CHAPTER 52

99 12 5
                                    

'AARAV..' Kavin shouted at the top of his voice.

The CID team came as they got information and they untied Purvi.

'Shreya, Purvi ko ghar le jao..' Kavin said.

'Aa..' Purvi said but then Aarav gave a smile to her while Kavin took him.

'Shreya.. Mujhe Kavin ke saath ghar jaana hai.. Abhijeet sir, Aarav ko aap bureau le jaaiye pls..' Purvi said. Abhijeet asked Kavin to take Purvi home.

'Chalo Purvi..' He said and sat in the car.

'Kavin sir, PURVI ko gaadi ke andar bitaiye..' Pankaj said. Purvi sat down and Kavin sighed. He then started the car.

'Sorry vo..' Kavin said. Purvi kept her head on his shoulder and closed her eyes.

'Tum thik ho..?' Kavin asked.

'Hmm..' She said.

Kavin dropped her home and he left from there as soon as possible.

'Aarav mai aa raha hu.. Ab tumhe mujhse koi bacha nahi sakta hai..' Kavin said. He reached the bureau.

'Kuch kaha usne..?' Kavin questioned.

'Nahi sir.. Vo sirf itna keh raha tha ki vo apna muh Purvi ke saamne hi kholega..' Sachin said. Kavin went inside the interrogating room.

'Aarav dekh ab mujhe aur gussa mat dilao.. Jaldi se apna muh kholo..' Kavin said being mad.

'Kaha na maine.. Mai sirf Purvi ke saamne hi sach bolunga..' Aarav smiled. Kavin was pissed off. Abhijeet stopped Kavin from punching Aarav.

'Tumhe badla lena tha mujhse tho mujhe kuch karte.. Mere family ke saath...' Kavin gritted his teeth.

'Tumhe kuch karta tho bhi Purvi ko hi dard hota na.. Tum tho aaram se hospital bed pe hote.. Dard tho tumhara family ko hota...' Aarav smiled.

'Aarav..' Kavin shouted.

'Kavin agar tum aise hi chillane wale ho tho bahar jao.. Hum tumhe interrogate karne ki permission nahi de sakte..' Abhijeet said.

'Kya bigada tha Purvi ne tumhara..? Kyun kidnap kiya use..?' Kavin asked, Aarav looked in other direction and smiled.

'Bigada usne kuch bhi nahi tha mera..' Aarav said.

'Ahh..' Aarav held his head.

'Yeh kya naya natak hai..?' Abhijeet asked. Aarav asked Abhijeet to keep quite. He then signalled Abhijeet something and Abhijeet asked everyone to leave outside except for Pankaj, Daya and Kavin.

Aarav fell down from the chair holding his heart which was aching. The door got opened and Purvi came.

'Aarav..?' Purvi went near him and Aarav held her hand and he tried to wake up but then he died on spot.

'Aarav..' Abhijeet and Daya checked him but he was no more.

'Forensic lab le jaana hoga.. Pata nahi achanak Aarav mar kaise gaya..' Daya said.

'Uski zaroorat nahi hai.. Aarav ne suicide kiya hai.. Abhi marne se pehle usne mujhse yahi kaha..' Purvi said and went outside to her cabin.

'Suicide..? Aarav ne suicide kyun kiya..?' Kavin asked.

'Mujhe bhi yeh baat bahut ajeeb lag raha hai.. I mean abhi kuch der pehle hi keh raha tha ki Purvi se sach kahega..' Abhijeet said.

'Purvi yaha kya kar rahi hai..? Use tho is waqt ghar pe hona chahiye tha..' Kavin said and went to her cabin. He saw her standing near the window and some video was playing on the desk. He took her phone and saw the video.

I'm sorry Purvi ki maine tumhe itna takleef diya.. Mai Kavin se itna bhi nafrat nahi karta tha jab mujhe pata chala ki vo mera sautela bhai hai.. Lekin jab mujhe pata chala ki usne tumse pyaar kiya aur mujhe tumhe paane ke liye koi raasta nahi chodo tho mujhse raha nahi gaya..

Hum dono ne tumse ek jaisa hi pyaar kiya.. Bas farak itna hai ki Kavin ne tumhara dil jeeta aur mai jeetna tho dur ki baat hai, tumse apne dil ki baat keh bhi nahi paaya.. Vo stupid kehta hai ki vo tumse pyaar karta hai par sach yeh hai ki usne vo pyaar ko kabhi jataya nahi..

Pyaar karta hai tho tumse aake baat karna chahiye tha.. Tumhare family ke baare mei jab use pata chala tho use tumse baat karna chahiye tha.. Naina ne bhi tho yakeen nahi kiya na pehle.. Yakeen dilane wala kaam karta.. Dost ko bhej diya apni jagah..

Mai Kavin se sirf itna jaan na chahta hu ki agar Mayank tumse pyaar karne laga tho vo kya karega..? Dosti nibhayega ya pyaar..? Pata hai Purvi Kavin tumhe deserve nahi karta hai kyunki usne tumse sach chupaya tho hai lekin usne kabhi jaan ne ki koshish tak nahi kiya ki tum pe kya beet raha tha..

Vo ek ek pal jo tumne apne pariwaar ke bina guzara.. Vo ek ek tyohar jo tumhe tumhare apnon ke saath bitana chahiye tha, tab tum bilkul akeli thi apne kamre mei.. Chup chup ke ro rahi thi par tumhare aansoo pochne wala koi tha nahi..

Mai tumse aake sach batana chahta tha magar mujhe laga tum gusse mei aake koi aisa kadam na utha do jo Kavin ka plan pe paani fir jaaye.. Maine apne tarike se sach pata lagane ki koshish ki magar mujhe sach pata nahi chala..

Aur jab tak mujhe saara sach pata chala tab tak bahut der ho gaya.. Sab maare gaye.. Dushyant aur Mayank.. Mera paas sirf ek hi kaam bacha tha.. Dushyant ka adhura waada.. Isliye mai tumhe dhokha de raha hu..

Yeh saara kidnapping vagera sab ek natak hai taaki mai Kavin ko sach bata saku.. Isliye mujhse nafrat mat karna.. Bhale hi Dushyant, Mayank ne tumhara saath diya lekin Kavin mera bhai hai, mai apne bhai ka saath de raha hu.. I hope ki tum aur Kavin sab kuch bhul kar ek happy life jiyoge.. All the best.. *smile*

'Sach batane aaye the tho sach bataya kyun nahi...?' Kavin thought and then he remembered that Abhijeet suddenly sent everyone out. So he went near Abhijeet.

'Aapne sab ko bahar kyun bheja..?' Kavin asked.

'Vo.. Purvi Pankaj ke phone se hamari baatein sun rahi thi.. Aarav ne mujhe ishara kiya aur chup rehne ko kaha..' Abhijeet said and Kavin held Purvi's phone tightly.

'Kya faayda hua itna bada kidnapping ka jab mujhe sach pata nahi chala aur tum mar gaye..?' Kavin finally shed tears for his brother.


Laagi tujhse laganWhere stories live. Discover now