Baba ne zindage me pehli bar mujh sa kuch share kiya, mujh sa koi umeed lagae, apni khuwaish zahir ki ab mujha unki khuwaish aur apna khuwab dono pora karna he. ( agr Mr. Ahmed apni khuwaish k izhar na karty tu shayad Arfa k liye Dr banne ma koi zayda masla nhi hota. insan ki fitrat hoti ha k jab un sa koi umeed lagae tu wo khud par uska asar zayda lete ha. Yahe hal kuch ab Arfa ka bh hogaya ha)
Zindage name he imtihanat ka he. Arfa ab un imtihanat sa guzrne ko tayar the. Usna apne dil o dmgh ma Dr Ko basa liya tha ab uska maqsad sirf yahe tha k wo Dr bane, aur ab tu uska baba na bhe uska sath he tu is baat ne usky hosle buland kardiye.
Kya zarort ha isko parhane ki bahu, tm ahmed ko smjhate q nhi? Ya larki ha isko parh ky kunsa kamana he, susral jake kam he krna he, mere manu tu isko silhae, karhae sikhane Saleema k pas bhj du. Arey Ami mene tu Arfa k abu ko bht smjhaya ke isko na parhae shadi kara de magar majal he wo sune iska age kese ki, Wo tu bs isko doctorni bana ne ma lage hue. Uff Ya Ahmed isko tu Allah aqal de. Ma baat karunge is sa zara ane du isko.
Arfa ko shehar ke sab sa bare college ma dakhla mil he gaya. Usna apni parhae bakaidge sa shrow kardi bina kese baat ki parwa kiye bagair. Subha college, Sham ko coaching aur raat ko ghar ma parhae. Arfa ki zindage bs parhae me mehdod hogae usna apne dosto ko daira bh chota kardiya, dosto sa bh bas parhae ki had tak baat hoti the.
Arfa k pore college aur coaching ma bs teen dost thy aur class ma inka group k parhae k ilawa aur koi masrofiay nh hoti. Coaching aur college k bad bachy sub khane pena nika jate aur ya log bs apni kitabo ma rehty thy, tu class ma koi insa zayda baat bh nh karta tha.
Ahmed beta yaha au zara tm sa baat karni he. ji ami bole Mr Ahmed apni ami k takht k baraber ma ake beth gae. Bole ami kya hua he, Beta tujha kya hogaya tmha zara bh fikar nhi ghr ki izzat ka (Ahmed k rung surkh par gaya) q ami mene esa kya kara? Beta larkia ghr ki izzat hoti ha aur izzat ko char dewari ma rakhte he, na k ese khula chorty he ke wo chehar bhar ma dhun dhanate phire. Ami ab ap galat baat kar rahe Ahmed ghusse ma bole, Arfa mere beti ha aur mjha us pa bhrosa he. Sb ki larkia bahar jate ha, parh likh rahe ha ab wo door gaya ke larkia ghr m bs chola jalae. Ma nh chata mere beti kese sa kamtar ho. Beta tm jhzbati ho rahe ho, mjha batao shadi krni ha na iski? Han karni he Ahmed na barkraftri sa jawab diya, tu beta sural ma degree aur parhae kam nhi ate, waha khana banna ghr k kam kaj wale sugar larkia he reh pate sukon sa. Ami ab waqt badal gaya aur rahe baat khana bana ne ki tu wqt aega sekh jaege ap befikar rahe. MA uska baap hu usky acha bura sb janta!
Arfa ankho sa ansu saaf krke muskura rahe the, wo seriyo pa khare apne abu ki batain sun rahe thi jis sa uska dil ma apne khuwab ki justuju aur barh gae
KAMU SEDANG MEMBACA
Jadojehad (Struggle)
PertualanganThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams