Part 30 - The lost anklet

234 26 22
                                    

Mini took her diary and wrote about what she had started to feel for him, all those emotions which she couldn't express in front of him but something he was always able to read through her eyes.

Aise Kyun Kuch To Likhti Hoon
Likh Ke Mitati Hoon Main Raat Bhar
Aise Kyun Baatein Khud Ki Hi
Khud Se Chhupati Hoon Main Aaj Kal

Par Ye Sab Sochna
Dil Ko Yun Kholna
Sab Kuch Keh Kar Hi
Sab Ko Batana Zaroori Hai Kya
Aise Kyun

She recalled all those blissful moments that made her heart delighted by his mere presence, his teasing sessions and her nervousness in front of him. She was thinking of all those moments with a smile on her lips when Arya came there. Mini hid her diary and hurriedly kept back the frame.

Mini: Arya, what are you doing here? Abhi tak soyi kyun nahi?

Arya: Mujhe neend nahi aayi. Par tum yeh Neil ki photo lekar kyun baithi thi? Woh abhi tak aaya nahi isliye usey miss kar rahi thi? Haina?

Her face turned pink, but Mini being Mini..

Mini: Shut up oye, chhutanki kahin ki! Chal ab soja ja kar.

Arya: Mujhe neend nahi aa rahi akele. Mere sath chalo na Veer Balika. Mujhe kahani suna do.

Mini: Okay.

She held her hand and they went to Arya's room.

Mini: Kaun si kahani sunogi?

Arya: Koi bhi. Par koi new story.

Mini: Okay.. toh yeh kahani hai ek rajkumari aur bhawre ki. Rajkumari bahot bade se kile mein rehti thi. Uske paas sab kuch tha. Sare naukar uske aage peeche ghumte the par sab kuch hone ke baad bhi woh Rajkumari bahot udaas thi.

Arya: Kyun?

Mini: Kyunki uska apna koi nahi tha. Akeli rehti thi. Aur usne apne kile ke darwaze band karke khud ko andar band kar liya tha. Jaise woh kile ke darwaze nahi, Rajkumari ke charo aur deeware ho.. jisse koi bhi aa kar usey hurt na kar sake.

Arya: Usne aisa kyun kiya? Usey toh naye dost banane chahiye the.

Mini: Haan par usey kisi par bhi easily trust nahi hota tha. Kyunki har baar log usey hurt karte the..isliye woh bahot udaas thi. Par phir ek din ek bhawra uski khidki par aa kar baith gaya. Rajkumari ne bahot koshish ki usey bhi wahan se bhagane ki par woh nahi gaya. Us bhawre ko na Rajkumari ki udaasi achhi nahi lagti thi. Rajkumari har baar usey bhagati thi aur woh bhawra phir se aa jata tha. Phir Rajkumari ne naa woh khidki bhi band kar di. Lekin agli subah woh bhawra khidki ke bahar phir se baitha tha. Tab Rajkumari ko bhawre ke liye bura laga. Usey dheere dheere ehsaas hua ki bhawra uski sach mein fikr karta hai. Woh baki sabki tarah nahi hai.

Aksar Tumse Milkar Mujhko
Ghar Sa Lagta Hai
Fir Kyun Dil Hi Dil Mein Koi
Dar Sa Lagta Hai
Beeta Jo Waqaya
Sochun Main Kyun Bhala
Beeti Baton Se Dil Ko Dukhana
Zaruri Hai Kya..

Her lips formed a curve as she got lost in Neil's thoughts....his smiling face giving eternal satisfaction to her

Arya: Aur phir Rajkumari ne bhawre ko kile mein aane diya aur woh dono humesha ke liye sath rahe, haina?

Mini: Haan? Humesha ke liye... Pata nahi chhutanki. Kyunki Rajkumari ko thoda thoda darr abhi bhi tha. Woh bhawre ko zyada janti nahi thi naa.

Arya: Isme janna kya hai? Woh itni fikr karta tha uski, toh achha hi hua naa.

Eternally Yours | A MiNeil Fanfiction | Patiala Babes | SouNoor Where stories live. Discover now