His Imperious Boss - 45

2.4K 382 136
                                    

Check if you've read the previous update..

____________

Shehnaaz had just arrived in the office on Thursday morning. Ignoring all the morning wishes on her way, she reached straight into her cabin as usual but not before noticing that Sidharth's desk was vacant.

She went to occupy the boss's comfortable chair but her mind was disturbed.

Do din se office nahi aaya. Uss din ke conversation ke baad, kya usne naukri chhodd di? Par kyu?

Tujhe bura kyu lag raha hai? Tu bhi toh uske presence mein disturb ho jaati hai. Tu khudh hi chahti thi ki woh tere nazar se durr rahe taaki tujhe dubaara hurt na hona pade?

Haan, ab bhi wahi chahti hoon. Par agar woh naukri chhodd dega toh ghar kaise chalega? Main toh bas maa ke baare mein soch rahi thi.

Pakka sirf maa ke baare mein soch rahi thi?

Haan.. pakka..

At around late afternoon, she picked up her mobile and dialled Lakshmi's number.

"Shehnaaz..", Lakshmi answered on the fourth ring.

"Maa.. aap thik ho?", Shehnaaz asked instantly.

"Wohh.. aaa.. hmmm..", Lakshmi replied with a hum which made Shehnaaz doubtful.

"Maa.. Aapne thik se jawaab nahi diya. Sab thik toh hai na?", Shehnaaz asked yet again.

"H..h..haan beta.. s..s..sab thik hai.", Lakshmi answered in fumbling voice.

"Ab pata chala aapko bete ko kuch bhi chuppane mein itna difficulty kyu hoti hai. Kyuki usko ye quality aapse viraasat mein mila hai.", Shehnaaz spoke nonchalantly.

Baat yaha maa ki ho rahi thi, tu usko kyu beech mein laa rahi hai?

Shehnaaz rolled her eyes at her thoughts.

"..Aap mujhse kuch chuppa rahi ho. Main abhi ke abhi ghar aa rahi hoon.", Said Shehnaaz.

"Nahi Shehnaaz. Main ghar pe nahi hoon.", Said Lakshmi.

"Ohh!! Toh? Kaha pe ho maa?", Asked Shehnaaz.

"Woh.. main bank mein hoon. Ghar ka loan installment nahi bhara toh bank walon ne ghar pe taala laga diya hai. Isiliye main aur Sidharth bank walon se kuch din ka mahulat maangne aaye hai.", Blurts Lakshmi.

"Kya? Aapne mujhe pehle kyu nahi bataya Maa. Aur kitna loan baaki hai, aap mujhe batao main apka loan clear kara dungi.", said Shehnaaz.

"Kis se baat kar rahi ho maa?", Shehnaaz heard Sidharth's voice.

"Bahu se..", said Lakshmi.

"Kaunsi bahu?", He asked a bit rudely irking Shehnaaz.

"Kaunsi matlab? Tune koi dusri shaadi kar li kya?", Lakshmi asked. Shehnaaz's heart skipped a beat at the thought.

"Ek hi toh hai, Shehnaaz..", said Lakshmi.

"Maa, ab woh aapki bahu nahi hai. Woh kisi aur ki mangetar hai.", Said Sidharth and Shehnaaz bit her lower lips unable to speak.

"Montu, aise waqt main tu kaisi mazak kar raha hai. Dimaag kharab hai tera?", Lakshmi asked.

"Haan, sirf mera hi dimaag kharab hai iss pure jahaan mein. Aap khudh apni ladli bahu se pooncho..", Sidharth seethed in anger.

"Montu.. muh band rakh.. Shehnaaz.. Shehnaaaaz..", called Lakshmi.

"H..Haan Maa?", Shehnaaz fumbled gripping the receiver which was about to slip from her hand.

His Imperious Boss! ✅Where stories live. Discover now