Graduation party

38 10 0
                                    

2 hafte k intizar k bad bilakhir wo din ahe gaya jis ka intizar student life ma har bachy ko hota, gradutaion ki takreeb khuwa wo school sa graduate hne ki hu ya college ya university, Is din k apna he maqam hota ha har kese k life ma Arfa ki zindage k wo haseen khuwab jo us na apne ghr walo k dil jeetna kineyaat sa shrow kiya tha wo paya takmeel p phnchna wala tha, Arfa aena ma tayar hone k bad aenda k samne khushi khushi khud ko dekh rahe the blue suit k oper gown pehni wo behad haseen lag rahe th, Ya gown aur iski khushi har insan ko apne ap ma behad haseen bana dete ha, baal bana ne k bad jab us na cap pena aur pose bana k aene ma khud ko dekh rahe the tu ik dum sa usa apne baba k khayal aya k agr wo aj zinda hote usa is gown ma dekh kar usa behad payar karty iska matha chumty, Arfa waha khareapne khayali duniya ma chale gae, aene ma wo ese dekh rahe the jese samne aena nhi koi movie screen chal rahe hu jis ma wo apna mazi dekh rahe thi. Kis tarha wo dab dab k ghut ghut k logo ki batain sunti rahe, Hamza ka dhoka, Baap k thapar, maa aur dadi ki galiya kirdar kashi lubna k dhoka college ma frst ana teacher s k noor e nazar rehna viva ma job milna usa ik ik karke  sare  batain yaad arahe the, sub ka tanz yaad arahe the, us na bh shayd ya nh socha hoga k ya khushi usa mil jaege wo Arfa Ahmed sa Dr Arfa Ahmed keh laege, wo apne khayalo ma ghum the  k uska ami na usa uske khayalo sa jaga diya;

Mrs.Ahmed: Arfa beti chalo na jana nhi he? unho ne bare payar sa usko kandhy sa pakar k bola.

 Arfa: Aik dum chonk ke ankho m ansu liye ami ko aena ma dekhne lage, kuch nhi ami bs abu ki yaad arahe thi k agr wo yaha hoty tu kitne khush hotay.

Mrs.Ahmed: Unho na Arfa ko gale lagaya aur kaha beti wo aj bh hame dekh rahe ha wo behad khush hunge Arfa ko gale sa hata k uska matha chuma aur uska hath pakar k university k liya nikalne k liya rawana hogae, abhi wo apne ghar k darwze par phnchy he thy ka itne ma uske taya tae sb phool liya darwaze pa khare thy aur inko dekh kar unka taya Arfa k pass ake uska sar pa payar sa chum kar mubarak baad de, Unki biwiw Mrs.Ahmed sa lipat kar unko mubarak bad dene lage, unka Beta Agy barha aur Arfa ko phool diye Arfa na be dili sa phool liya aur uska shukriya ada kiya

Mr.Qayoum: Ae bhabhi gari ma chalte hum bh arahy he. MrsAhmed apni beti k din kharab nh karna chahti is liya unhona behas nh ki aur unka sath jane ko raazi hogae.

University ma aik ajeeb khushi ka mahool bana wa tha har taraf ma baap apnebacho ka sath khushi khushi arahy thy aur confress hall ma jama hone k liya ja rahe the, confress room behad waseeh th jis ma bayak waqt 2000 logo ki jaga thi, confress k ik taraf main stage tha tu dusre taraf chota stage tha jaha bari bari har faculty ka bacho ko ake jama hona tha aur apne degree lene jana tha.

Medicaal field k head department hamesha MBBS hota ha aur sub sa pehly event k aghaz unhe ki degree sa hona hota ha ise liya sare MBBS k graduates aur faculty us sub stage pa ake khare hogae. Takreeb k baqaida ibtida Quran pak k tilawat sa hue uska abd mukhtalif professors aur politician ae unhona apne apne rae k izhar kiya, phr Governer na baqaida degree dena shrow kiya sub sa pehla unhona sare talib-e-ilm ko mubarak bad de phr unhona MBBS k tama students ki tareef ki, Uska bad tamam  talib ilm sa Oath uthwaya aur phr jake unhone gold medal k liya announce ki god medal k name sunty he sub k dilo ki dharkan taaiz hogae k kis ko milega, har student k khuwab hota ka wo is cheez ko hasil kare, Jab governer na name announce kiya tu sub ik dum cheekh uthy door beti Mrs.Ahmed apni beti k name sun k apni jaga pa khare hogae aur zor zor sa taliya bajane lage ankho ma ansu chehra p muskurahat aik zaeef bewa maa apni beti ki kamyabi p behad khud te, Apna name sun ka Arfa be behad heraan the uski hasi tu jese uska chehry p reh gae dil pa hath rakh k hairaani si muskurahat leke wo taaizi sa stage ki janib rawana hue, wo Governer k pass ae hath milaya aur unhone usa medal pehna ka degree deke rukhsaat kiya uska bad bare bare sub ane lage aur apni degree lene lage. Arfa medal liya bhagte hue apni ma k pass agae aur unhe gale sa lagaya wo behad khush the Mr. Qayoum na bh age barh kar Arfa k behad tareef ki Arfa hairaan the k kis tarha wo inko inke bure waqt ma zalil kar rahe thy aur aj iski kamyabi m aese khush ha jese iski kamyabi k peechy inka hath tha, usna apna din kharabnh kiya khushi khushi apna taya aur unki family k shukriya ada kiya, aik photo session aur kuch waqt ki mulaqat aur lunch k bad sub apne ghr ko rawana hogae.

Kese na bht khoob kaha ha;

      "Insan koi bura nhi hota, bus khuda kabhi kese pa bura waqt na lae"

Jadojehad (Struggle) Where stories live. Discover now