaisi kaisi khobsurat log dunya se chley gae pta nh mera kab bulawa aa jae is se pehley"
"Bus Maa'n g aap aaj kaisi bate'n kar rhi hai'n Allah aap ko umr-e-Khizar ataa farmae aur aapka saya ta qyamt hmarey saro'n per slamut rkhey" Safya-khanum ne bat kattey hue kha
"Safya Meri Bachi Maut to atal hai har kisi ne Yha'n se Jana hai bus Ab to Meri aik hi khuwahish hai" Khan begum ne apni bat adhoori chodhtey hue kha
"Maa'n g phir wohi baat aap sari bate'n chode'n bus hukam kre'n" Shair-Alum-khan ne bat khtam kartey hue kha
"Beta me ne tm dono ko is lye bulwaya tha ke me chahti hu'n ke Jabran aur Aadi ki khusya'n apni aankho'n se dekhu'n'' Khan begum ne bat mukammal ki
Aadi ki khushyo'n wali bat to Aadi ke aasab per kisi bomb ki tarha giri thi
Kha'n wo Jabran ke lye muamlat set kar rha tha kha'n uski Jan shkanjey me kasi ja rhi thi
"Maa g aap hukam kre'n jaisa aap chahti hai'n waisa hi hoga" Shair-Alum-khan be to Goya bat hi khtam kardi
"Me chahti hu'n ke isi maheeney Jabran ki aur Aadi ki shadi kar di jae " Khan begum ne hukam Suna dia
Shair-Alum-khan aur Safya-khanum ne herangi se aik dosrey ki tarf dekha
"Maa'n g Chalo Jabran ki shadi ki bat to smajh me aa rhi hai Lekin Aadi to abi padh rha hai uski shadi kaisey ho sakti hai?" Safya-khanum ne Khan begum ko kaail karney ki aik nakam si koshish ki
"Pdhai pdhai aik to ye Pdhai na hui Jan ka azab ho gai Jabran ke lye to ye bahana bardasht kar lia tha Ab Aadi ki barey me ye bahana nh chaley ga" Khan begum ne sarey aitraz veto kar diye the
"Lekin Maa'n g itney qaleel waqt me ye sab kuch karna taqreeban na mumkin sa hai Acha Chalo ye Sara intzam ho jae ga Lekin dulhne'n kha se Aae'n gi?" Shair-Alum-khan ne poocha
"Dulhne'n kha'n se aae'n gi ka kya matlab? Isi ghar se aae'n gi" khan begum ne in ki aqal per matum karney ke se andaz me kha
"Hme'n Manzoor hai" Shair-Alum-khan aur Safya-khanum ne bat smajh aaney ke bad khushi se sarshar ho kar kha
Lekin dosri tarf Aadi to aik dam se shock me chla gya aur isi doran .
. .
.
. .
.
..
YOU ARE READING
Takrar se Ikrar Tak
RomanceAik larkey aur larki ki dastan jin ka Bachpan phir ladhkpan ladhtey jhghadtey guzra Ladhna jghadna aur nok jhok pta nh kab aur kaisey Muhabbt ke rang me rung gya unhey pta b na chala wo do no to kisi aur ko milaney nikley the Lekin in ko kya khbar...