Avoid mistakes if any. Target 200 comments.
Ps-comment quickly and I will give another double update next time. Choice is yours.
The gang reached school and headed towards fab5 jam room. Navbhiya were sitting ideally with aarav in jam room and V had gone to take her classes. Fab5 were just discussing abt their start of jamming.
On the other hand Nandini was just looking at the envelope blankly. All the memories of her relationship with Manik was just screening around her like a movie.
Gathering courage Nandini finally holded the envelope and opened it. She knew the letter is delicate so she was very gently removing it. She opened the fold of the letters and saw the words in it were written in Hindi.
Beta,
Mei Manik ki dadi ho........yeh khat tum tak aane se pehle tumhe yeh pata chal gaya hoga..........tum yahi soch rhi ho na k meine tumhe yeh khat kyu likha hai............yeh khat mei tumhe isliye likh rhi ho kyu ki aaj mei tumhe kuch kehna chahti ho........mei janti ho k ab tak toh tumne Manik ko pehchan liya hoga.........aur muje umeed hai k tum usse samjti bhi ho...........mei yeh toh nhi janti k uski maali (financial) halat kaisi hai.........lekin muje apne ishwar pe pura bharosa hai aur ussi k sahare yeh pata hai k mera Manik jahan bhi hai........tumhare sath khush hai......... beta.........kehne k liye toh mei Manik ki Dadi ho lekin meine usse saggi maa se bhi zayda pyaar kiya hai.......uske janam se mere marne tak woh mere sath hi tha........ aur woh meri aulad hai........bhale hi usse janam nyonika ne diya hai........ lekin uski asli maa mei hi ho........aur ussi rishte se mei yeh daave k sath keh skti ho k mera Manik iss duniya ka sabse aacha insaan hai...........uske janam k waqt thi mei waha pe.........aur usko sabse pehle goad mei meine hi liya tha.........meine uss pe aaj tak nyonika ka saya nhi aane diya hai.........lekin ab meri umar hogai hai.........aur iss umar k sath yeh yakeen bhi hota hai k ab zindagi kab dhoka de jaye pata nhi.......... mere jaane k baad nyonika apni sazisho se mere Manik ko apna kr legi.......lekin ussi k sath sath uski masumiyat ko kuchla k rakh degi..........lekin muje pata hai k bhale hi usne janam nyonika ki kok se liya hai lekin uski raggo mei Malhotra ka khoon hai..........Manik bhale hi nyonika k wajha se matlabi ho jaye........ya bura aadmi ban jaye....... lekin tum uske dil ko sehlana........usse heal krna........usse apne pyaar aur apnepan se nawaz na......tab tumhe mera asli Manik dekhega.........bilkul ek nagina........apne naam k jaise.......... pata hai jab Manik new born tha toh bahut kum rota tha.........itna shant rehta tha.........lekin jab woh 3 saal ka hova toh uski shararate bahut thi..........purre ghar mei muje doadta tha..........yeh haar bache mei hota hai........jo bahut kum rote hai woh bade hoke bahut badmashi krte hai........aur jo bacche bahut rote hai woh baadmei bahut shant hote hai..........uske khane k nakhre nhi the........kyu ki apne Papa aur dadaji jaise woh bhi pakka punjabi hai aur punjabiyo ko sab kuch aacha lagta hai............uske bahut zayda dost bhi nhi hai........kyu ki mera baccha mujse bahut pyaar krta hai aur mere sath waqt bitana usse aacha lagta hai.........mei bhi usse apni nazro se dur rakhna gavara nhi krti ho........ lekin Manik ka dil bahut bada hai........usse kabhi kisi ki pareshaani dekhi nhi jati khaas kr k jo unke dil mei hai.........par uski issi baat ka daar hai muje........yeh duniya bahut kharab hai.........isliye dhyan rakhna k koi uska faida na uthaye.........meri jaan basti hai Manik mei..........ek aur chiz mei tumhe kehna chahti ho.........mera Manik saal mei ek baar toh bimar padhta hi hai......khaas kr k sardi mei..........uska ek ahem kaaran (important reason) hai maa ka dhud..........Manik ko kabhi maa ka dhud nhi mila.........jis k wajha se woh sardi mei kamzor ho jata hai.....aur bimari aur choote (injury) lagti rehti hai usse..........ek bache ki zindagi mei maa ka dhud utna hi zaruri hai jitna ki saas lena........Manik ko toh maa ka dhud nhi mila lekin tum apne baccho ko apna dhud zarur dena.........jitna usse maa ka dhud milega utna hi tumhara baccha masbut aur shehati banega (strong and healthy).............mei tumhe manik k baaremei aur bhi bolti lekin mera Manik abhi bahut chota hai.........aur waqt rehte mujse zayda tum usse samj jaogi......... mei bas tumse itna kehna chahti ho k jo barbadi nyonika mere bacche k zindagi mei layegi usse tum sambhal lena....... uske sath rehna.......uska sath nibhana.......apna ek chota sa parivar kar na.........apni choti se ek duniya banana...........usse apne se jod k rakhna taki tumhare aur Manik k bich bade se bada tufaan bhi tumhe alag na kr paye.........meine tumhe nasiyat toh de di hai lekin muje nhi pata yeh khat tumhe kab milega aur usse waqt k halat kya honge.........lekin itna janti ho k meri dua bhagwan ne zarur kabul ki hogi..........Manik ko dekh k meri ek iccha hoti thi k mei ek aur chota Manik dekhu.......Manik ka Manik........lekin meri umar waisi nhi........lekin tum tumhare bich ek chota manik zarur lana..........khair ek aur iccha hai meri........iss lefafe mei ek chabi hai...... yeh chabi mere ghar ki hai jo Dehradun mei hai.........Manik k zaruri 5 saal wahi hai..........ho sake toh tum usse waha lekar jaana.........uss ghar mei tumhe aur bahut kuch mileage jisse tumhara aur Manik ka rishta aur masbut hoga........aur sabse zayda waha Manik ka bachpan hai......woh tumhari rishte ki sabse badi kadi hai.........mera toh maan bahut hai k mei Manik ko dulha bante dekhu,ghodi chadte dekhu,uski bahu k naaz utha saku......lekin abhi mera Manik bahut chota hai........usse sambhal Lena,pyaar krna aur usse apne seene se lagaye rakhna........ shayad woh tumhe pareshaan kare, ziddi bane lekin woh tumse pyaar bhi bahut krta hai........muje yakeen hai........... mei aur bhi bahut kuch kehna chahti ho tumse lekin yeh khat kum padh jayega........lekin shayad woh ghar tumhe Jeevan ka aacha pehlu bhi dekhayega..........mera Ashirwad hamesha tumhare aur Manik k sath hai........bas apna hath ek dusre se alag mat karna........hamesha ek dusre k sath rhe na.........ek dusre ki dhoop chao banna...........Manik ki khush dekh k meri aatma bhi shant hogi.