A long part..
____________________________________Shortly after, Mini received a call from an unknown number.. she answered it immediately.
Mini: WHAT?? I'm coming!!
____________________________________Preet: Kya hua Mini? Kiska phone tha?
Mini: Hospital se phone tha. Woh.. maasi.. Preet, tu.. tu yahin ruk. Arya bhi aane wali hogi. Aur.. woh.. Neil ko phone try karti rahio.
Preet: Arre par hua kya hai? Kya hua maasi ko?
Mini: I don't know yaar, Preet Kaure. Hospital se phone tha. Mujhe abhi jana hai. Shayad.. I don't know.. shayad.. ac.. accident.. God!! Kya ho raha hai yeh? Main chalti hoon. Tu dhyan rakhio.
Preet: Ek minute! Ruk ja. Main bhi chalti hoon tere sath. Tu akele nahi jayegi.
Mini: Nahi Preet!! Arya ke aane ka time ho raha hai. Rani didi bhi chhutti par hain. Toh Arya school bus se ayegi aaj. Tu.. tu ek kaam kar. Bus stop par chali ja. Arya ko le aayio. Aur usey kuch mat bataio please. Bahot excited hai Neil ke wapas aane ki baat sun ke. Aur meri fikar mat kar. Main chali jaungi.
Preet: Take care. Dhyan se jaiyo.
Mini took her purse and scooty's keys and ran out of her house. She rode as fast as she could, took short cuts to reach the hospital and within the next ten minutes she was outside the hospital. It was the same hospital where Neil works.
She rushed inside and inquired at the reception, and the receptionist directed her the way to the ward where Poonam was.
Mini: Maasi.. yeh.. kya.. kaise hua yeh??
Poonam: Arre Mini.. tu itni jaldi aa gayi beta?
Mini sat on the stool kept next to Poonam's bed. She had tears in her eyes for her aunt who was more like a mother to her. Poonam was there for her when she lost both her parents in a road accident. She had taken care of her and Arya like her own daughters. She had left behind her own house to look after the two orphan sisters while her own children had left her alone and settled abroad.
Poonam: Arre Mini.. tu ro kyun rahi hai beta? Theek hoon main. Bacha meri fikar mat kar. Kuch nahi hua hai. Ek toh yeh hospital wale bhi naa, baat ko itna badha chadha ke batate hain ki saamne wala tension mein aa jata hai. Bola tha maine inko ki naa phone kare tujhe. Main chali jaungi khud. Par sunte hi nahin hai.
Mini: Bas karo aap. Itni chot aayi hai aur bol rahe ho ki kuch nahi hua. Kaise hua yeh accident?
Poonam: Arre kuch nahi! Woh market gayi thi naa main.. wahan se wapas hi aa rahi thi ki ek bike wale ne peeche se maar diya.
Mini: What?! Kaun tha woh? Kaise log hain! Dikhayi nahi deta kya. Aap batao kaun tha. Aapne dekha tha usey? Ya uski bike ka number dekha aapne? Mujhe batao. Main pata karti hoon uske baare mein. How dare he!! Sadak par aane se pehle aankhe ghar chhod kar aate hain kya.. aap batao n..
Poonam: Shaant hoja Mini! Tu itna gussa kyun kar rahi hai beta? Aisa kuch bhi nahi hua. Balki usne itni maafi bhi maangi. Aur wohi toh mujhe lekar aaya yahan. Aur toh aur woh ladka yahi kaam karta hai. Agar Neil hota yahan toh pehchan bhi ho jati.
Mini: What? Kaun hai? Naam kya hai? Doctor hai kya?
Poonam: Woh toh mujhe nahin pata. Aur naam.. usne kuch bataya toh tha. Yaad nahi hai mujhe. Par tu yeh sab chhod.. tujhe kya hua hai? Itna gussa toh kabhi nahi karti tu..
Mini: Kuch nahi..
Poonam: Nahi. Yeh toh main maanne wali nahi hoon. Kuch toh baat hai. Tu tension mein hai.
YOU ARE READING
Eternally Yours | A MiNeil Fanfiction | Patiala Babes | SouNoor
FanfictionALL THE CHARACTERS AND EVENTS IN THIS STORY ARE ENTIRELY FICTIONAL. IT IS NOT RELATED TO THE ACTORS OF THE SHOW. ******* This story is different from the show. Mini is not a photographer and Neil is not a chef. Neither of them lives in Patiala. Thou...