Khayalato Ka Anmbar

47 11 0
                                    

Subah 7 baje uth kar wo tayar hoke nechy breakfast table ka pass dorta hua aya, aami nashta la de mjha jana he! Arey aj mera shehzada itni subah subah uth gaya sub kheriyaat he na? Ji ami sub khair ha bus college jana he aj kaam ha waha jabhi. Hamza Schooling ka bad  ye aj pehli bar hua ky Hamza dair raat sone ka bawajood bh subah 7 baje uth kar tayar hoker nashty k liya bh agaya !

Asia(Hamza's mom):  Beta tjha bht khushi ho rahe ha k tm college jane k liya aj pehli bar khud uth kr ready hogae. Allah kare tm hamesha ese jaldi uth jaya karo, zimadar bano Allah tmha kamyab kare. Asia begum  apne bete ki is badly rawaiye ko dekh kar behad khush the, lekin wo ya nhi jante thi k  us ky bete k is badlaty hue rawaiye ke pechay asal kahane kya the. wo bus khush hoker Allah sa apne beti k liya duaain kar rahe the.  Asia begum thori zaeef khatoon the,  wo aik parhi likhi workerwomen the  aur Hamza unka ik lota ladla beta he. Asia begum ko Hamza bht aziz tha kionka shadi k kae saal tak bari manato ka bad unka ghr ma koi aulaad ae th. hamza ki paidaish ka theek 5 saal bad usky walid duniya e fani sa rukhsaat hogae thy, Jab sa Asia begum na Hamza ki parwarishka sath sath apne khawand k bussniss bh smbhala. Kam umri zemadario na Asia begum ko waqt sa pehly kafibura bana diya tha.

Ami jaldi nashta de na bht bhook lag rahe ha, Hamza na apni ma ko dobara awaz lagae jo bawarche khane ma apne bete k liya nashta tayar kar rahe the.

Asia: 2 min mere ladlee! Asia begum na andersa muskurate hue awaz lagae aur chand lamho ma wo Hamza k nashta uska table pa rkh diya. Hamza na fatafut nashta kiya aur apni bike start kre aur seedha Arfa ka college ka passwale park ki taraf nikal gaya, thori dair ma wo waha phnch gaya aur blkl use waqt uska group bh waha phnch gaya. Alina aur Aroosa Arfa k college ma he parhti the, 

Alina tm log ruko ma form leke ate hu phr chalty ha movie dekhna. Ye keh kar Alina form lene k liya college k ander chale gae, Chalo Ali hum log Juice leke ate ha.. Aroosa na Ali ka hath pakra aur dono shop ki taraf nikal gae, Hamza na apne jaib sa ciggrette nikale aur jala kar apne bike pa beth gaya aur ciggrette pena lag gaya, Hamza ki bad kismati the ka usna ciggrette jalae he the k samne sa Arfa aur Lubna ane lage, ciggrette k kash mu ma lete Hamza ki nazar Arfa pa pari, Jese he usna Arfa ko dekha wo foran khara hua aur ciggrette phek kar unhe dekhna laga.

Arfa pori raat Hamza ko bura bhala kehti rahe aur Hamza ki waja sa pori raat nend nh ae k wo kese parhae sa hat k iske bare ma sochne lagne lag gae, uski waja sa use pehli bar class ma dant pare thi. Wo wese Hamza sa ghussa the aur uske hath ma us ciggrette na mazeed kasar pori kardi, Arfa ghusse sa surkh hogae aur Lubna sa kehna lage, Mere aqal ghas charne chale gae thi jo mena ese charsi mawali sa dosti ki, Ameero ki bigri hue aulaad. Arfa k is behaviour ki waja Hamza nahi balky wo dant the jo use chemistry k teacher sa pare, lekin wo in sub ka zimadar Hamza ko tehra rahe the, k is sa dosti kya hue zindage a jese bure waqt ka drwaza khul gaya hu.

Lubna: Choro tm apna mood kharab nh karo kese ki waja sa.

Arfa: Han sahe keh rahe hu dafa kro isa :/

Unke ander jane ka bad Hamza ko bari heraani hue ky usa kya hua, uska ate he iske kefiyaat badal kio jate ha? Hamza ka apna he behaviour usa pareshan karne laga tha, usna dobara ciggrette jalae aur peena lag gaya itne ma baki sub bh agae aur ya log kareebi cinema ma movie dekhna phnch gae, movie start sa end hogae aur Hamza ko pata he nhi chala. Uska wajood cinema ma mojood tha magr uska demagh college k pass he reh gaya, usa pore waqt yae baat khae ja rahe the us na esa kiya tu kiya q? Q ab wo itna hassaas ho raha he Arfa ka mamle ma.

Agle kae din Hamza zehni tor par bht disturb tha aur ya cheez uska dosto no bh ghor kare. What's wrong with you Hamza? ya kya  tum dukhi atma bane bethe rehti namasti na koi baat na kuch bs ik kone ma chup rehty hu aur ciggrette pety rehty. Alina na Hamza k pusht par kas k thapar laga ke bola, Hamza desk p betha khayalo ma ghum tha wo ik dam chonk gaya, Pagal tu nhi hu esa karta he koi? ajeeb log Hamza ka mu ban gaya,  Tumhare harktain he ese k marna para,Alina na jawaban kaha.

Hamza: Hain mene kya kardiya esa? Hamza mazeed pareshan hogaya.

Alina: Yahe tu masla he tum kuch karty he nh ab ik jaga mu latkae pare rehty hu,na koi baat na koi outing na kuch bs ghum sum. Akhir majra kya he? Alina Hamza k baraber desk par aker beth gae aur uska kandhy pa hath rakh k us ka dil ki baat janny ma lage the

Hamza : Such batao mjha khud nh pata k kya hua he mjha. BS pata nh kio ab kuch acha nh lgta,

Alina: Ab tm jhoot bol rahe hu pecha churane k liya. Alina na mu bana ke apne mu ka rukh dosri taraf kar liya.

Hamza: Qasam sa yar trust me ma khud bht confused hu, warna aj tak koi ese baat he jo mena tmha na batae ho. Hamza pareshan hoke safaiya dena laga.

Alina: Acha theek ha mat batao jao baat mat karna. Ye keh kr wo apne jaga sa uth gae aur class sa bhar nikal gae.

Arey ruko Alina mere baat suno Hamza awaz laga magr usna suna nhi aur wo nikal gae kuch dair tak Hamza Darwaze ki taraf dekhna lag gaya, magr Alina nh ae tu wo dobara apne duniya ma ghum hogaya.


Jadojehad (Struggle) Where stories live. Discover now