His Imperious Boss - 7

2.7K 435 234
                                    

Check if you've read the previous update

_______________

Door Bell Rings

"Arey waah!! Tu toh doodhwaale se bhi jaldi aa gaya. Resign karne ke baad se mera beta kuch jyada hi mehnat karne laga hai. Haina?", Asks Lakshmi as soon as she opened the door

Sidharth frowns and looks at her face.

"Maa.. please aap subah subah meri taang math keecho. Message kiya toh tha maine kal raat ko ki nahi aa paunga.", He said while sitting on the little seat near the door and taking off his shoes.

"Haan haan.. kiya tha par tu toh personal secretary hai na? Koi developer ya scientist nahi jo raat raat bhar jag ke coding ya research kare. Shehnaaz bhi thi kya tere saath?", She enquires.

"Hmmm.. Usko bhukaar tha aur office mein hi so gayi thi, toh main isiliye uske paas rukh gaya tha.", He mumbled.

"Kya? Ab kaisi hai meri bahu?", She asked in shock.

"Bahu? Mom, aap kya bol rahi ho kuch pata bhi hai? Meri kab shaadi huyi usse? Aur aapki hone wali bahu toh Kaa..", he was cut short by his mom.

"Haan haan pata hai Kamini hai.. (he glares but gets royally ignored) mujhe math sikha.. sirf tere shaadi karne se woh meri bahu bane ye zaruri nahi hai. Woh jisse bhi shaadi kare usse mein apna beta bana lungi.. Kyuki maine usko kaise bhi karke bahu banani hai.. ab tu bol woh kaisi hai..", Lakshmi said.

"Ab thik hai shayad. Usne mujhe comp off lene ko bola toh main ab sone jaa raha hoon.", Said Sidharth.

"Ye shayad kya hota hai? Tune aane se pehle check nahi kiya kya?", She asked.

"Woh haat laagane degi toh check karunga na?", He murmured under his breath inaudible to her.

"Kya bol raha hai? Zor se bol..", she scolds.

"Nahi kiyaa...", He screamed.

"Mere kaan ke parde phaadega kya? Itne zor se kaun chilaata hai? Aur tu itna laaparwaah kyu hai. Waapis jaa tu uske paas abhi ke abhi..", she said.

"What? Maa.. she is fine.. main nahi jaa raha..", he said.

"She is fine? Tune toh check nahi kiya tha toh kaise pata? Aur tu kaise nahi jaayega? Tere bistar pe paani daal dungi joh tu ab sone gaya toh.. aur tujhe breakfast aur khaana bhi nahi dungi.. pata nahi meri bahu ki kya haalat hai.. uska dekh baal karne wala koi hai bhi nahi.", She scolds him and then complained in worry.

"Maa.. beta main hu aapka.. par abhi doubt ho raha hai mujhe ki hoon bhi yaa nahi.. meri toh kisi ko fikar hi nahi.. aur woh thik hai kyuki woh mere se normal behave kar rahi thi.. (murmurs the next sentence) waise jaise woh har roz karti hai mere pe chilaa ke..", he said.

"Normal behave kar rahi thi.. karegi hi.. tere jaisa naalayak friend jo hai uska.. mujhe kuch nahi sunna tu abhi jaa aur usse apne saath ghar leke aa.. main aaj leave leti hoon aur uska dekh baal karungi..", she ordered.

"Maa.. woh nahi aayegi..", he insists.

"Kaise nagi aayegi? Main baat karungi usse.. aur phir bhi tujhe nahi leke aana na toh main khudh taxi leke chali jaaungi usse lene..", she warns..

"Arghh... Thik hai.. aap usse baat karo.. agar maan gayi toh main leke aa jaunga usse..", he suggests knowing that she will never agree. He passes his phone to her after dialling her number.

"What is it Mr. Sidharth Malhotra?", Shehnaaz yells as soon as she receives the call. Her head was aching so she was irritated.

Sidharth clenches his eyes at the loud noise coming from the phone even though it was held by his mother.

His Imperious Boss! ✅Where stories live. Discover now