Hello Mr Hamza all good ? Hamza apne bed pa betha apni tae ami sa baato ma masroof tha k nursing staff male nurse Hamza k bed p aker usa mukhatib krne laga
Hamza: Han Alhumduliallah kafi behter hu! bus ab ap iski chutti kare jaldi sa, Hamza ki baat khatam hoty he Uski tae aami na apni jaga sa uth kar nurse ko mukhatib karke kaha.
MaleNurse: Ji Ji ma bh yahe batane aya hu inki chutti hogae ap log ghr ja saky he, Nurse na muskurate hue bola aur apna hath age barha kar Hamza ki tae aami ko medicines ki details de. aur hidayat de,
ya tablets ab apko agle ik month tak inhe baqaida dene ha, aur ik maheena bad dubara ake yaha O.P.D ma dekhana ha theek ha.
Tae aami: ji ji ap befikar hwjae, unhona nurse k hatho sa sare reports wagera le aur table pa rakh diya, aur Hamza sa kehna lage,
Tae Ami: tum change krlo jab tak ma payment wagera clear krke ate hu. aur tmhare chutti k letter bh bana late hu. Tae ama bht khush th aj unka ladla beta ghr jane wala tha wo khushi khushi waha sa nikal gae.
Tae aami k jane k bad Nurse dubara aya aur Hamza k hath sa canola nikalne lag gaya, Hamza ko pata nhi kiya suji k us na foran Nurse sa Arfa k zikar krna shrow krdiya.
Hamza: Arey Dost ya batao ya tmhare jo Doctorni sahiba ha ya ese ukhry mizaaj ki he ha ya haste bolti bh ha? Hamza na muskuratye hue dostana andazma nurse sa Arfa k zikar kiya jese wo dono purane dost hu.
Nurse: Sir ma smjha nh ap kya pochna cha rahe ha? Nurse na herange sa pocha.
Hamza: Arey dost ma tu unka mizaj k poch raha hu, jab bh round pa ate ha tu unka attitude saaf nazar ata. kandhy pa hath rakh k nurse k Hamza uska sath free hone ki koshish ma lag gaya,
Hamza ki ankho sa saaf pata chal raha tha k wo kya poch raha aur kio, Nurse ko ya mehsoos hone lag raha tha k jese Hamza Dr Arfa ma dilchaspi ho rahe ha aur wo uska through Arfa k bare ma janna chahta he. Nurse na bh bare smjhdari sa esa jawab diya k Hamza age kuch nhi bol saka;
Nurse: Mizaj unka kuch esa he mere dost k wo logo ko unka uqat k mutabik deal karti ha. Is bar Nurse na Hamza k kandhy pa hath rakhk thapki di aur chala gaya.
Hamza dhan reh gaya aur Nure k jate he wo soch ma doobh gaya, Nurse k kahe hua lines bar bar uska demagh ma gonjh rahe thy, kya mtlb hua is baat ka? wo mjha gira hua smjhti aj bh? wo mujh sa esa kese hoskti, kya yahe uska payar tha? Apni galtiya bhool kr aj Hamza apne rishty ki nakami k zimadar smjhne laga, Ma us sa ik bar milunga zaror aj, sochty sochty Hamza zor sa bolna laga,
Kis sa mil k jaoge beta? Tae ama bed k pas aty hue Hamza ki awazsun kar boli,
Hamza tae ki awaz sun kar ik dum chunka aur unko dekh ka nazrain chura k bolne laga
Hamza: Arfa sa.
Tae Ami: Ab q? Tae aami sanjida hoker bolne lage.
Hamza: Bs tae kuch batain ha jinko clear karna zarori ha.
Tae ami: kuch dair Hamza ko dekhna k bad bolna lage aha theek ha tum change krlo phr jake mil lena. Ya bol ka wo bahar waiting area ma jake beth gae.
Thori dair ma Hamza change krke bahar agaya, Hamza ko dekh kar tae ama apni jaga sa uthe aur Hamza k kuch kehna sa pehla he wo bolna lage,
Tae Ami: Tum jao us sa mil ao uska cabin waha O.P.D k pass ha. Tae ami ki baato sa unki narazge jhalak rahe th. wo jaanti ha k is relation k barbad hone ma sb sa bara hath Hamza ka he ha. Tum jao ma saman wagera le ate hu ya bol k Hamza sa nazrain milae wo waha sa nikalne lage.
Ap naraz h mujh sa? Hamza na tae k chehry ki mayosi ko dekh kar pocha.
Tae: Nhi beta tum jao uske jane ka waqt hone wala he. ya keh kar wo waha sa nikal gae. Hamza kuch dair khara tae k badlty rawaiya k sochne laga, phr ik dum sa is kahayal ko jhatak kar Arfa k cabin ki taraf jane laga.
Arfa k appointments ka waqt khtm hogaya tha wo ab beth kar apne patients k files wagera ko update krna ma masroof the k darwaza ki dastak ki awaz sunae dene lage, bina sar uthae boli
Arfa: ander ajae.
Hamza: Hello Arfa.
Hamza ki awaz ko Arfa na foran pehchan liya, lekin usna khud p control rakha aur bina ko feeling k izhar kiya sar uthae bina he Hamza ko mukhatib kiya.
