His Imperious Boss - 5

2.9K 416 206
                                    

Unedited..
_______

Sidharth loathes around the entire room unable to sleep, due to the decision he made, the whole day. He was repenting of resigning. He never wanted to do it.

Sidharth's mother, Lakshmi who is a primary school teacher, returns home in the late afternoon from work. She freshens up and goes to the kitchen to make tea for herself. Remembering that even Sidharth was at home, she makes tea for him as well and goes to his room.

"Ye le.. Subah toh mujhe sona hai sona hai keh raha tha ab dekho chamgadhar ke jaise apne kamre ke chakkar kaat raha hai. Tension kis baat ki hai?", She asked.

"Koi tension nahi maa.", He said.

"Beta yeh jo tune chai ke cups ka Eiffel Tower banaya hai na woh cheek cheek ke keh raha hai ki - Sidhaaaarth Tension Mein Hai.", She lifts both her hands up in the air and screams animatedly.

Sidharth glares at her.

"Koi tension nahi maa..", she mimics him with a sad pouty face to pull his leg.

"Maa..", Sidharth whines like a little kid.

"Bhakk.. ab bata jaldi jaldi ki kaunsa pahaad tutt padha hai tujh pe jo tune chai pe iss tarah atyachaar kiya?", She asked.

He puts his head down not knowing what and how to tell her.

"Hmmm.. Shehnaaz ke baare mein soch raha hai na?", She asks.

"Huh? Aapko kaise.. aaa.. I mean.. Why would I think about her?", He was taken aback as to how she knew what he was thinking.

"Pyaar jo karta hai usse.", She said

"Whaat?? Aap kiski baat kar rahi ho? Main toh Kaamini..", He spoke.

"Arey haan.. uska naam toh Kamini hai.. slip of tongue ho gaya.. sorry..", she said.

"Maa.. Kaaaamini!! Kaa Kaa Kaamini", he corrects in irritation.

"Kauve ke jaise kya Kaa kaa kar raha hai.. Haan.. Kamini ho ya Kaamini.. ek hi baat hai..", she said.

"Ek baat kaha huyi maa? Agar aapke students exam mein Aa ki maatraa miss karde toh aap unke marks nahi kaat ti kya?", He asks.

"Tu mere bachchon ke baare mein kuch mat bol.", She warns.

"Arghhh.. aap bhool rahi ho ki aapka bachcha main hoon.. woh nahi.. woh aapke students hai..", he smirked.

"Bhakk!! Bahut ho gaya ab.. baat ko math ghooma.. aur tune apna resignation waapis liya ki nahi?", She asked

"Maa.. yeh sab baad mein baat karte.. main aaj Kaamini ko date pe le jaa raha hoon. Toh mujhe taiyyar hona hai.", He said avoiding the discussion.

"Pata nahi kyu par tu jab jab date bolta hai mujhe 'Teerthyaatra' sunaayi deta hai?", Said his mother patting her ears to check.

"Maa.. Kaamini achchi ladki hai.. aap uska naam leti hi typical saasumaa wale harkat kyu karne lagti ho?", He complains.

"Iska jawaab de deti tujhe par khair koi faida nahi hai.. Tu nahi samjhega..", said Lakshmi sarcastically irritating him further.

"Rrr... Nahi samjhna mujhe.. I need to go now..", he said.

"Oye.. tu Malhotra ka beta hai koi Maharaja ka nahi.. yeh jo cups ka tower tune banaya hai na? Issko achchi tarah se sabun laga ke ragad ragad ke dhone ke baad jaana..", orders his mother.

"Arghhh..", he grumpily starts collecting all the cups from the table.

"Rukh jaa beta.. Isse bhi le jaa.." said Lakshmi passing him her used cup.

His Imperious Boss! ✅Where stories live. Discover now