CHAPTER 26

169 18 4
                                    

Kavin got freshened up and then he went downstairs. Purvi asked Kavin to have breakfast and after he had breakfast, she asked him to keep practicing that differences game. He went to that room and sighed.

'Hadh hai yaar 2 min mei 200 differences kaun dhundh paayega..?' Kavin thought and then he smirked when he got an idea.

Kavin messaged Dushyant and asked him to meet him at the cafe that evening. They both met.

'Yaar Dush.. Mera madad karna.. Purvi ne mujhe naya task diya.. Keh rahi hai ki 2 min mei 200 differences dhundhu..' Kavin said.

'2 min mei 200 differences..? Insaan samajhti hai ya robot..?' Dushyant asked.

'Mujhe nahi pata..' Kavin said.

'Tu chahta kya hai..? Isme mai kya madad karu..?' Dushyant asked.

'Dekh CID mei 10 log honge aur 10 log 2 min mei 20 differences dhundho na tho 200 ho jaayega.. Aur mera kaam asaan ho jaayega.. Mai blue tooth laga dunga aur tum log bata dena ki kya differences mile hai tum logon ko.. Vaha board pe mark karna hai tho vo differences ho jaayega..' Kavin said.

'Plan achchha hai par blue tooth se hum kya kare..? Matlab itna range thodi na hai ki CID bureau se Purvi ke ghar tak bluetooth aaye..?' Dushyant said.

'Tho call kar dunga aur earphone laga dunga bina wire ke..' Kavin said.

'Thik hai koshish karenge..' Dushyant said.

Like this almost a year passed by and Kavin showed Purvi that he can find 200 differences in 2 mins.

One day a case got reported and all the cops were busy in solving the case. A week passed by but there was no clue. Purvi looked at Kavin when she was informed that they didn't get any clue.

'Yeh mujhe aisa kyun dekh rahi hai jaise ki mujhe kachchha chaba jaayegi..?' Kavin thought.

'Tumne kuch suna hai..? I mean aas padosi se kuch bhi..' Purvi asked.

'Nahi.. Hum logon ne puch tach kiya par phir bhi kuch nahi mila hume..' Kavin answered her. Purvi thought about something and left towards her cabin.

She checked her desk properly and found a transmitter. She checked the cctv footage and she understood Kavin placed the transmitter. She doubted the differences based training, so she checked that footage too and saw how Kavin used to talk with other CID officers and found the differences.

Abhishek came to visit Purvi, so he went to her cabin. He saw Purvi was angry. So he saw what she was seeing and understood why she was angry. Abhishek also got angry and went out along with Purvi.

'Bahut galat kiya Purvi maine tumhare saath.. Is stupid (pointing Kavin) ko special training dene ki koi zaroorat nahi thi tumhe aur na hi CID ko lead karne ki.. Tumhara post itna uncha tha ki tum apna team ko lead karti tho bhi chalta..' Abhishek shouted at Purvi.

'Mujhe tumhari baat maan lena chahiye tha.. Mujhe laga Kavin ko desh ke liye kuch karne ka junoon sawar tha jaise tumhe hai par mai galat hu.. Ise tho sirf apna swarth dikhata hai bilkul vaise hi jaise USKO swarth hai..' Abhishek said.

'Aaj mai kehta hu tumse.. Lagbagh 10 saal pehle jo hua uske liye mai tumhe maaf karta hu.. Aur mai apna vaada nibhata hu jo maine 1 saal 1 mahine pehle kiya tha tumse..' Abhishek said while Purvi looked at him.

'Mai tumhe CID ki naukari se aur tho aur Kavin ki special training se azaad karta hu.. Tum sahi thi Purvi, Kavin ko tum ne bilkul sahi samjha.. Mai galat tha.. Tumhe Kavin ko apne life ke baare mei batane ki zaroorat nahi hai kyunki usne training li nahi isliye mai tumse khud kehta hu ki KAVIN KA AAJ SE TUM PAR KOI HAK NAHI..' Abhishek said.

'Yeh lo divorce papers jispe Kavin ka sign hai, ab tumhari sign hi chahiye.. Iske baad mai in papers ko court mei submit kar dunga aur TUM DONO KA DIVORCE HO JAAYEGA..' Abhishek said and that's when Kavin realised that Kavi were still married.

'Nahi Purvi.. Pls papers sign mat karo.. Tum chahti ho na ki mai training lu.. Abhi jaa raha hu.. Ab chahe kitna bhi waqt lage mai training lunga.. Nahi chodunga par pls yeh papers pe sign mat karo..' Kavin pleaded Purvi.

'Papers dijiye sir..' She said and she took the papers but Kavin snatched them and tore the papers.

'Ab hamara divorce nahi hoga..' Kavin said.

'Pata tha ki tum aisa koi na koi chalaki zaroor karoge isliye maine sirf xerox papers diye the.. Asli papers kahi aur hai.. Purvi tum mere saath chalo.. Aaj se tum meri assistant ho..' Abhishek said.

Kavin understood that he will never get the chance to stop Purvi from signing divorce papers if she left with Abhishek. Kavin stood infront of Purvi.

'Purvi tumne mujhe jeete jee maar diya tab bhi maine tumse kuch nahi kaha.. Isliye pls pls yaar abhi mat jao.. Mujhe ek mauka do na..' Kavin pleaded Purvi again and hugged her. She broke the hug and left with Abhishek.

Kavin kept looking at the door while Dushyant kept his hand on Kavin's shoulder.

'Chali gayi..' He said.

'Kavin..' Dushyant said but he went from there. Kavin sat in his car and went somewhere while driving.

'Mujhe Purvi ne jo training lene ko kaha vo karna hoga.. Shayad Purvi mere paas vaapis aa jaaye..' Kavin thought. He reached the dead end and applied the breaks. He decided to train himself day and night.

On the other hand, Dushyant and other CID officers saw how hardly Kavin was training for the past one month. They tried to talk with Purvi but she never picked anyone's calls.

One day Kavin was busy training when he got a call from Dushyant. He answered the call.

'Kavin..' Dushyant said.

'Nahi Dush.. Mai abhi nahi aa sakta.. Mujhe abhi bahut practice karna hai..' Kavin said.

'Mujhe pata hai ki tumhe practice karna hai par... Actually kuch hua hai.. Tum jaldi bureau aao na..' Dushyant said.

'Kya hua..?' Kavin asked while Dushyant's reply made Kavin shocked.

Laagi tujhse laganWhere stories live. Discover now