Arfa: Ji Hamza boliye, hogae chutti apki?
Hamza: Han, Arfa mujh tm sa kuch baat krni ha,
Arfa: pen rakh kar file band krke Hamza ko bethne k ishara kiya aur hath bandh k table p rakh k usa dekhne lage, Ya wo Arfa nhi thi jo Hamza ko samne pake pagal hwjae, jis ki muskurahat p qabo na hu, jiski ankho ma Hamza k ilawa kuch nh tha. Aj jo Arfa waha thiwo ik mazboot, smjh dar aur Qabil Dr thi.
Hamza: Ma bus tum sa mazraat krna chahta hu?
Arfa: Kis baat k liya? Arfa k lehja ma talkhi barqara th, wo aik Hamza sa mukhatib th jo uska patient tha aur ab wo us sa milna aya ha.
Hamza: College k dino k liya, mere badtamizi k liya aur har us baat k liya jis sa tmha takleef phnche hu, Hamza sar jhukae apni baat kr raha tha jab ke Arfa tahamul sabethe uski baato ko sun rahe the, Arfa k reaction blkul wese thy jese koi ustad kafi dair sa sabak parha raha hu aur bachy bore hoke class k khtm hone k intizar kar rahe hu.
Arfa: Hamza me tmha kab k maaf kar chuki hu aur ya sab bht purani batain hogae ha in baato ko apne dil sa na lagao. Arfa blkul wese he itminan sa bethi Hamza ko is tarha jawab de rahe the k jese wo baat ko age barhane ki koi khuwaish nhi rakhti hu.
Hamza: Arfa ki ya baat sun kar wo sar utha k muskura kr Arfa ko dekhne laga, mjha pata tha tum zaror smjhoge, tm na hamesha mjha smjha mera sath diya thanks yar! Hamza khushi k mare hilbila k bina ruke bole ja raha tha, Hamza k andaz ma wo sachae nhi thi, jo pehla kabhi Arfa sa baat krty hue th. Hamza ko khud nh pata wo ya kio aya, kya baat krne aya aur kya baat kr raha he, jese wo sb janta ha k ab faida nhi lekin phr bh wo apne dil ki tasali ka liya aik akhri moke ki talash m yaha aya tha.
Arfa: Hamza jesa tm soch rahe hu wesa kuch nhi ha, mene maaf kiya h isko galt sense ma nhi lena.
Hamza: matlb?
Arfa: Simple ha matlb mene maaf kiya ha, iska matlb wo nhi jo tm smjh rahe hu. Arfa k andaz blkl sada tha, na ghussa na nafraat na payar kuch nhi wo blkl expression less hoke baat kar rahe thi jese koi kese ajnabi sa baat krta hu.
Hamza: Tum Drkya ban gae tumhare tu mizaj nh mil rahe, Hamza apne kursi sa uth k apne hath chairs pa rakh k Arfa ki ankho ma dekh k ghusse ma usa suna ne lag gaya,
"Tum jese log apne ghuror me he mar jate ha, aur ise ghror ki waja sa wo akele reh jate ha, jese k tum aj bh akele hu, tm kya smjhti hu tmhare na hone sa mjha koi aur nhi mil sakta? tmhare soch h aj bh college ki sare larkiya mjh sa rishta jorne k liya tayar ha, ma chao yu kese sa bh rishta kr skta hu. chair sa hath utha kr wo apne slevs fold krke Arfa ko dekhne laga,
"Pachtaoge sare zindage tum, aur ese apne anna ma he mar jaoge"
Arfa blkl itminan sa Hamza ki batain sun rahe thy, Jese he Hamza khamosh hua usna apna pen uthaya aur file kholne lag gae,
Arfa: Agr tmhare baat mukmal hogae tu ja skty hu, mujha bht kam ha Thankyou!
Hamza herange sa Arfa ko dekhna lg gaya usna apne sleves fold krna chor diya, Arfa na jese Hamza ko lajwab kardiya hu, uski beizti kardi hu,
Hamza: tum.. tum Bhar ma jao tum! Hamza chilaya aur zor sa darwaza khol kar bahar chala gaya.
Arfana apni file band kardi aur chair sa take lagae aik lambi saas lene lag gae,
" Aye Allah mujh bs ese he sabar aur bardasht de k me is duniya k muqabla kar saku"
Arfa aur uski ami ko aik bar uske taya na bh kuch ise tarha beizat kiya tha, Arfa k liya ya tana koi naya nhi tha, wo apne zindage ma ese bht sa tane sun chuki, lekin is bar ya sub usa us shaks sa sune ko mila jis sa usna kbhi muhbbat ki thi, Muhabbat thi ya bachpane ki bhool ya koi ik galti jis na aj usko itna mazbot krdiya k kese ki talkh batain ab us pa asar nhi karti,
"Insan jab sabar karta ha, aur wo ya man leta ha k Zindage har lamhe imtihan leke ik sabaq dete ha agr hum us sabak ko achay sa smjhe aur sabar sa kam le tu duniya ma koi bh ese cheez nhi jo usa mayoos kar sake"
" Phr kuch youn Hua k hum sabar ko thame hum itne age chale gae k, raste bh heraan reh gae"
ESTÁS LEYENDO
Jadojehad (Struggle)
AventuraThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams